Quote
"kahaa kisi ne ki hai chhalaavaa kisi ne tashbih di pari se vo aaj mahfil mein jalva-aaraa hue hain is shaan-e-dilbari se koi ishaara na kuchh kinaaya kahi hai ik baat saadgi se abhi ho naadaan nasib-e-aa’daa kahin uThaao na zak kisi se nahin ki dil aashnaa nahin hai rumuz-o-aadaab-e-'aashiqi se kuchh is mein tark-e-vafaa nahin hai uThaaein gar haath zindagi se liyaa kaf-e-paa kaa main ne bosa kuchh is mein tark-e-adab nahin thaa chalo haTaao qusur meraa khataa bhi hoti hai aadmi se mariz kaa ab labon pe dam hai shifaa ki ummid is ki kam hai jo ab bhi aao baDaa karam hai ki saans hain chand aakhiri se nahin bhale un ke taur ye bhi koi balaa hogi aur ye bhi na ho koi tarz-e-jaur ye bhi ki aa gae baaz kajravi se baDaa hi pur-lutf hogaa manzar kareinge us dam salaam jhuk kar ki dekhte hoge pesh-e-daavar hamein pashemaan se multaji se milegaa aghyaar ko bahaana uThaaegaa ungliyaan zamaana jinhein hai paas-e-vafaa ye maanaa vo munh na moDeinge bandagi se savaal saail kaa yuun na moDo javaab se us kaa dil na toDo dil-e-shikasta ko balki joDo tum apne altaaf-e-khusravi se sunaaein kyaa maajraa-e-ulfat hai ek 'aalam mein us ki shohrat tumhaare jalve hamaari vahshat hain didani se shanidani se 'ajib hai rog 'aashiqi kaa kare bhi koi to kyaa mudaavaa na 'khaar' aisaa mariz dekhaa taDap uThe dard ki kami se"







