SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"gul zakhm ko aansu ko guhar ham ne kahaa hai har aib-e-mohabbat ko hunar ham ne kahaa hai raanaai-e-jalva ko ba-sad husn-e-tayaqqun khud apnaa hi ik aks-e-nazar ham ne kahaa hai kuchh baat to hai jis ke sabab saare jahaan mein ai dost tujhe khuld-nazar ham ne kahaa hai kahne ko rah-e-shauq mein raahi to bahut the manzil ko magar gard-e-safar ham ne kahaa hai ho jin se gham-e-tirgi-e-shab kaa mudaavaa aise hi ujaalon ko sahar ham ne kahaa hai haq-goi kaa anjaam samajh kar bhi ai 'manshaa' jo kahnaa thaa be-khauf-o-khatar ham ne kahaa hai"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"sozish-e-gham ki inaayat kabhi aisi to na thi aaj hai dil ki jo haalat kabhi aisi to na thi apni hasti kaa bhi ehsaas nahin hai jaise khud-faraamoshi-e-vahshat kabhi aisi to na thi saazish-e-dida-o-dil rang hi laai aakhir khoi khoi si tabiat kabhi aisi to na thi ai gham-e-ishq ye teraa hi karam hai shaayad ab hai jo ziist ki surat kabhi aisi to na thi un nigaahon ne hi kuchh sehr kiyaa hai varna zindagaani mein haraarat kabhi aisi to na thi apne hi khun-e-jigar kaa to ye faizaan nahin mausam-e-gul mein taraavat kabhi aisi to na thi mauja-e-nur ne phir sar na uThaayaa ho kahin sahmi sahmi hui zulmat kabhi aisi to na thi aaj kyon zad pe hain us ki ye mah-o-mehr-o-nujum azm-e-insaan ki jasaarat kabhi aisi to na thi un mein ehsaas-e-khudi jaag rahaa hai 'manshaa' varna zarron mein tamaazat kabhi aisi aisi na thi"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"surat-e-barq-e-tapaan shoala-fagan uTThe hain azm-e-nau le ke javaanaan-e-vatan uTThe hain hifz-e-naamus-e-mohabbat ke liye divaane apne dil mein liye marne ki lagan uTThe hain rukh zamaane ki havaaon kaa badalne vaale aaj Daale hue maathe pe shikan uTThe hain paikar-e-mehr-o-vafaa ham hain magar majburan haath mein tegh liye ghalghala-zan uTThe hain aanch naamus-e-vatan par nahin aane deinge ab to ham baandhe hue sar se kafan uTThe hain chand lamhaat ke mehmaan nazar aate hain vo bagule jo sar-e-sehn-e-chaman uTThe hain ab andheron se kaho khair manaaein apni zarre dharti ke miri ban ke kiran uTThe hain jab bhi aayaa hai kaDaa vaqt chaman par 'manshaa' le ke ham hausla-e-fitna-shikan uTThe hain"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"aankhon ko kisi haal mein giryaan na kareinge ham ishq ki tauhin kaa saamaan na kareinge jo apnaa samajh kar hamein bakhshaa hai kisi ne us dard kaa bhule se bhi darmaan na kareinge hans hans ke sahe jaaeinge har jaur-e-mohabbat shikvon se magar tum ko pashemaan na kareinge rusvaai-e-vahshat hamein manzur nahin hai phulon ki tarah chaak girebaan na kareinge maujon se zaraa khelnaa aa jaane do ham ko phir ham kabhi andesha-e-tufaan na kareinge ab ho gayaa ehsaas hamein azmat-e-gham kaa ab aarzu-e-aish-e-faraavaan na kareinge gul aur hi kuchh fasl-e-bahaaraan ne khilaae ab phir se tamannaa-e-bahaaraan na kareinge rakkheinge yunhi dil ko tapaan ishq mein 'manshaa' jab tak use tanvir-badaamaan na kareinge"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"soz-e-dil aah-e-sharar-baar se pahchaante hain log tufaan ko aasaar se pahchaante hain hausla kahte hain ik raah-e-amal detaa hai hashr ko ham tiri raftaar