SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jab talak saanson ko bu-e-dilrubaa milti rahi chaaraagar se qalb-e-muztar ko davaa milti rahi jis kisi se bhi vafaa ki bas jafaa milti rahi 'umr bhar jurm-e-mohabbat ki sazaa milti rahi ham guzarte hain vahaan se thaam kar qalb-o-jigar jis gali jis moD par vo mah-laqaa milti rahi kitne naadaan the ki us ki justuju karte rahe jaane kis kis aashnaa se be-vafaa milti rahi zindagi bhar har khushi bas buund bhar milti rahi har ghaDi ranj-o-alam ban kar qazaa milti rahi ham taDapte hi rahe jis ki jhalak ke vaaste vo 'adu se khol ke band-e-qabaa milti rahi 'iid ke din bhi gale miltaa nahin dilbar 'sahaab' baanhon mein bhar-bhar mujhe khalq-e-khudaa milti rahi"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"miThe do lafzon ko ham pyaar samajh lete hain 'ishq mein khud ko giraftaar samajh lete hain taair-e-'ishq asiri ko samajhte hain bahaar qafas-e-'ishq ko gulzaar samajh lete hain qissa-e-'ishq ke aaghaaz se pahle jaanaan aao ik duuje ke kirdaar samajh lete hain hiir raanjhe ki tarah ham bhi na dhokaa khaaein kaun hai sachchaa taraf-daar samajh lete hain shirin farhaad saa anjaam na hone paae toDnaa kaise hai kohsaar samajh lete hain biich dariyaa mein nahin kachche ghaDe par marnaa kaise lagnaa hai hamein paar samajh lete hain sang-baari ki sazaa lailaa-o-majnun ne sahi ham na Thahreinge sazaa-vaar samajh lete hain 'ishq-e-paakiza ko rakhnaa hai bachaa kar un se vo jo yusuf ko gunahgaar samajh lete hain khud-gharaz log jahaan 'ishq se uktaa jaaein 'ishq ko jaan kaa aazaar samajh lete hain rif'at-e-fan unhein qadmon mein paDi milti hai apnaa kirdaar jo fankaar samajh lete hain husn ki devi kaa be-vajh meherbaan honaa kisi saadhu kaa chamatkaar samajh lete hain shaa'iri meri kahaan un ko samajh aaegi ye bhalaa kam hai ki akhbaar samajh lete hain daad dete hain vahi khul ke sukhanvar ko 'sahaab' jo sukhan-fahmi se ash'aar samajh lete hain"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"daaman-e-dil ke rafu kaa jab hunar bhi aaegaa ziist ki mushkil Dagar se tu guzar bhi aaegaa ibn-e-aadam mat samajh aasaan jannat kaa safar dekhnaa raste mein mamnu'a shajar bhi aaegaa tu muqaddar ke likhe par dil se raazi hogaa jab tab tabassum tere honTon par nazar bhi aaegaa bhuul kar sab kuchh chale ho des se pardes ko rafta-rafta yaad apnaa pyaaraa ghar bhi aaegaa apnon ki yaadein liye niklegaa har din aaftaab hijr ke saae liye shab mein qamar bhi aaegaa baiThe baiThe apne ghar ke baam-o-dar chuum aaoge yaad aangan mein lagaa buDhaa shajar bhi aaegaa saath rah kar hi khuleingi khaamiyaan aur khubiyaan jo rahaa nazron se ojhal vo nazar bhi aaegaa she'ron mein shaamil karo khun-e-jigar bhi kuchh 'sahaab' tab kahin jaa kar ghazal mein kuchh asar bhi aaegaa"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"ghar pe bharti jab hasin ik naukraani ho gai ghar ke maalik par phir us ki hukmraani ho gai suukh kar kaanTaa huaa begam ki main khaa khaa ke maar tang shaadi ki khuli ab shervaani ho gai us ke kapDon se banaa saktaa huun main tambu qanaat phuul kar kuppaa miri moTi zanaani ho gai sochtaa huun dusri kaa puchh luun begam se main pahle vaali shervaani ab puraani ho gai phir nahin rukti jo paTri se utar jaae kabhi ab zabaan ki rail ki dugni ravaani ho gai taak kar begam ne maari Taanke aae sar pe chaar us ko gham hai chaar TukDe chaae-daani ho gai"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"jab judaa ham tum hue the mausam-e-dil zard thaa aankhon mein thi gham ki rim-jhim jaan kaa suraj sard thaa kuchh baras pahle talak yaan har koi hamdard thaa ek duuje ke liye sab ke dilon mein dard thaa jab bisaat-e-zindagi par vaqt ne baazi chali maat us ne di mujhe jo mere ghar kaa fard thaa shahr-e-jaan ke baam-o-dar ik shakhs ulaT kar chal diyaa ho na ho vo dushman-e-jaan koi dahshat-gard thaa khaak-o-khun mein Duub kar apnaa vatan haasil huaa