SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"paate hain muddaaa ko gham-e-muddaaa se ham sarshaar hain tamanni-e-be-iltijaa se ham ab jis pe chaahein rakh dein vo ilzaam-e-mai-kashi hai mast ham se un ki adaa aur adaa se ham begaangi ne teri diyaa hosh-e-ghairati saabit hue hain kis sitam-e-naa-ravaa se ham baiThe rahe vo khun-e-tamannaa kiye hue dekhaa kiye unhein nigah-e-iltijaa se ham teraa shabaab hai gham-e-ulfat ki ibtidaa yaani hue shurua tiri intihaa se ham ab kis se jaa ke un ki shikaayat bayaan karein un se bhi pahle ruuTh chuke hain khudaa se ham aazaad hai alaaeq-e-rasm-o-rivaaj se 'maikash' ko jaante hain bahut ibtidaa se ham"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"shauq ke daftar dilon mein rah gae garche aashiq daastaanein kah gae dil mein khud un ke bhi chubh kar rah gae vo nazar ke tiir jo ham sah gae mehrbaani aap ki yaadash-ba-khair vaqt ki maujon mein aalam bah gae thaa tiri nazron mein vo jaadu ki ham jo na kahnaa chaahte the kah gae thi junun-aamez apni guftugu baat matlab ki bhi lekin kah gae nazaa tak dil us ko dohraayaa kiyaa ik tabassum mein vo kyaa kuchh kah gae aaj vo mahfil mein 'maikash' ki tarah kuchh na bole aur sab kuchh kah gae"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"main ne is shoabda-gar dil ko kahaan chhoD diyaa aap ke madd-e-muqaabil ko kahaan chhoD diyaa justuju hai to magar yaad nahin kis ki hai zauq-e-rahgir ne manzil ko kahaan chhoD diyaa kah gaiin kyaa tiri nazrein ki hai viraan saa dil laa ke tufaan ne saahil ko kahaan chhoD diyaa vo nazar teri jo mujh par na thi aur mujh par thi tu ne us khalvat-e-mahfil ko kahaan chhoD diyaa jal gai shama jo baaqi na rahe parvaane dil-jalon ne tiri mahfil ko kahaan chhoD diyaa yaan na ummid kaa gulshan hai na viraana-e-yaas be-khudi tu ne mire dil ko kahaan chhoD diyaa"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"ghurur-e-husn ko aks-e-niyaaz-e-aashiqi samjhe zahe ghaflat ki ham ghaflat ko teri aagahi samjhe hamaari baat ko jo aap samjhe ham vahi samjhe magar is aashiqaana maslahat ko aap bhi samjhe taraqqi-yaafta surat jahaalat ki hai ilm apnaa jo kuchh samjhe vahi dekhaa jo kuchh dekhaa vahi samjhe kuchh is andaaz se paidaa huaa ulfat kaa gham dil mein ki gham hi is ko kah sakte the lekin ham khushi samjhe unhein jab rahm aataa hai to mujh par zulm karte hain na samjhaa koi fitrat aashiqi ki ik vahi samjhe hayaa-aagin sukut-e-naaz thaa izhaar-e-ulfat par magar majbur thi ulfat ki us ko naa-khushi samjhe qadam ik aur aage rakh maqaam-e-hosh sajde se khudaai ki vo khvaahish hai jise sab bandagi samjhe na samjhaa hai na samjhegaa zamaana mujh ko ai 'maikash' kiyaa hai jis ne divaana jo samjhe to vahi samjhe"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"sharminda-e-nigaah-e-karam ho ke rah gayaa shikva zabaan pe shukr-e-sitam ho ke rah gayaa he he vo shauq aap ke mushtaaq-e-did kaa jo dil mein Tiis aankh mein nam ho ke rah gayaa anjaam apne soz kaa ai be-khabar na puchh ik tiir thaa ki siine mein dam ho ke rah gayaa hasrat pe kyon na roiye maqtul-e-ishq ki do-chaar roz aap ko gham ho ke rah gayaa tum ko to ek ye ki na aae magar yahaan shauq-e-visaal hijr kaa gham ho ke rah gayaa tum ne kiyaa na qatl mujhe ek roz bhi ye shauq dil mein tegh-e-sitam ho ke rah gayaa 'maikash' ye naa-tamaami-e-taasir-e-gham to dekh yaani kisi ko shauq-e-sitam ho ke rah gayaa"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"shab-e-furqat