Quote
"'jamil' ko gumrahi mubaarak ki ab to saamaan bhi vahi hai jo dil ki vahshat kaa thaa taqaaza khirad kaa mailaan bhi vahi hai khudi mohabbat ke falsafe mein hai us ke jazbon ki maut lekin kuchh aur dil mein utar ke dekho to ishq ki jaan bhi vahi hai bani thi hamdard ishq ki jab to aql ko ye bhi dekhnaa thaa ki jis ko vo faaeda samajhti hai us kaa nuqsaan bhi vahi hai hamaari mizaan-e-aagahi mein yaqin kyaa hai gumaan ki shiddat jo shak ki aaghosh mein palaa ho usulan imaan bhi vahi hai 'jamil' kaisi khudaa-parasti vahi ghuTi khvaahishon ki masti Duboi jis ne hamaari kashti tumhaaraa tufaan bhi vahi hai"