aabla-paa the magar pur-azm har ik fard thaa chaah baiThaa thaa jise main jaan kar ik aaina haae sad-afsos ki vo aaine ki gard thaa 'aks harjaai miTaa aaina-e-dil se 'sahaab' ve sitamgar be-muravvat bevafaa be-dard thaa"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"dekhaa use, qamar mujhe achchhaa nahin lagaa chhu kar use, guhar mujhe achchhaa nahin lagaa chaahaa use to yuun ki na chaahaa kisi ko phir koi bhi umr bhar mujhe achchhaa nahin lagaa aaina dil kaa toD ke kahtaa hai sang-zan dil teraa toD kar mujhe achchhaa nahin lagaa dil se mire ye kah ke sitamgar nikal gayaa dil hai tiraa khanDar mujhe achchhaa nahin lagaa uglaa safar ho mere khudaa raahaton bharaa jivan kaa ye safar mujhe achchhaa nahin lagaa dekhaa jo is ke dar pe raqibon kaa ik hujum phir us ke ghar kaa dar mujhe achchhaa nahin lagaa tajdid-e-rasm-o-raah pe vo to rahaa musir vo bevafaa magar mujhe achchhaa nahin lagaa is kaa hi zikr bas tumhein achchhaa lage 'sahaab' kahte ho tum magar mujhe achchhaa nahin lagaa"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"teri jafaa kaa gham hai magar itnaa gham nahin mar jaaein tere vaaste paagal to ham nahin 'ishq-o-junun mein hausla majnun se kam nahin sahraa ki musht-e-khaak se ghabraate ham nahin dast-e-raqib mein diye us ne badan ke kham chhu paae ham to reshmi zulfon ke kham nahin aankhon mein bhar ke laayaa thaa manzar jo des ke pardes ke kharaabon mein jannat se kam nahin chakkhi hai us ne jab se mire 'ishq ki miThaas amrat saa ab zabaan mein hai pahle saa sam nahin nafrat daghaa fareb jafaa aashnaaiyaan kyaa kyaa sitam-shi'aar ne toDe sitam nahin likkheinge she'r she'r mein jurm-e-jafaa tiraa dil hai do-lakht haath hamaare qalam nahin khanjar jafaa kaa siine mein mere utaar kar aayaa zaraa bhi chashm-e-sitamgar mein nam nahin jaur-o-jafaa 'sahaab' pe Dhaae vo roz-o-shab bhule se bhi 'inaayat-e-lutf-o-karam nahin"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"ab ye kahte ho tum se mohabbat nahin jab koi aur jiine ki surat nahin ab tiraa hijr bardaasht kaise karein hijr se baDh ke koi qayaamat nahin sang-dil tu ne maaraa hai tir-e-jafaa aaina mere dil kaa salaamat nahin matlabi shakhs thaa saaf kah kar gayaa ab mujhe teri koi zarurat nahin zikr us ki jafaaon kaa har samt hai us ki aankhon mein phir bhi nadaamat nahin har ghaDi zahr hi ab ugalte hain lab un ke boson mein ab vo halaavat nahin ham 'sahaab' us ko kaise kahein chaand saa is qadar chaand to khub-surat nahin"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"ham 'ishq ke safar mein saraabon mein kho gae raah-e-junun pe chal ke kharaabon mein kho gae kuchh phuul saj gae hain mohabbat ki sej par murjhaa ke chand phuul kitaabon mein kho gae pyaasi hai gar zamin to pyaasaa hai aasmaan baarish ke qatre tishna sahaabon mein kho gae shirin labon se jaane vo kyaa boltaa rahaa ham nim-vaa labon ke gulaabon mein kho gae paimaane bhar ke jab diye saaqi ne be-hijaab murshid murid piir sharaabon mein kho gae detaa rahaa javaab vo har ik savaal kaa saare savaal us ke javaabon mein kho gae maan ki du'aaein aafaton ko Taalti rahin maan se bichhaD ke sakht 'azaabon mein kho gae din bhar khayaal-e-yaar mein tum gum rahe 'sahaab' Dhalte hi raat yaar ke khvaabon mein kho gae"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"mohabbat ki jo miTTi se bane insaan hote hain vafaa ke jurm mein aksar pas-e-zindaan hote hain bahut khaamosh rahte hain jafaa ke gham ko sahte hain kisi viraan raste ki tarah sunsaan hote hain binaa soche binaa samjhe jahaan dil de diyaa jaae vahaan jaur-o-jafaa ke bhi bahut imkaan hote hain samajhte hain hasinon ko vafaa-surat vafaa-sirat ye 'aashiq log bhi kaise 'ajab naadaan hote hain agar dil ke samundar mein ho madd-o-jazr ki shorish to aankhon ke nagar mein bhi bahut tufaan hote hain giraa deti hain un ko aandhiyaan yak-lakht dharti par jaDon se jo shajar bhi khokhle be-jaan hote hain