ki taariki mein shaamil hai ghubaar apnaa isi sahraa mein khoyaa ishq ne ahd-e-bahaar apnaa miTaa gulshan to uTh kar khaak-e-gul se ham kahaan jaate jahaan gulshan thaa pahle ab vahin par hai mazaar apnaa tire jalvon mein gum hon yaa tiri furqat mein miT jaaein ye ham samjhe hue hain hai fanaa anjaam-e-kaar apnaa hujum-e-yaas mein begaanagi kaa shikva kis se ho na ham apne na dil apnaa na jaan apni na baar apnaa kahaan ab vo surur-e-daur-e-avval bazm-e-hasti mein jise kahte hain duniyaa hai vo ai 'maikash' khumaar apnaa"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"talkhi jo mire dil mein gham-e-zist ne gholi vo main ne tamanna ki halaavat mein samo li chhiDkaa mire daaman pe miraa khun-e-tamannaa kyaa aise hi hoti hai tire raaj mein holi pakDaa hi gayaa chor tavajjoh kaa sar-e-bazm kheli thi nigaahon se miri aankh-micholi yuun mast nigaahon se na kar dast-daraazi pairaahan-e-tamkin ki masak jaae na choli jo us ke iraade mein na marham thi na nashtar main ne vo nazar aap hi siine mein chubho li gulshan thaa na mahfil thi na saaqi thaa na 'maikash' jhapkaa ke zaraa main ne palak aankh jo kholi"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"main haqiqat mein kabhi ghair pe maail na huaa na milaa us se jo vajh-e-khalish-e-dil na huaa umr-bhar teri tamannaaein mire dil mein rahin dil magar teri tamannaaon ke qaabil na huaa ho gai dard ye darmaan-talabi hi yaani tum se milne se ba-juz ranj ke haasil na huaa na ho sharminda jafaa kar ke main qurbaan tere ye inaayat bhi bahut hai ki tu ghaafil na huaa sham-e-kushta kaa vo manzar vo vidaaa-e-mahfil khair ye guzri ki parvaana-e-mahfil na huaa log samjhaa kiye har rang mein shaamil mujh ko varna 'maikash' main kisi rang mein shaamil na huaa"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"tum muztarib nahin mire haal-e-tabaah se dekho zaraa nigaah milaa kar nigaah se dekhaa to hogaa tum ne hamaaraa maqaam bhi guzre kabhi to hoge mohabbat ki raah se bazm-e-jahaan mein koi tajalli-e-dil-navaaz bach kar kabhi gai na hamaari nigaah se qaaem hai ye jahaan tiri ismat hi se magar raunaq jahaan ki hai mire zauq-e-gunaah se vo dil rahin-e-kashmakash-e-iztiraab-o-kaif vo uzr-e-be-rukhi nigah-e-gaah-gaah se sab kuchh hai aur kuchh nahin ai daad-khvaah-e-ishq vo dekh kar na dekhnaa nichi nigaah se"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"na puchh kis liye zakhm-e-jigar ko dekhte hain is aaine mein kisi ki nazar ko dekhte hain dam-e-fanaa tiri pahli nigaah yaad aai ham aaj shaam mein shaamil sahar ko dekhte hain kuchh is tarah huiin taqsim shokhiyaan un ki har ek ne yahi samjhaa udhar ko dekhte hain shikast-e-dil kaa yahaan ab khayaal hai kis ko tiri nigaah mein kaif-o-zafar ko dekhte hain kahaan kahaan hai khalish dard ki maaaz-allaah kahaan kahaan tiri tirchhi nazar ko dekhte hain bahut buland hai meri nigaah ai 'maikash' vo aur honge jo aib-o-hunar ko dekhte hain"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"ye rang-o-nur bhalaa kab kisi ke haath aae kidhar chale hain andhere ye haath phailaae khudaa kare koi shamein liye chalaa aae dhaDak rahe hain mire dil mein shaam ke saae kahaan vo aur kahaan meri pur-khatar raahein magar vo phir bhi mire saath duur tak aae main apne ahd mein sham-e-mazaar ho ke rahaa kabhi na dekh sake mujh ko mere ham-saae chale-chalo ki bataa degi raah khud raste kahaan hai vaqt ki koi kisi ko samjhaae haram ki aabru ham ne bahut rakhi