SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"taqdir ke darbaar mein alqaab paDe the ham log magar khvaab mein be-khvaab paDe the yakh-basta havaaon mein thi khaamosh haqiqat ham soch ki dahliz pe betaab paDe the tasvir thi ehsaas ki tahrir havaa ki sahraa mein tire aks ke girdaab paDe the kal raat mein jis raah se ghar lauT ke aayaa us raah mein bikhre hue kuchh khvaab paDe the vo phuul jinhein aap ne dekhaa thaa adaa se ujDe hue mausam mein bhi shaadaab paDe the pachchis baras baad use dekh ke sochaa ik qatra-e-kam-zaat mein gharqaab paDe the ham log to akhlaaq bhi rakh aae hain 'saahil' raddi ke isi Dher mein aadaab paDe the"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"baDe jatan se baDe soch se utaaraa gayaa miraa sitaaraa sar-e-khaak bhi sanvaaraa gayaa miri vafaa ne junun kaa hisaab denaa thaa so aaj mujh ko bayaabaan se pukaaraa gayaa bas ek khauf thaa zinda tiri judaai kaa miraa vo aakhiri dushman bhi aaj maaraa gayaa mujhe yaqin thaa is tajrabe se pahle bhi sunaa hai ghair se jalva nahin sahaaraa gayaa sajaa diyaa hai tasavvur ne dhuup kaa manzar agarche barf ki tasvir se guzaaraa gayaa milaa hai khaak se nisbat kaa phir sila mujh ko miraa hi naam hai gardun se jo pukaaraa gayaa main dekhtaa rahaa duniyaa ko duur se 'saahil' mire makaan se aage talak kinaaraa gayaa"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"yuun dil o jaan ki tauqir mein masruf thaa main jaise ajdaad ki jaagir mein masruf thaa main tisha-e-vaqt ne buniyaad hilaa di varna har ghaDi zaat ki taamir mein masruf thaa main khvaab dekhaa thaa mohabbat kaa mohabbat ki qasam phir isi khvaab ki taabir mein masruf thaa main lafz rangon mein nahaae hue ghar mein aae teri aavaaz ki tasvir mein masruf thaa main ek ik pal miri palkon mein simaT aayaa hai ahd-e-gum-gashta ki tahrir mein masruf thaa main ab tire vaaste aabaad karungaa duniyaa ek arsa tiri taqdir mein masruf thaa main"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"main bhi huzur-e-yaar bahut der tak rahaa aankhon mein phir khumaar bahut der tak rahaa kal shaam mere qatl ki taarikh thi magar dushman kaa intizaar bahut der tak rahaa ab le chalaa hai dasht mein meraa junun mujhe is jin pe ikhtiyaar bahut der tak rahaa vo inkishaaf-e-zaat kaa lamha thaa khul gayaa shaayad darun-e-ghaar bahut der tak rahaa ab dekhte ho koi sahaaraa mile tumhein main bhi to ashk-baar bahut der tak rahaa tum maslahat kaho yaa munaafiq kaho mujhe dil mein magar ghubaar bahut der tak rahaa main khaak aasmaan ki bulandi ko dekhtaa apnon pe e'tibaar bahut der tak rahaa ilzaam-e-khud-sari bhi to saabit kiyaa gayaa main jab ki khaaksaar bahut der tak rahaa 'saahil' miri balaa se miraa hashr hogaa kyaa duniyaa mein baa-vaqaar bahut der tak rahaa"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"mere bhi kuchh gile the magar raat ho gai kuchh tum bhi ki rahe the magar raat ho gai duniyaa se duur apne baraabar khaDe rahe khvaabon mein jaagte the magar raat ho gai aa'saab sun rahe the thakaavaT ki guftugu uljhan thi masale the magar raat ho gai aankhon ki raushni mein andhere bikhar gae kheme se kuchh jale the magar raat ho gai ai dil ai mere dil ye sunaa hai ki shaam ko ghar se vo chal paDe the magar raat ho gai aisi bhi kyaa vafaa ki kahaani thi ro paDe kuchh silsile chale the magar raat ho gai kuchh ziine ikhtiyaar ke chaDhne lagaa thaa main kuchh vo utar rahe the magar raat ho gai dushman ki dosti ne masaafat sameT li qadmon mein raaste the magar raat ho gai 'saahil' fareb-e-fikr hai duniyaa ki daastaan kuchh raaz khul chale the magar raat ho gai"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"main apni aankh bhi khvaabon se dho nahin paayaa main kaise dungaa zamaane ko jo nahin paayaa shab-e-firaaq thi mausam 'ajib thaa dil kaa main apne saamne baiThaa thaa ro nahin paayaa miri khataa hai ki main khvaahishon ke jangal mein koi sitaara koi chaand bo nahin paayaa hasin phulon se divaar-o-dar sajaae the bas ek barg-e-dil aasaa piro nahin paayaa chamak rahe the andhere mein soch ke jugnu main apni yaad ke kheme mein so nahin paayaa nahin hai harf-e-tasalli magar kahun 'saahil' nahin jo paayaa kahin yaar to nahin paayaa"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"apne aansu hain tumhaare nahin ro saktaa main aaj aankhon se