Quote
"yaas-o-gham ranj-o-alam tanhaaiyaan ab ke baras meri qismat mein rahein naakaamiyaan ab ke baras raushni suraj ki aankhon par hai manzar dhuup hain lag rahi hain suratein parchhaaiyaan ab ke baras aaine mein dekh kar khud ko na tum honaa udaas aainon mein paD gaiin hain jhaaiyaan ab ke baras dekhnaa hogaa sitam ye bhi zabaan-bandi ke baa'd kaaT li jaaeingi sab ki ungliyaan ab ke baras khushk-saali to nahin hai shahr mein 'mahvar' magar abr kab barsaaeinge allaah-miyaan ab ke baras"