phir bhi kai charaagh sanam-khaane mein jalaa aae main apne dil ko to taskin de bhi luun 'maikash' vo muztarib hai bahut kaun us ko samjhaae"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"mire gham ke liye is bazm mein fursat kahaan paidaa yahaan to ho rahi hai daastaan se daastaan paidaa vahi hai ek masti si vahaan nazron mein yaan dil mein vahi hai ek shorish hi vahaan pinhaan yahaan paidaa tu apnaa kaarvaan le chal na kar gham mere zarron kaa inhin zarron se ho jaaegaa phir se kaarvaan paidaa miri umrein simaT aai hain un ke ek lamhe mein baDi muddat mein hoti hai ye umr-e-jaavedaan paidaa zaraa tum ne nazar pheri ki jaise kuchh na thaa dil mein zaraa tum muskuraae ho gayaa phir ik jahaan paidaa hamaari sakht-jaani se huaa shal haath qaatil kaa sar-e-maqtal hi ham ne kar liyaa daar-ul-amaan paidaa tavaqqo hai ki badlegaa zamaana lekin ai 'maikash' zamaana hai yahi to ho chuke insaan yahaan paidaa"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"ye maanaa zindagi mein gham bahut hain hanse bhi zindagi mein ham bahut hain tiri zulfon ko kyaa suljhaaun ai dost miri raahon mein pech-o-kham bahut hain nahin hai munhasir kuchh fasl-e-gul par junun ke aur bhi mausam bahut hain ghubaar-aaluda chehron par na jaanaa inhin mein kiqabaad-o-jam bahut hain mujhe kuchh saaz hai nashtar se varna mire zakhmon ke yaan marham bahut hain qafas ye jaan kar toDaa thaa main ne qafas ko toD kar bhi gham bahut hain karun kyaa chaara in aankhon kaa 'maikash' ki un ke saamne pur-nam bahut hain"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"kabhi sitam ko sitam na samjhe firaaq ko bhi alam na samjhe hue jo be-khud to ham na samjhe ki zauq-e-hijr-o-visaal kyaa hai vo is tarah se hai jalva-farmaa ki taalib-e-did hai zamaana jo ham se madd-e-nazar thaa chhupnaa zuhur kaa naam kyon kiyaa hai main apni haalat pe kyon huun pur-gham jahaan mein koi nahin hai khurram jo dil hai ghunchon kaa tang har dam gulon kaa siina phaTaa huaa hai ye kam-sini teri aur ye mazmun ye fikr-e-saalim ye tab-e-mauzun zarur haasid kaa dil ho pur-khun ki tu ne 'maikash' ghazab kiyaa hai"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"duniyaa mein koi ahl-e-nazar kyaa rahaa nahin vo saamne hai aur koi dekhtaa nahin aisaa bhi inqalaab jahaan mein huaa nahin din ho gayaa hai aur andheraa gayaa nahin tum ne bhi kuchh sunaa hai mire dil kaa maajraa hai har zabaan pe aur kisi ne kahaa nahin maanaa ki main zamaane mein majbur huun magar ye khair hai ki tum bhi kisi ke khudaa nahin aaj apne aashiyaane mein bulbul hai be-vatan sayyaad ke bhi ahd mein aisaa huaa nahin imaan hai miraa tiri jannat par ai khudaa lekin ye mere khun-e-jigar kaa sila nahin 'maikash' miraa bayaan zamaane ne sun liyaa hai jis kaa zikr sirf usi ne sunaa nahin"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi
Quote
"sanat na hogi taaham kyaa chiiz ho gae tum har shakhs se tavaazo har baat par tabassum dekho na mere dil ki tasvir-e-paaemaali apne se khud na nafrat karne lago kahin tum jis din se tere dil tak pahunchin miri nigaahein yaksaan hai mujh ko teri khaamoshi-o-takallum hai kis maqaam par ab ulfat khudaa hi jaane hain vo bhi aaj chup-chup baiThe hain ham bhi gum-sum main soch mein thaa chhoDun kis tarah do-jahaan ko achchhaa huaa ki mujh ko aise mein mil gae tum 'maikash' saa aadmi aur ulfat ki sakht raahein har gaam par hai laghzish har gaam par tasaadum"
Maikash AkbarabadiMaikash Akbarabadi