Quote
"tamaasha ahl-e-mohabbat ye chaar-su karte dil-o-dimaagh aur aankhein lahu lahu karte vo raushni se bhari jhiil ke kinaare par shikasta-ruh, darida-badan rafu karte hamaare baare mein taftish karnaa chaahte the to jaan-e-jaan parindon se guftugu karte jamaal-o-husn se labrez jab zamaana hai tiri bisaat hi kyaa teri aarzu karte zamin pe chaand sitaare bichhaa ke ai 'haashim' falak pe phuul sajaane ki aarzu karte"