se pahchaante hain rang-e-mai rang-e-shafaq rang-e-guhar rang-e-gulaab tere rang-e-lab-o-rukhsaar se pahchaante hain apni qismat ke kham-o-pech ko ham divaane tere hi gesu-e-khamdaar se pahchaante hain ahl-e-dil ahl-e-jigar ahl-e-nazar ahl-e-vafaa ham ko shauq-e-rasan-o-daar se pahchaante hain gardish-e-charkh kaa rukh ho ki zamaane kaa mizaaj sirf ham dida-e-bedaar se pahchaante hain aur hain vo jo zar-o-sim pe rakhte hain nazar ham to insaan ko kirdaar se pahchaante hain husn vaalon ki ye khubi hai ki dil vaalon ko ik nazar hi mein baDe pyaar se pahchaante hain shaairi kaa ye karam kam to nahin hai 'manshaa' log tujh ko tire ashaar se pahchaante hain"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"ishq ko baar-e-zindagi na kaho baat itni bhi be-tuki na kaho dil ko jis mein ho fikr-e-sud-o-ziyaan us tijaarat ko aashiqi na kaho kuchh to marne kaa hausla dikhlaao sirf jiine ko zindagi na kaho dil-lagi ke sivaa bhi kuchh hai ishq ishq ko mahz dil-lagi na kaho kuchh na kah kar bhi apne dil ki baat yuun ba-andaaz-e-khaamushi na kaho sab kaho par hamein khudaa ke liye apne mahfil mein ajnabi na kaho jis ko kuchh aadmi kaa dard na ho aise zaalim ko aadmi na kaho dil ko bakhshe jo zindagi 'manshaa' tum to us gham ko gham kabhi na kaho"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"dil pe zakhm khaane se ashk-e-khun bahaane tak ham ne gham sahe kyaa kyaa kaif-e-zist paane tak fasl-e-nau-bahaaraan ko kyaa khabar ki ghunchon par kitne hashr guzre hain khil ke muskuraane tak dil ne azm-o-himmat se kaam le liyaa varna ham pe kyaa nahin biiti aarzu bar aane tak iztiraab-e-paiham se zindagi ibaarat hai dil ki qadr-o-qimat hai naaz-e-gham uThaane tak manzilon ki dushvaari raaston ke sannaaTe hain tamaam andeshe ik qadam baDhaane tak ho fazaa ki vusat kaa us ko khaak andaaza hadd-e-fikr ho jis ki apne aashiyaane tak sach to hai yahi 'manshaa' zindagi ki raahon mein tirgi kaa khatra hai sham-e-dil jalaane tak"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"khususi lutf-farmaai na chhoDi un aankhon ne masihaai na chhoDi rahin paabandiyaan jab tak zabaan par khamoshi ne bhi goyaai na chhoDi hue pairaahan-e-gul chaak-dar-chaak sabaa ne naaz-farmaai na chhoDi hamein bhi aarzu-e-nek-naami havaa-e-ku-e-rusvaai na chhoDi usi se chashm-o-dil ki zindagi thi mataaa-e-naa-shakebaai na chhoDi hazaaron ranj-o-gham hain phir bhi dil ne tire gham ki paziraai na chhoDi khirad ne laakh samjhaayaa Daraayaa junun ne hashr-aaraai na chhoDi havaadis se guzarne par bhi 'manshaa' ghazal ne shaan-e-raanaai na chhoDi"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"mohabbat kaa qarinaa aa gayaa hai hamein mar mar ke jiinaa aa gayaa hai ba-faiz-e-gham ham ahl-e-dil ke haathon do-aalam kaa khazina aa gayaa hai tiri shaadaabiyon kaa zikr sun kar gulon ko bhi pasina aa gayaa hai bhaDak uThti hai jis mein aag dil ki vo saavan kaa mahina aa gayaa hai musaafir ab kahin to jaa lageinge talaatum mein safina aa gayaa hai samjhe baiThe hain khud ko rind-e-kaamil jinhein do ghunT piinaa aa gayaa hai junun ab tak thaa 'manshaa' chaak-daamaan ab us ko chaak siinaa aa gayaa hai"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"ziist mein rang bhar gai aakhir vo nazar kaam kar