SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKaleem Saronji(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jo raah-rau mein abhi azm-e-rah-ravi kam hai ba-qaid-e-hosh-o-khirad aaj aagahi kam hai fazaa-e-dahr pe chhaane lagi hai taariki kai charaagh jalaao ki raushni kam hai hain yuun to aaj bhi paaband-e-mehr-o-maah magar hanuz zehn mein insaan ke raushni kam hai hazaar koshish-e-paiham ke baad bhi logo mire zahan mein abhi rabt-e-baahami kam hai simaT ke markaz-e-asli pe aa chuki duniyaa magar dilon mein kuchh ehsaas-e-zindagi kam hai 'kalim' azmat-e-ahd-e-vafaa se vaaqif hai magar shuur-e-vafaa aap ko abhi kam hai"
K
Kaleem Saronji
Quote
"zindagi vaqf-e-gham-o-hasrat-o-aalaam sahi aap de dein to yahi ishq kaa inaam sahi na sahi un ki mohabbat kaa asar ai hamdam dil ko ehsaas-e-gham-e-gardish-e-ayyaam sahi be-niyaaz-e-khum-o-paimaana rahe ham lekin aaj saaqi ki inaayat hai to ik jaam sahi us ne dekhaa to sahi dil ko ba-ehsaas-e-vafaa phir bhi afsaana miraa tishna-e-anjaam sahi rahrav-e-shauq ye vaamaandagi-e-shauq hai kyaa duur manzil hai agar aur bhi do-gaam sahi aa bhi jaaein ki nikal jaae miri hasrat-e-did un kaa aanaa hai agar maut kaa paighaam sahi"
K
Kaleem Saronji
Quote
"har saaat-e-bahaar-o-masarrat guzar gai dil kyaa gayaa ki lazzat-e-dard-e-jigar gai dil bujh gayaa vafaa pe qayaamat guzar gai achchhaa huaa ki gardish-e-shaam-o-sahar gai dil ko khayaal-e-gardish-e-dauraan nahin rahaa un ki nigaah-e-naaz pe ehsaan kar gai maanaa ki eatibaar-e-zamaana nahin rahaa ummid-e-raaegaan na dil-e-mo'tabar gai shaam-e-firaaq vo nahin aae nahin sahi duniyaa-e-aarzu to miri kuchh sanvar gai jalva-faroz tuur pe dekhaa to thaa 'kalim' puchho na vaqt-e-did jo dil par guzar gai"
K
Kaleem Saronji
Quote
"bekali dard mein shaamil kabhi aisi to na thi taba-e-parvaana-e-mahfil kabhi aisi to na thi aql gum-karda-e-manzil kabhi aisi to na thi zindagi mein koi mushkil kabhi aisi to na thi manzil-e-ishq mein kuchh mere junun se pahle azmat-e-lailaa-e-mahmil kabhi aisi to na thi inqilaabaat-e-zamaana kaa karam hai varna baat karni hamein mushkil kabhi aisi to na thi kaar-farmaa na thaa jab daur-e-siyaasat ai dost maslahat juzv-e-maraahil kabhi aisi to na thi itne pur-haul na the aql-o-junun ke jhagDe ziist barham-kun-e-mahfil kabhi aisi to na thi"
K
Kaleem Saronji
Quote
"ba-faiz-e-ishq ham ne jab khirad kaa raasta badlaa mazaaq-e-zindagi ke saath dil kaa muddaaa badlaa sukun-e-dil ki khaatir aaj andaaz-e-vafaa badlaa miri surat badal jaane se dil kaa muddaaa badlaa mohabbat hi mohabbat hai jidhar dekho zamaane mein miri qismat ki un haathon mein phir rang-e-hinaa badlaa mohabbat ki ye rusvaai khudaa jaane kahaan tak ho agar majbur-e-gham ho kar koi gham-aashnaa badlaa kuchh is andaaz se pahlu mein li hai dil ne angDaai mizaaj-e-ashk-e-gham haae ba-unvaan-e-hinaa badlaa sunaa to hai badal jaati hain roz-o-shab se taqdirein khudaa jaane na kyon ab tak 'kalim'-e-be-navaa badlaa"
K
Kaleem Saronji