sitaare nahin ro saktaa main ek taklif kaa dariyaa hai badan mein lekin baiTh kar is ke kinaare nahin ro saktaa main main huun majzub mire dil ki haqiqat hai alag laakh hote hon khasaare nahin ro saktaa main jism hai ruuh ki hiddat mein pighalne vaalaa huun sharaabor sharaare nahin ro saktaa main main tamaashaa huun tamaashaai hain chaaron jaanib sharm hai sharm ke maare nahin ro saktaa main bad-gumaan hone lagaa hai ye tayaqqun kaa jahaan mujh ko afsos hai pyaare nahin ro saktaa main zarre zarre mein qayaamat kaa samaan hai 'saahil' ek hi dil ke sahaare nahin ro saktaa main"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"lutf duniyaa to faqat dida-e-namnaak mein hai shaikh saahab ki nazar aaj bhi aflaak mein hai jis ne taamir kiyaa mujh ko lahu haathon se khaak ho jaaun ki vo shakhs bhi ab khaak mein hai mujh ko majbur kiyaa hai miri majburi ne aaj bhi meri anaa kaaghzi poshaak mein hai main jo bimaar huaa us ne ayaadat ki hai khu-e-rahmat bhi usi qaatil-e-saffaak mein hai ai dil-e-hijr-zada mujh ko na rusvaa karnaa sharm thoDi si abhi lahja-e-bebaak mein hai meri rusvaai mein shaamil nahin mere chehre haakim-e-shahr magar aaj bhi is taak mein hai shahr-e-be-mehr mein zinda thaa faqat main 'saahil' mere ehsaas kaa qaatil miri poshaak mein hai"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"kisi bhi raah pe ruknaa na faisla kar ke bichhaD rahe ho miri jaan hausla kar ke main intizaar ki haalat mein rah nahin saktaa vo intihaa bhi kare aaj ibtidaa kar ke tiri judaai kaa manzar bayaan nahin hogaa main apnaa saaya bhi rakkhun agar judaa kar ke mujhe to bahr-e-balaa-khez ki zarurat thi simaT gayaa huun main duniyaa ko raasta kar ke kisi khayaal kaa koi vajud ho shaayad badal rahaa huun main khvaabon ko tajraba kar ke kabhi na faisla jaldi mein kijiye 'saahil' badal bhi saktaa hai kaafir vo bad-duaa kar ke"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"jo shakhs aab-o-havaa par yaqin rakhtaa hai vo mausamon ki ataa par yaqin rakhtaa hai tamaam umr mohabbat nahin mili jis ko sunaa hai vo bhi khudaa par yaqin rakhtaa hai charaagh us kaa kabhi bhi jalaa nahin lekin vo aaj tak bhi duaa par yaqin rakhtaa hai hamesha TuuT ke aataa hai mere pahlu mein vo bevafaa bhi vafaa par yaqin rakhtaa hai koi gharaz nahin us ko kisi sakhaavat se faqir apni sadaa par yaqin rakhtaa hazaar us ko sahaare milein magar 'saahil' naa-binaa apne asaa par yaqin rakhtaa hai"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"main sharmsaar huun apne zamir ke aage ki haath khaali thaa meraa faqir ke aage miraa yaqin thaa hadd-e-gumaan ke andar kabhi bhi sochaa nahin hai lakir ke aage koi to jazba thaa mahjur ke khayaalon mein pighal rahi thiin salaasil asiir ke aage charaagh-e-sahari thaa lekin ajiib raushan thaa chamak rahaa thaa vo maah-e-munir ke aage main kaise us ke likhe par yaqin kar letaa qalam bhi girvi thaa jis kaa amiir ke aage har ek shakhs thaa kamzor-o-naatavaan 'saahil' badan-darida thaa har ik sharir ke aage"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"javaab jis kaa nahin koi vo savaal banaa main khvaab mein use dekhun koi khayaal banaa main e'tiraaf ke mausam mein chup nahin rahtaa mire khudaa miri hasti ke khadd-o-khaal banaa vo kaun hai jo miri hijraton se TuuT gayaa vo kaun shakhs hai jo aaina-misaal banaa vo kis ke dhyaan mein aayaa thaa mausamon ki tarah vo kaun hai jo miri soch kaa khayaal banaa main kis yaqin se likkhaa gayaa huun miTTi par vo kaun hai jo mire silsile ki Dhaal banaa tu iztiraab ke rangon se aashnaa hi nahin bas ek til ke liye zaaiche mein gaal banaa main kho gayaa huun kahin vaqt ke tahayyur mein mire khudaa mire din raat maah o saal banaa"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil
Quote
"ek talvaar hai talvaar bhi do dhaari hai zindagi phuul hai patthar se magar bhaari hai ek aadat si hai bezaar tabiat rahnaa varna us vaqt kahaan koi bhi be-zaari hai sarfaroshi kaa maza hai na khataa-poshi kaa dushman-e-jaan bhi jazbaat se ab aari hai aao sansaar ki qimat mein lagaaein boli log kahte hain ki insaan mein naadaari hai jaane kis soch ke lamhe ne chhuaa hai tujh ko ik ajab kaif miri ruuh pe bhi taari hai tishna tishna se badan mein hai sharaabi nashsha chashma-e-faiz tiri aankh se phir jaari hai"
KHalid Malik SahilKHalid Malik Sahil