SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ab tumhaare khvaab bhi mujh ko sazaa dene lage main ne kyaa chaahaa thaa mujh ko kyaa sila dene lage aahaTein thiin narm lekin apni aankhein khul gaiin jab nasim-e-subh ko ghunche sadaa dene lage lamha lamha mujh ko samjhaate rahe jo raat bhar subh ghar ke baam-o-dar un ko du'aa dene lage lijiye barq-e-tabassum kaa asar hone lagaa phuul kyaa patthar bhi apne gham bhulaa dene lage kyaa nahin hai aaj bhi lafzon ke shahron mein 'adib' jab bhi guzraa vo mujhe tohfa nayaa dene lage"
Mohammad Abdul Qadir AdeebMohammad Abdul Qadir Adeeb
Quote
"lag gai aag tabassum ke sharar hone tak dil jigar daagh bane chashm ke tar hone tak zulmat-e-shab mein harifon se yahi kahnaa thaa na sahar hogi kabhi khun-e-jigar hone tak vaqt ne saamne divaar khaDi kar di hai kyon na khaamosh rahe 'ishq sahar hone tak bazm-e-jaanaan kaa sitam bazm-e-harifaan kaa khatar jaaein to jaaein kahaan 'umr basar hone tak lafz ke shishagaro zeb nahin sang-e-anaa guftugu narm rahe khatm-e-safar hone tak shauq-e-didaar uThaa degaa hijaabaat-e-nazar diid hoti hi nahin husn-e-nazar hone tak khinch laai hai kahaan ham ko tiri yaad 'adib' luT gae raah mein ham tujh ko khabar hone tak"
Mohammad Abdul Qadir AdeebMohammad Abdul Qadir Adeeb
Quote
"udaas udaas hai baad-e-sahar nahin maa'lum kahaan kahaan se huaa hai guzar nahin maa'lum na rakh sakaa sar-e-mahfil vo aabru kaa bharam ki paasdaari-e-'arz-e-hunar nahin maa'lum chalaa thaa dil mein liye ik navaa-e-shauq magar kidhar safar hai kidhar ham-safar nahin maa'lum machi hai dhuum mire shahr se nikalne ki kahaan se nashr hui ye khabar nahin maa'lum hujum-e-gham ne sanvaaraa hai shab ki dulhan ko ki kis tarah se hui shab basar nahin maa'lum jahaan-jahaan vo mile aankh un ki bhar aai ye kyon udhar bhi huaa hai asar nahin maa'lum huaa jo zulf-e-girah-gir kaa asiir 'adib' kahaan hai shaam kahaan hai sahar nahin maa'lum"
Mohammad Abdul Qadir AdeebMohammad Abdul Qadir Adeeb
Quote
"raat se jab din kaa saudaa ho gayaa raushni kaa khuun ThanDaa ho gayaa daar par jin kaa baseraa ho gayaa un ki qismat mein ujaalaa ho gayaa jab se teraa gham gavaaraa ho gayaa vaaqa'i tu hi masihaa ho gayaa tujh ko paa kar dil kalisaa ho gayaa aur fanaa hote hi kaa'ba ho gayaa aashiyaan bante hi rusvaa ho gayaa kyaa kahun kyaa kyaa tamaashaa ho gayaa tirgi kaa bol-baalaa ho gayaa yaa'ni paani sar se unchaa ho gayaa dhuup hi mein saaya mere saath thaa chhaaon paa kar be-sahaaraa ho gayaa dekhiye be-iltifaati kaa asar mere dil kaa zakhm gahraa ho gayaa dil kaa parda chaak hote hi 'adib' mere siine mein ujaalaa ho gayaa"
Mohammad Abdul Qadir AdeebMohammad Abdul Qadir Adeeb
Quote
"jab dukhe dil se nikalti hai du'aa aakhir-e-shab kaanp uThti hai zamaane ki jafaa aakhir-e-shab raat bhar tu ne chhupaayaa thaa tabassum kaa jamaal tere jalvon kaa hasin rang khulaa aakhir-e-shab shaam-e-gham yuun tiri aamad kaa tasavvur jaagaa jaise bimaar ko mil jaae shifaa aakhir-e-shab meri aavaaz ke saae mein ravaan thaa koi haae kis moD pe TuuTi hai sadaa aakhir-e-shab dard ki raat baDhi yaad ki qurbat mein 'adib' ban gayaa harf-e-tasalli bhi davaa aakhir-e-shab"
