SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMujtaba Shahroz(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hosh-mandon ko bhi madhosh banaa detaa hai 'ishq bistar ko bhi aaghosh banaa detaa hai apni raftaar-o-zehaanat kaa takabbur aksar dauDne vaalon ko khargosh banaa detaa hai tum ko maa'lum hai us shakhs ki aankhon kaa tilism pir-zaadon ko bhi mai-nosh banaa detaa hai mujh se khuddaar se hogi na ghulaami teri kaam kirdaar ko paa-posh banaa detaa hai daur-e-tanhaai mein dil khol ke rone kaa 'amal khaana-e-dil ko subuk-dosh banaa detaa hai haarne lagtaa huun main 'ishq ke aazaar se jab dard-e-hijraan mujhe pur-josh banaa detaa hai"
Mujtaba ShahrozMujtaba Shahroz
Quote
"un se tufaan pareshaan huaa karte hain hausle jin ki bhi chaTTaan huaa karte hain zakhm un ke liye mehmaan huaa karte hain muflisi jo tire darbaan huaa karte hain vo amiron ke liye 'aam si baatein hongi ham gharibon ke jo armaan huaa karte hain aise kaandhe jo javaan khuun ko dafnaa aae jaan hote hue be-jaan huaa karte hain 'ain mumkin ye miri maan ki du'aa hai shaayad masale jo mire aasaan huaa karte hain kis tarah phuul churaate hain churaane vaale jin pe har vaqt nigahbaan huaa karte hain maal-o-daulat to viraasat mein milaa karti hai achchhe akhlaaq hi pahchaan huaa karte hain"
Mujtaba ShahrozMujtaba Shahroz
Quote
"detaa hai hijr mujh ko ye mohlat kabhi kabhi hoti hai saans lene ki fursat kabhi kabhi vahshat mein TuuT jaate hain aaine zabt ke rone ki aa hi jaati hai naubat kabhi kabhi main chikhtaa huun raat mein aaseb ki tarah khud bhi main khud se khaataa huun haibat kabhi kabhi mujh ko tumhaare 'ishq ne barbaad kar diyaa tamgha lage hai mujh ko ye tohmat kabhi kabhi dil mein utartaa jaataa hai tanhaaiyon kaa khauf aankhon main khuun bharti hai vahshat kabhi kabhi ham ko kisi ne pyaar se dekhaa nahin kabhi aaina dekh letaa hai surat kabhi kabhi tum sun rahe ho ‘mujtabaa-shahroz' ki ghazal bad-qismaton ki khulti hai qismat kabhi kabhi"
Mujtaba ShahrozMujtaba Shahroz
Quote
"mom thaa jism pighalne ke liye aayaa thaa khaak thaa khaak mein Dhalne ke liye aayaa thaa log mai-khaane mein aate hain bahakne ke liye main ki mai-khaane sanbhalne ke liye aayaa thaa main ne tiryaaq banaa kar use lauTaayaa hai jo yahaan zahr ugalne ke liye aayaa thaa jo na uThtaa thaa bulaane pe kisi ke vo bhi meri aavaaz pe chalne ke liye aayaa thaa main ne palkon se dabaa kar use mismaar kiyaa zabt ko girya kuchalne ke liye aayaa thaa guzri shab dast-e-hinaai tiraa jaanaan ik pal mere siine pe Tahalne ke liye aayaa thaa har koi aataa hai kuchh kaar-e-muqarrar le kar vo jalaae to main jalne ke liye aayaa thaa"
Mujtaba ShahrozMujtaba Shahroz