gai aakhir jazb-e-vahshat ki kaarsaazi se dil ki qismat sanvar gai aakhir chiir kar parda-e-mah-o-anjum aap hi par nazar gai aakhir jo qayaamat guzarni thi ham par dil ke haathon guzar gai aakhir haae vo ik nigaah-e-duzdida kyaa kyaa ilzaam dhar gai aakhir jo khalish dil mein thi nihaan pahle rag-o-pai mein utar gai aakhir azm-e-taabaan se bar-sar-e-manzil raushni si bikhar gai aakhir soz-e-dil ke tufail ai 'manshaa' shaairi bhi nikhar gai aakhir"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"naala-e-shabaana bhi aah-e-subh-gaahi bhi kyaa hayaat-saamaan hai gham ki be-panaahi bhi ham junun-shiaaron mein aate aate aati hai shaan-e-be-niyaazi bhi aan-e-kaj-kulaahi bhi ishq ne ataa kar ke jazb-o-shauq-e-be-paayaan musht-e-khaak ko bakhshi aasmaan-panaahi bhi jalva-e-bahaaraan mein rang bhar gai aakhir kitni kaam ki nikli apni khush-nigaahi bhi dil ki khasta-haali phir dil ki khasta-haali hai ishq mein gavaaraa hai jaan ki tabaahi bhi koi aise qaatil ko kis tarah kahe qaatil jis ki aankh se jhalke rang-e-khair-khvaahi bhi hashr-e-kaarvaan kyaa ho kuchh kahaa nahin jaataa naa-shanaas-e-manzil hain rahnumaa bhi raahi bhi azm-e-be-nihaayat ki aab-o-taab se 'manshaa' duur ho ke rahti hai bakht ki siyaahi bhi"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"dil ki shoala-zaai ke aankhon ki tughyaani ke din hain javaani ke hi din dar-asl jaulaani ke din in mein to daanaaiyaan khul kar dikhaati hain kamaal kaun kahtaa hai ki ye hote hain naadaani ke din thaa lahu mein tar-ba-tar daaman hamaaraa jin dinon ham na bhuleinge kabhi vo khun-afshaani ke din taaza taaza aayaa thaa jab kaarvaan-e-fasl-e-gul yaad hain ab tak hamein vo khaana-viraani ke din kaise logon ko bataaein mushkilon par mushkilein kitni paidaa karte hain ye khvaab-saamaani ke din hote hote jaan ko ho jaataa hai haasil qaraar jaate jaate jaate hain 'manshaa' pareshaani ke din"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"farzaane to zo'm-e-khirad mein aap apne sayyaad hue qaid-e-zamaan aur band makaan se divaane aazaad hue chaand sitaaron ki duniyaa mein kyaa raunaq hai kyaa halchal shukr hai apne josh-e-junun se viraane aabaad hue ishq ke haathon kaise kaise log hue hain khaak-basar kyaa batlaaein is fitne se kitne ghar barbaad hue kaun hai jo is raaz ko samjhe kis ko ham ye baat bataaein tere gham ki daulat paa kar ham kitne dil-shaad hue saare jahaan mein aam hain jin ki maasumiyyat ke charche shaan khudaa ki apne haq mein log vahi jallaad hue un ki mahfil saaz bhi un ke un kaa zamaana un ki bahaar un ke naale naghme Thahre giit apne fariyaad hue barson sher-o-sukhan ki khaatir khun-e-dil se kaam liyaa 'mir' se shaair tab ai 'manshaa' is fan mein ustaad hue"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"siine mein dil misaal-e-chaman-dar-chaman to ho jo zakhm ho harif-e-gul-o-yaasman to ho do din ki zindagi bhi baDi chiiz hai magar jiine ke Dhang mein zaraa mastaana-pan to ho dil aap apni zaat se ik anjuman sahi dil bastagi ke vaaste koi lagan to ho ye kyaa ki sirf chaak-e-garebaan pe iktifaa vahshat ba-qadr-e-rang-e-bahaar-e-chaman to ho khul jaaegaa hai kaun sazaa-vaar-e-mai-kashi saamaan-e-aazmaaish-e-kaam-o-dahan to ho saaz-e-dil-e-hazin se bhi naghme ubal paDein