SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMuneer Saifi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ek se jazbe khuun mein surkhi ek hi thi des judaa the pyaar currency ek hi thi us par bhi bas lailaa lailaa likkhaa thaa us ke paas agarche takhti ek hi thi ghoDe banaanaa chhoD diye kumhaaron ne gaanv mein Dubne vaali laDki ek hi thi hissa-bakhre baanT liye hain logon ne bechaare kyaa karte dharti ek hi thi phir koi tufaan na aayaa Thiik huaa varna nuuh ke paas bhi kashti ek hi thi us ke baad saraab thaa yaa viraane the saat zaminon par bhi basti ek hi thi apne saamne main khud hi saf-aaraa thaa aur miri banduq mein goli ek hi thi"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"har gumbad-e-be-dar mein bhi ik dar hai ki tu hai phir mujh mein koi aur navaa-gar hai ki tu hai ik aur hi aalam hai varaa-e-khas-o-khaashaak ik aur hi manzar pas-e-manzar hai ki tu hai taa-hadd-e-nazar ek nadi hai ki huun main bhi taa-hadd-e-khayaal ek samundar hai ki tu hai paivast hain miTTi mein mire paanv ki main huun aflaak ke siine pe miraa sar hai ki tu hai vahshat ise kahiye na tahayyur ise kahiye main bhuul chalaa thaa mujhe azbar hai ki tu hai dekhun to tiraa honaa sahaaraa bhi hai mujh ko sochon to mujhe ek yahi Dar hai ki tu hai"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"havaa ke saath safar ikhtiyaar karnaa thaa dayaar-e-shab ko khamoshi se paar karnaa thaa hamaari khaak koi chaandni mein Daal aae hamaaraa kaam sitaare shikaar karnaa thaa hui thi is liye taakhir tum se milne mein khud apnaa bhi to mujhe intizaar karnaa thaa tumhaare vaaste karnaa thaa main ne khud ko talaash tumhaare vaaste main ne faraar karnaa thaa abhi se tum ne mujhe be-kanaar kar Daalaa abhi to tum ne mujhe ham-kanaar karnaa thaa hamaari samt bhi ik sikka muskuraahaT kaa hamein bhi apni reaayaa shumaar karnaa thaa falak to bhuul bhi saktaa thaa laghzishein 'saifi' magar zamin ne bahut sharmsaar karnaa thaa"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"itne pur-maghz hain dalaail kyaa dil ko kar loge apne qaail kyaa phir vahi sar hai aur vahi tesha 'ishq kyaa 'ishq ke masaail kyaa raushni raushni pukaarte ho raushni ke nahin masaail kyaa roz maidaan-e-jang bantaa huun mujh mein aabaad hain qabaail kyaa kis qadar 'arziyaan guzaari hain kabhi dekhi hai meri file kyaa haath phailaanaa koi kam to nahin peT dikhlaae tum ko saail kyaa baiThe ab kirchiyaan sameTte ho apne raste mein khud the haael kyaa raat-bhar jaagte rahe hain darakht koi panchhi huaa hai ghaayal kyaa baat-be-baat hans rahe ho 'munir' yuun asar gham kaa hogaa zaail kyaa"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"ruuh sulagti rakkhi hai aur siina jaltaa rakkhaa hai us ne mujh ko laakhon insaanon se achchhaa rakkhaa hai tum raushan kar rakkho jitne hijr alaav mumkin hon main ne bhi apni aankhon ke pichhe dariyaa rakkhaa hai aankh kahaan hai ek aafat goyaa rakkhi hai chehre par dil kab hai mere pahlu mein ek tamaashaa rakkhaa hai jo mujh mein khul kar hanstaa aur saavan-bhaadon rotaa thaa us bachche ko main ne ab tak khud mein zinda rakkhaa hai jis din meri dharti apni chaadar mujh par Daalegi bas us din ki khaatir main ne khud ko zinda rakkhaa hai khaak-basar phirti hain jis mein lailaaein din-raat 'munir' main ne apni zaa mein ek aisaa bhi sahraa rakkhaa hai"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"aavaaz de ke khud ko bulaanaa paDaa mujhe apni madad ko aap hi aanaa paDaa mujhe mujh se tumhaare aks ko kartaa thaa bad-gumaan aaina darmiyaan se haTaanaa paDaa mujhe phir is ke baad jurat-e-girya nahin hui ik ashk khaak se jo uThaanaa paDaa mujhe phir yuun huaa ki jhuuT ki aadat si ho gai phir yuun huaa ki sach ko chhupaanaa paDaa mujhe paani qubul hi nahin kartaa thaa meri laash dariyaa ko apnaa naam bataanaa paDaa mujhe mehmaan aa gayaa thaa so khaane ki mez par jaltaa huaa charaagh bujhaanaa paDaa mujhe dharti ke zarf kaa huaa andaaza jab 'munir' kuchh roz apnaa bojh uThaanaa paDaa