SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKausar Siwani(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"maut ko ziist ki manzil kaa pataa kahte hain rah-rav-e-ishq fanaa ko bhi baqaa kahte hain ahl-e-vahshat kaa na kuchh pochhiye kyaa kahte hain vo to apnaa bhi kahaa un kaa kahaa kahte hain un ke kirdaar ki azmat ko bhalaa kyaa kahiye itne achchhe hain ki achchhon ko buraa kahte hain qaid-e-guftaar bhi hai bandish-e-raftaar bhi hai aise maahaul ko zindaan-e-balaa kahte hain be-sadaa barbat-e-khaamosh ko kahne vaalo sunne vaale to khamoshi ko sadaa kahte hain jo ghaTaa chhaa ke na barse vo ghaTaa kyaa hai ghaTaa haan agar TuuT ke barse to ghaTaa kahte hain ahl-e-haq dekh ke aaina-e-hasti 'kausar' aks kaa haal jo kahte hain bajaa kahte hain"
K
Kausar Siwani
Quote
"dab gai kyuun miri aavaaz kaho to kah duun is bhari bazm mein vo raaz kaho to kah duun mere naghmon ko sar-e-bazm tarasne vaalo be-sadaa kyuun hai miraa saaz kaho to kah duun apne mohsin kaa bhi ehsaan bhulaane vaale kis ne bakhshaa tumhein eazaaz kaho to kah duun kaise ghairon ko milaa gosha-e-pinhaan kaa suraagh kaun nigaraan thaa daghaabaaz kaho to kah duun jab tumhein apni gharaz thi to milaa di tum ne kis ki aavaaz mein aavaaz kaho to kah duun jism-e-inkaar pe iqraar kaa rahtaa hai libaas un ki guftaar kaa andaaz kaho to kah duun mujh mein 'kausar' thi nihaan taaqat-e-parvaaz magar kis ne kaaTe par-e-parvaaz kaho to kah duun"
K
Kausar Siwani
Quote
"vo tujh ko toD ke misl-e-habaab kar degaa tiraa ghurur tujhe aab aab kar degaa Thahar sakegi kahaan shabnami guhar ki chamak bas ik nazar mein fanaa aaftaab kar degaa kabhi to phailegi baagh-e-hayaat mein khushbu gulaab khil ke fazaa ko gulaab kar degaa rukh-e-fareb pe Thahregi kyaa naqaab-e-fareb tiraa fareb tujhe be-naqaab kar degaa na raas aaegi taabir-e-khvaab-e-mustaqbil ye vaqt khvaab ke manzar ko khvaab kar degaa dikhaa ke chehra-e-maazi ke khadd-o-khaal tujhe savaal-e-daur-e-ravaan laa-javaab kar degaa jahaan ko degi jo 'kausar' payaam-e-amn-o-amaan adib-e-vaqt raqam vo kitaab kar degaa"
K
Kausar Siwani
Quote
"saahil pe kyaa hai bahar ke andar talaash kar gahraaiyon mein Duub ke gauhar talaash kar jis mein hayaat-bakhsh nazaaraa dikhaai de gulzaar-e-zindagi mein vo manzar talaash kar dete hain ab sadaa tujhe mirrikh o maahtaab kyaa kyaa hain un ki god mein jaa kar talaash kar miT jaae jis ke nuur se zulmat hayaat ki aisaa koi charaagh-e-munavvar talaash kar tufaan-e-bahar-e-zist mein kashti na gharq ho ai naakhudaa panaah kaa langar talaash kar jis daaere mein dauD lagaataa rahaa hai tu us daaere ke daur kaa mehvar talaash kar 'kausar' ho tujh ko khud se jo milne ki aarzu apne ko apne aap mein kho kar talaash kar"
K
Kausar Siwani
Quote