koi nigaah-e-naaz kabhi zakhma-zan to ho ye bhi khizaan ke dast-e-sitam se bache rahein phulon mein misl-e-khaar koi baankpan to ho tashbih dein jise qad-o-gesu-e-yaar se gulshan mein aisaa manzar-e-sarv-o-saman to ho"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"marhale jis mein bahut hashr-nishaan guzre hain us rah-e-shauq se ham raqs-kunaan guzre hain jin maqaamaat-e-junun se thaa guzarnaa mushkil ham unhi se sifat-e-sail-e-ravaan guzre hain ye damakte hue zarraat pata dete hain is taraf se vo kabhi nur-fishaan guzre hain jo bhi guzre hain tiri yaad se ghaafil rah kar zindagi mein vahi lamhaat garaan guzre hain tishnagi zauq-e-nazaara ki vahi hai ki jo thi yuun nazar se kai rangin samaan guzre hain 'manshaa' apnaa hi jigar hai ki rah-e-zist se yuun be-hijaabaana ba-sad azm-e-javaan guzre hain"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"soz-e-gham chiiz hai kyaa kuchh hamein maalum to ho ye maraz hai ki davaa kuchh hamein maalum to ho roz-o-shab hoti rahe taaza qayaamat barpaa zindagaani kaa maza kuchh hamein maalum to ho ham bhi parvaana-mizaaji kaa dikhaaein aalam qimat-o-qadr-e-vafaa kuchh hamein maalum to ho phir lagaa leinge kabhi chaand sitaaron kaa suraagh pahle khud apnaa pataa kuchh hamein maalum to ho aap ke lutf se mahrum jo ham rahte hain kis khataa ki hai sazaa kuchh hamein maalum to ho dil ki dhaDkan na sahi aap ki aahaT hi sahi saaz-e-hasti ki sadaa kuchh hamein maalum to ho jaan-o-dil ham bhi karein nazr-e-mohabbat 'manshaa' itni mehnat kaa silaa kuchh hamein maalum to ho"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"ba-naam-e-ishq gham-e-mo'tabar zaruri hai hayaat ke liye koi hunar zaruri hai kuchh aur ho na ho haasil baqaa-e-dil ke liye ik iztiraab-e-musalsal magar zaruri hai nashaat-e-did jo manzur hai to ai yaaro nazar ke saath khulus-e-nazar zaruri hai bahut ghalat hai tamannaa-e-khud-faraamoshi vafur-e-ishq mein apni khabar zaruri hai khyaal-e-zinat-e-fasl-e-bahaar se pahle mizaaj-daani-e-barq-o-sharar zaruri hai kuchh ham bhi aap se ummid-e-lutf rakhte hain udhar bhi ek uchaTti nazar zaruri hai chaman ko aur hasin-tar banaanaa hai 'manshaa' to rang-e-kaari-e-khun-e-jigar zaruri hai"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"ashk-e-gham shorish-e-pinhaan ki khabar dete hain ye vo qatre hain jo tufaan ki khabar dete hain qalb-e-sozaan mein shab-o-roz machalte jazbaat garmi-e-shauq-e-faraavaan ki khabar dete hain in sisakte hue ghunchon ko hiqaarat se na dekh ye tujhe nazm-e-gulistaan ki khabar dete hain tere mai-khaane ke dam toDte aaein saaqi kisi taghir-e-numaayaan ki khabar dete hain vo ufuq par jo ujaale se nazar aate hain aamad-e-subh-e-darakhshaan ki khabar dete hain sehn-e-gulshan mein ba-har-aan badalte hue rang ik nae daur-e-bahaaraan ki khabar dete hain haq to ye hai ki khalaaon ke safar ai 'manshaa' azmat-e-rutba-e-insaan ki khabar dete hain"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"dard-o-gham aur bhi hain ranj-o-taab aur bhi hain qalb zinda ho to saamaan-e-tarab aur bhi hain baankpan in mein magar zauq-e-junun kaa saa kahaan daftar-e-aql mein go ziist ke Dhab aur bhi hain teri nazron hi pe ilzaam nahin hai ai dost kuchh miri khaana-kharaabi ke sabab aur bhi hain