hazaaron khvaahishon ke ham mahal taa'mir karte hain kahaan puure bhalaa dil ke sabhi armaan hote hain 'sahaab' apnaa ta'alluq soch kar tum toDnaa un se ye bandhan toDne itne kahaan aasaan hote hain"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"sang ki zad pe sahi aaina-khaane mere hargiz aasaan nahin 'aks miTaane mere mujh se milte hi nahin yaar puraane mere kyaa unhein bhuul gae saare Thikaane mere vasl ki shab jo khulin band-e-qabaa ki girhein hosh sab chhin liye hosh-rubaa ne mere jism ki khaak mein madfan thaa khazina dil kaa koi aayaa hi nahin dil ko churaane mere chhoD baiThe ho to ab chhoD do pichhaa meraa yaad kyon aate ho ab dil ko dukhaane mere haan kabhi phuul yaa khushbu bhare khat hote the ab to rahti hain kitaabein hi sirhaane mere jaane kis sehr se soyaa hai muqaddar yaa-rab bhej qismat ki pari bakht jagaane mere us ne chhoDaa na kabhi tarz-e-taghaaful ko 'sahaab' jis se mansub hue saare fasaane mere"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"na dil mein anaa hai na koi hasad hai na fitrat mein bughz-o-adaavat na kad hai hamesha sabhi kaa bhalaa hi kiyaa hai bhale nek hai yaa bhale koi bad hai kisi ki jo mushkil ko aasaan kar de khudaa us ki mushkil mein kartaa madad hai main dil chiir kar duun dalil-e-mohabbat ki us ne mohabbat ki maangi sanad hai tire 'ishq ne vo junun hai jagaayaa hui chaak meri qabaa-e-khirad hai kisi se karegaa bhalaa vo vafaa kyaa vafaa ke jo maa'ni se hi naa-balad hai khudaayaa ghazab yaa koi maslahat hai tu kartaa miri har du'aa mustarad hai dil-e-naa-tavaan kab talak hijr kaaTe miri jaan sitam ki tire koi had hai kisi roz basnaa hai zer-e-zamin bhi kahin par mire naam ki bhi lahad hai 'sahaab' is jahaan mein har ik shai hai faani ki laafaani bas ik khudaa-e-ahad hai"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"ik jafaa-kaar ko dil-daar samajh baiThe the dushman-e-jaan thaa jise yaar samajh baiThe the jis sitamgar ne mujhe apnaa nahin samjhaa thaa us ko meraa sabhi aghyaar samajh baiThe the hijr ki raat kaTi chaand ko takte takte chaand ko yaar kaa rukhsaar samajh baiThe the muddaton baa'd kiyaa us ne mohabbat ko qubul ham to taakhir ko inkaar samajh baiThe the vasl ki subh the ham 'aalam-e-madhoshi mein duniyaa vaale hamein mai-khvaar samajh baiThe the pir-o-mullaa ne tire ghar ko hai mil kar luuTaa jubba dastaar ko kirdaar samajh baiThe the hashr ke roz thaa aa'maal se daftar khaali ziist ko dirham-o-dinaar samajh baiThe the aabla-paai mili dasht-e-mohabbat mein 'sahaab' raah-e-pur-khaar ko gulzaar samajh baiThe the daad kyaa milti unhein bazm-e-sukhan mein ai 'sahaab' uljhe afkaar ko ash'aar samajh baiThe the"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"in ke rukh par hijaab rahtaa hai jaise mah par sahaab rahtaa hai vasl kaa jab savaal ho un se bas ''nahin'' mein javaab rahtaa hai paas rah kar bhi darmiyaan apne faasla be-hisaab rahtaa hai husn vaalon se jo vafaa chaahe us kaa khaana kharaab rahtaa hai ham-safar sohni si ho koi mere khuun mein chanaab rahtaa hai misl-e-taaer havaa mein uDtaa huun meri aankhon mein khvaab rahtaa hai reg-e-sahraa unhein nigalti hai jin ki rah mein saraab rahtaa hai maan ki jis ko duaaein mil jaaein umr bhar kaamyaab rahtaa hai jaane kis khaak se banaa huun main ruuh mein iztiraab rahtaa hai uljhe rishton ki talkh uljhan mein uljhaa uljhaa 'sahaab' rahtaa hai"
L
Laeeq Akbar Sahaab
Quote
"doston ne ye gul khilaayaa thaa haath dushman se jaa milaayaa thaa aastinon mein saanp paale the duudh khud hi unhein pilaayaa thaa zakhm kaari bahut lagaa dil par tiir apnon ne ik chalaayaa thaa barq maangi nahin falak tujh se ham ne khirman ko khud jalaayaa thaa dil ko zakhmon se chuur honaa thaa ishq ki raah par chalaayaa thaa puchhte ho dhuaan hain kyuun aankhein jaan ki basti mein dil jalaayaa thaa main to bhulaa nahin 'sahaab' us ko us ne kaise mujhe bhulaayaa thaa"
L
Laeeq Akbar Sahaab