SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"haail hai hijaab-e-sharm-o-hayaa didaar to kyaa guftaar to kyaa mubham hain ishaare sab us ke inkaar to kyaa iqraar to kyaa altaaf-o-karam ki baarish bhi jo mujh pe kare sansaar to kyaa jab us ne na puchhaa haal miraa daryaaft karein aghyaar to kyaa hai dar-ba-dari qismat meri shorida-sari tu hi le chal taskin-e-dil-e-mahzun ke liye gulzaar to kyaa kohsaar to kyaa hain azm-e-musaafir ke aage khatraat masaafat hech bahut manzil ki talab hai dil mein agar ho raahguzar dushvaar to kyaa tang aa ke mohabbat tark na ki ham garche rahe naakaam sadaa sarshaar the lazzaat-e-hasrat-o-gham se hote bhalaa bezaar to kyaa"
Mohammad Abid Ali AbidMohammad Abid Ali Abid
Quote
"patthar ho ki faulaad ho Darne kaa nahin main ab surat-e-aaina bikharne kaa nahin main jo zaat kaa meri hai khalaa chiiz digar hai jo bhar bhi gae zakhm to bharne kaa nahin main dekhein na nazar bhar ke mujhe der talak aap jo chaDh gayaa nazron mein utarne kaa nahin main ki baada-kashi tark-e-maaabid ke muqaabil ab is se ziyaada to sudharne kaa nahin main didaar tiraa mere liye raahat-e-jaan hai be-dekhe tujhe jaan se guzarne kaa nahin main ab jurm-e-mohabbat ki mile koi bhi paadaash taftish ke dauraan mukarne kaa nahin main"
Mohammad Abid Ali AbidMohammad Abid Ali Abid
Quote
"kisi goshe mein duniyaa ke makin hote hue bhi vo mere saath rahtaa hai nahin hote hue bhi musalsal aazmaaish mein mujhe zaalim ne rakkhaa kiyaa main ne nahin sajda jabin hote hue bhi musalsal maarte rahte hain shab-khun zehn-o-dil par azizaan raftagaan zer-e-zamin hote hue bhi guzaari ham ne saari zindagi ishq-e-butaan mein mukammal us ki vahdat par yaqin hote hue bhi liye phirtaa hai qaatil haath mein khanjar barahna muhayyaa pairahan mein aastin hote hue bhi main zarra khaak kaa huun vo sitaara aasmaan kaa vo mujh se duur hai mere qarin hote hue bhi na-jaane kaun si miTTi kaa 'aabid' bhi banaa hai hamesha khush nazar aayaa hazin hote hue bhi"
Mohammad Abid Ali AbidMohammad Abid Ali Abid
Quote
"vo bahut khush hai khitaabaat-o-muraaaat ke saath khuub badlaa vo badalte hue haalaat ke saath dil ke nazdik pare aankh se rahne vaale kyaa taalluq hai tiri yaad kaa barsaat ke saath meri khvaahish kaa zaraa bhi na rakhaa paas us ne mujh ko lauTaa diyaa khat chand hidaayaat ke saath nikhat-o-nur-o-ziyaa husn ki pahchaan bane ishq mansub huaa baam-e-kharaabaat ke saath main ne lauTaa diye saughaat-o-tahaaif us ke mujh ko manzur na thi shart inaayaat ke saath"
Mohammad Abid Ali AbidMohammad Abid Ali Abid
Quote
"subut apni mohabbat kaa use denaa zaruri thaa uDaanaa khaak karnaa chaak daaman kaa shuuri thaa sharaar-e-sang se hasb-e-zarurat aag raushan ki ye khaaki apni fitrat mein na naari thaana nuuri thaa kanaar-e-raah jo ashjaar the saae ki khaatir the bataanaa kaam sang-e-mil kaa manzil se duuri thaa sitam Dhaanaa mukarnaa aur mujhe khaamosh kar denaa mohabbat mein ravayya us kaa chori sina-zori thaa khudaa-haafiz ki aane ko hai apni manzil-e-maqsud qayaam apnaa jahaan mein mustaqil kab thaa uburi thaa"