azmat-e-chaak-e-garebaan se to inkaar nahin vahshat-e-dil ke taqaaze magar ab aur bhi hain ghuncha-o-shisha-o-saaghar hi pe mauquf nahin dil ke naam aur bhi hain dil ke laqab aur bhi hain ai kham-e-gesu-e-jaanaan mein ulajhne vaalo masale dahr mein tashrih-talab aur bhi hain dil kaa khuun honaa bhi ik amr-e-taajjub hai magar ishq mein aise maqaamaat-e-ajab aur bhi hain subh-e-nau un pe bhi kuchh lutf-o-karam ho jaae justuju mein tiri gham-dida-e-shab aur bhi hain mere hi naalon pe vo chin-ba-jabin hote hain varna mahfil mein kai naala-ba-lab aur bhi hain 'manshaa' ik tum hi nahin ho gham-e-hasti ke shikaar kitne arbaab-e-fan-o-ilm-o-adab aur bhi hain"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"jagah jagah se shikasta hain kham hain divaarein na jaane kitne gharon kaa bharam hain divaarein chhaton kaa zikr hi kyaa un ko le uDi hai havaa ab haadsaat ke zer-e-qadam hain divaarein barasti baarishon mein hongi mojib-e-khatra abhi to dhuup mein abr-e-karam hain divaarein hamaare kheme tanaabon ke bal pe qaaem hain chhatein to khuub mayassar hain kam hain divaarein qadim shahron mein har-su qadam qadam bikhri puraani raah-guzaaron mein zam hain divaarein kahin dariche hain shaan-o-shikoh ke marsiyaan-khvaan kahin mazaar-e-vaqaar-o-hasham hain divaarein ye fart-e-girya-o-zaari kaa hai asar 'manshaa' zamin makaanon ki giili hai nam hain divaarein"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"fasl-e-gul ki hai aabru ham se ham se hai sail-e-rang-o-bu ham se husn-e-fitrat ke raazdaar hain ham phuul karte hain guftugu ham se farsh gul par ba-vaqt-e-subh-e-nasim aa ke milti hai baa-vazu ham se ham shahid-e-gham-o-alam hi sahi zindagi to hai surkh-ru ham se naam saaqi kaa ho gayaa varna mai-kade mein hai haa-o-hu ham se bazm-e-rindaan mein ab bhi baaqi hai vaqat-e-baada-o-subu ham se ham se hai 'dard'-o-'daagh' ki azmat ham se hai naam-e-'aarzu' ham se sikhnaa ho to siikh le 'manshaa' koi andaaz-e-justuju ham se"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"ishq kaa kaam bakht-saazi hai is ki har baat imtiyaazi hai dil-gudaazi-e-gham kaa gham kyaa ho gham ki fitrat hi dil-gudaazi hai har qadam par ye kasrat-e-jalva ehtimaam-e-nazar-navaazi hai jis ko kahte hain inqalaab-e-hayaat ik junun ki karishma-saazi hai us mein kyaa aae bu haqiqat ki jo majaazi hai vo majaazi hai laakh armaan sahi magar ai dil ishq-baazi phir ishq-baazi hai sach to ye hai ki ik baDi neamat nigah-o-dil ki paak-baazi hai rang yaa husn ki haqiqat kyaa sab nazar ki fusun-taraazi hai faiz-e-'iqbaal' hai jo 'manshaa' kaa naghma hindi hai lai hijaazi hai"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha
Quote
"pyaar ki tum se iltijaa ki hai dil ne kitni hasin khataa ki hai zulm jin doston ne Dhaae hain ham ne un ke liye duaa ki hai un nigaahon ko kyaa kahein qaatil jin mein maasumiyat balaa ki hai koi aise vafaa bhi kyaa kartaa aap ne jis tarah jafaa ki hai Dubte hain safine saahil par sab inaayat ye naakhudaa ki hai zulf-e-hasti sanvaarne ke liye ham ne koshish to baarhaa ki hai zindagaani se haath dho kar bhi karne vaalon ne yaan vafaa ki hai is zamaane mein har koi 'manshaa' jaane kyon zindagi kaa shaaki hai"
Mansha Ur Rahman Khan ManshaMansha Ur Rahman Khan Mansha