"tanur-e-vaqt ki hiddat se Dar gae ham bhi magar tapish mein tape to nikhar gae ham bhi jahaan pahunch ke musaafir ke rukh badalte hain rah-e-hayaat ke us moD par gae ham bhi jalaa diyaa thaa safina utar ke saahil par junun-e-fath mein kyaa kyaa na kar gae ham bhi jadid rang se maddham huaa na rang-e-kuhan qadim rang mein vo rang bhar gae ham bhi qadam qadam pe sitam sah ke ji rahe the jise usi hayaat ki baanhon mein mar gae ham bhi na kuchh junun-e-tajassus kaa puchhiye aalam kahaan kahaan se na 'kausar' guzar gae ham bhi"
K
Kausar Siwani
Quote
"bhaTak jaate hain rahbar rahbari mein kuchh aisi manzilein hain zindagi mein pataa kaise mile us laapata kaa jo gum rahtaa ho apne aap hi mein khabar-daar ai miri vahshat khabar-daar koi laghzish na ho divaangi mein na yunhi be-khudi mein gum hai koi nihaan raaz-e-khudi hai be-khudi mein farishte bhi samajhne se hain qaasir bashar kyaa hai libaas-e-aadmi mein tumhein hai raushni par naaz lekin nihaan hai tirgi bhi raushni mein hasin takhil ki paikar-taraashi na ho 'kausar' to kyaa hai shaaeri mein"
K
Kausar Siwani
Quote
"sulaa kar tez dhaaron ko kinaaro tum na so jaanaa ravaani zindagaani hai to dhaaro tum na so jaanaa mujhe tum ko sunaani hai mukammal daastaan apni adhuri daastaan sun kar sitaaro tum na so jaanaa tumhaare daaere mein zindagi mahfuz rahti hai nizaam-e-bazm-e-hasti ke hisaaro tum na so jaanaa tumhin se jaagtaa hai dil mein ehsaas-e-ravaa-daari qayaam-e-rabt-e-baaham ke sahaaro tum na so jaanaa agar niind aa gai tum ko to chashme suukh jaaeinge kabhi ghaflat mein paD kar kohsaaro tum na so jaanaa tumhin se bahr-e-hasti mein ravaan hai kashti-e-hasti agar saahil bhi so jaaein to dhaaro tum na so jaanaa sadaa-e-dard ki khaatir tumhein 'kausar' ne chheDaa hai shikasta-saaz ke bedaar taaro tum na so jaanaa"
K
Kausar Siwani
Quote
"chhaai hai qayaamat ki ghaTaa dekhiye kyaa ho barse to barasne ki adaa dekhiye kyaa ho khul khul ke sabhi phuul to masrur hain lekin masmum hai gulshan ki fazaa dekhiye kyaa ho phir josh mein hain aaj mire madd-e-muqaabil hai meri vafaa un ki jafaa dekhiye kyaa ho sar joD ke baiThe hain sabhi sulh ki khaatir hain un ke khayaalaat judaa dekhiye kyaa ho tufaan havaadis mein jalaane to chalaa huun ik mehr-o-ukhuvvat kaa diyaa dekhiye kyaa hu haq baat bhi arbaab-e-adaalat ko khali hai izhaar-e-haqiqat ki sazaa dekhiye kyaa ho sahraa-e-tajassus mein talaash apni hai 'kausar' kuchh yaad nahin apnaa pataa dekhiye kyaa ho"
K
Kausar Siwani
Quote
"khul gayaa uqda-e-hasti to kafan maang liyaa ziist ne maut se jiine kaa chalan maang liyaa phuuT kar sina-e-kohsaar se bahne ke liye chashma-e-aab ne daamaan-e-daman maang liyaa kyaa taajjub hai agar maang li chehre se naqaab daur-e-haazir ne to pairaahan-e-tan maang liyaa ban gayaa halqa-e-zulmat jo paDaa aks-e-zamin chaand ne khud to nahin baDh ke gahan maang liyaa jis ki aaghosh mein maazi ki amaanat thi nihaan us ne maangaa to vahi qasr-e-kuhan maang liyaa jalne vaalon ne bhi shahnaaz-e-ghazal se 'kausar' husn-e-fan maang liyaa rang-e-sukhan maang liyaa"
K
Kausar Siwani