Mohammad Abid Ali AbidMohammad Abid Ali Abid
Quote
"sardi-o-garmi-o-barsaat mein aa jaataa hai mujh se milne vo mazaafaat mein aa jaataa hai fasl-e-gul aane pe ho jaati hai viraani duur dil kharaabe se kharaabaat mein aa jaataa hai kabhi daanista adaa ho kabhi naa-daanista naam teraa miri har baat mein aa jaataa hai jism ki nashv-o-numaa surat-e-ashiyaa-e-zamin ru-e-khubaan falakiyyaat mein aa jaataa hai ishq kaa sabr-o-tahammul hi se qaaem hai vaqaar naala fariyaad khuraafaat mein aa jaataa hai khidmat-e-khalq se hoti hai khudaa ki khidmat ishq makhluq-e-ibaadaat mein aa jaataa hai banda ho jaataa hai jab khugar-e-mushkil 'aabid' zaaiqa talkhi-e-haalaat mein aa jaataa hai"
Mohammad Abid Ali AbidMohammad Abid Ali Abid
Quote
"miraa rafiq pas-e-jism-o-jaan zinda rahaa yaqin murda huaa par gumaan zinda rahaa jahaan vo rahtaa thaa ab us ki yaad rahti hai makin baghair bhi goyaa makaan zinda rahaa bas us ke hone kaa ehsaas hai gharaz ki khudaa vajud vaahime ke darmiyaan zinda rahaa sukhan se faaeda kuchh ho to koi bole bhi main jis jagah bhi rahaa be-zabaan zinda rahaa tamaam umr kaTi bebasi ke aalam mein yuun kahne ke liye buDhaa javaan zinda rahaa vo jab talak rahaa maahaul khush-gavaar rahaa vo bazm mein sifat-e-zaafraan zinda rahaa"
Mohammad Abid Ali AbidMohammad Abid Ali Abid
Quote
"jaanne ke liye betaab thaa aghyaar kaa haal us ne puchhaa na hamaare dil-e-bimaar kaa haal shama bhi jalne pe aamaada thi parvaana bhi ek jaisaa hi thaa matlub-o-talabgaar kaa haal sogvaari mein hamaari the baraabar ke sharik ham se miltaa thaa hamaare dar-o-divaar kaa haal sarv-e-timsaal hai qaamat mein shabaahat mein gulaab kyaa bayaan saamne us ke karein gulzaar kaa haal us taraf jo bhi gayaa lauT ke aayaa na kabhi puchhiye kis se maqaam-e-rasam-o-daar kaa haal sab ne dil thaam liyaa dekh ke us ko 'aabid' ek hi jaisaa huaa kaafir-o-dindaa kaa haal"
Mohammad Abid Ali AbidMohammad Abid Ali Abid
Quote
"na kaarvaan kaa hamaare koi nishaan rahaa na ham-safar na hi kashti na baadbaan rahaa zamin apni taraf khinchti rahi mujh ko savaar sar pe sadaa mere aasmaan rahaa mujhe khabar thi gayaa thaa tu ghair se milne main jaan-bujh ke mahfil mein be-zabaan rahaa tamaam umr musallat rahaa vo dil pe mire tamaam umr main zaalim kaa mezbaan rahaa huaa na qaid-e-zamaan-o-makaan se main aazaad zamin se duur magar zer-e-aasmaan rahaa sharik vo bhi thaa mere khilaaf saazish mein ki jis ke saath sadaa meraa khaan-paan rahaa na dil mein jalti hui aag bujh saki 'aabid' na sar pe mere kabhi koi saaebaan rahaa"
Mohammad Abid Ali AbidMohammad Abid Ali Abid