Mohammad Abdul Qadir AdeebMohammad Abdul Qadir Adeeb
Quote
"mere sukhan ko dard kaa uslub mil gayaa yaa'ni ghazal ko lahja-e-matlub mil gayaa saaz-e-ghazal ko husn-e-ghazal ki talaash thi saaz-e-ghazal ko naghma-e-marghub mil gayaa vo shakhs kyon na khuld-e-barin se ho be-niyaaz qismat se jis ko aap saa mahbub mil gayaa josh-e-fanaa kaa zauq chhupaae na chhup sakaa le ai salib ab tiraa maslub mil gayaa har ek ko talaash yahaan khub-tar ki hai main khush-nasib huun ki bahut khuub mil gayaa duniyaa mein aur phir mujhe kyaa chaahiye 'adib' thaa jo bhi mere naam se mansub mil gayaa"
Mohammad Abdul Qadir AdeebMohammad Abdul Qadir Adeeb
Quote
"nam nigaahon ki narmi ghazab Dhaa gai dil ke zakhmon ko mere jo gahraa gai zindagaani andhere se Takraa gai zindagi mein nai raushni aa gai jis kali se chaman surkh-ru ho chalaa kis liye vo kali jald murjhaa gai baam-o-dar par vo agli si raunaq nahin mere ghar ko kisi ki nazar khaa gai aate aate qayaamat palaT kar gai jaane kyon gham ke maaron se katraa gai zindagi raushni ko jo chhune lagi raushni raah jiine ki barqaa gai dhaDkanein dhaDkanon se jo milne lagin zindagi baDh ke donon ko shahnaa gai un ki nazron ki shisha-gari to 'adib' mere taarik goshon ko chamkaa gai"
Mohammad Abdul Qadir AdeebMohammad Abdul Qadir Adeeb
Quote
"jaam-e-gham aaj bhi chhalkaao ki kuchh raat kaTe saath rakkho mujhe bahlaao ki kuchh raat kaTe zakhm-e-dil main ne sajaae hain jigar ke khuun se khaana-e-dil mein chale aao ki kuchh raat kaTe sham' ki tarh jalo dil mein ujaalaa ho jaae mom ban jaao pighal jaao ki kuchh raat kaTe raqs kartaa hai fazaaon mein tarannum kaa shabaab giit kuchh pyaar bhare gaao ki kuchh raat kaTe tum palaT aao to shab ke bhi palaT jaaeinge din bakht-e-khufta miraa chamkaao ki kuchh raat kaTe hijr ki raat to kaaTe se nahin kaTti hai zikr-e-jaanaan hi mein kho jaao ki kuchh raat kaTe band hai ghuncha-e-dil shaakh-e-tamannaa pe 'adib' gul tabassum hi ke barsaao ki kuchh raat kaTe"
Mohammad Abdul Qadir AdeebMohammad Abdul Qadir Adeeb
Quote
"khudaa ki qasam jab mulaaqaat hogi jamaal-e-tabassum ki barsaat hogi qadam se qadam jab milaa kar chaleinge zamaane ki ham par mudaaraat hogi hasin gesuon kaa jo saaya milegaa na to subh hogi na hi raat hogi zabaan kaa jo paaband hotaa nahin hai zamaane mein kyaa us ki auqaat hogi nasheman pe bijli giraa kar to dekho nai zindagi ki shuru'aat hogi jahaan khuun ho jaaegaa hasraton kaa na Doli uThegi na baaraat hogi nadaamat kaa ehsaas jaagegaa jis dam to dil mein na koi khuraafaat hogi kabhi ham se khul kar milaa kijiyegaa yahi to mohabbat ki saughaat hogi 'adib' un ki khaamoshiyon par na jaao koi raaz hogaa koi baat hogi"
Mohammad Abdul Qadir AdeebMohammad Abdul Qadir Adeeb