mujhe"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"kis manzar mein kaise manzar ug aate hain khvaab ugaanaa chaahun patthar ug aate hain ye naa-mumkin hai phir bhi lagtaa hai jaise qaid mein vaqt se pahle hi par ug aate hain mausam kaa eajaaz hai yaa jaadu hai koi raaton-raat darakhton par ghar ug aate hain puure chaand ki raat samundar narm havaaein sath-e-aab pe kyaa kyaa paikar ug aate hain ishq mein qaamat kaa yuun dhyaan rakhaa jaataa hai gardan kaT jaati hai to sar ug aate hain us ke naam kaa naqqaaraa bajte hi 'saifi' chaaron-jaanib dard ke lashkar ug aate hain"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"vahi manaazir vahi musaafir vahi sadaa kaa jaada thaa jab uftaad paDi thi mujh se main hi duur uftaada thaa ek ummid-o-bim ke aalam mein basti dam saadhe thi aur havaa ke tevar the paani kaa aur iraada thaa suraj bhi pahne the main ne aur taare bhi oDhe the din mein aur miraa pairaahan shab mein aur labaada thaa us ne mujh ko dariyaa kar Daalaa ye us ki azmat hai main to qatre ki surat bhi rahne par aamaada thaa gaThDi sar se kyaa utri main apni chaal hi bhuul gayaa tan kar chaltaa thaa main jab tak sar par bojh ziyaada thaa par ik roz miraa beTaa meri masnad par aa baiThaa jab tak meri maan zinda thi main ghar mein shahzaada thaa ab 'saifi' ki baaton mein vo pahle jaisi baat kahaan shahr mein aane se pahle ye shakhs nihaayat saada thaa"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"umr-bhar dard ke sannaaTon mein chalnaa hogaa paar utrungaa samundar ke to sahraa hogaa ungliyaan meri havaaon ki girah kholeingi paaniyon par bhi miraa naqsh-e-kaf-e-paa hogaa shisha-e-dasht-e-talab chhuT gayaa haathon se har taraf bikhraa huaa khvaab kaa chehra hogaa khushk honTon pe hai barfili havaaon ki nami gham kaa saavan kahin daldal pe barastaa hogaa reg-zaaron mein hai ye kis ke lahu ki khushbu mujh se pahle koi is raah se guzraa hogaa us ke chehre pe hain sadiyon ke safar ki shiknein mere purkhon ki kahaani vo sunaataa hogaa kachchi nindon se jagaao na koi 'saifi' ko kitni sadiyon ki thakan oDh ke soyaa hogaa"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"lahu kaa zaaiqa hi jab zabaan tak na gayaa to kyaa ajab hai jo zakhmon pe dhyaan tak na gayaa vo ek vahm jo sarmaaya-e-faqiri thaa yaqin mein is tarah badlaa gumaan tak na gayaa badal gai kahin raste mein kimiyaa us ki uThaa ghubaar magar aasmaan tak na gayaa anaa-parast the aise badan to phir hai badan hamaaraa saaya kabhi saaebaan tak na gayaa bataa ke rah gae sab daav-pech saahil se havaa ke saath koi baadbaan tak na gayaa khudaa kaa shukr ki mere hi jurm kaafi the faqih-e-shahr mire khaandaan tak na gayaa hamaare tiir chhupaae nahin gae the 'munir' hamaaraa haat hi apni kamaan tak na gayaa"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"yuun to aksar dil bhi dhaDke chehre par jo kuchh hain aankhein hain mere chehre par paDhne vaali aankh vazifa karti hai likh detaa hai pyaar sahife chehre par mere chehre par likkhaa hai naam miraa aur tiri tasvir hai tere chehre par shaam se pahle raat utarne lagti hai hans dete hain jab aaine chehre par pahle meri aankhon ko zanjir kiyaa phir khole saaton darvaaze chehre par tere gham ne har aalam pahchaan liyaa main ne kyaa kyaa chehre oDhe chehre par saal guzar jaate hain ishq mein aur 'munir' tham kar rah jaate hain lamhe chehre par"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"ek tamaashaa aur dikhaayaa jaa saktaa thaa mujh ko zinda bhi dafnaayaa jaa saktaa thaa chiDiyon ki aavaaz na kaanon tak aa sakti ghar mein itnaa shor machaayaa jaa saktaa thaa jab tak barf pighalti yaa barkhaa rut aati dariyaa aur bhi kaam mein laayaa jaa saktaa thaa tum ne apnaa rasta khud rokaa thaa varna tum jab aanaa chaahte aayaa jaa saktaa thaa chhoTi chhoTi khushiyaan baanTi jaa sakti thiin hanste hanste gham apnaayaa jaa saktaa thaa kitnaa hi masruf thaa phir bhi apni khaatir thoDaa saa to vaqt bachaayaa jaa saktaa thaa jitne vaqt mein tum ne ghar aabaad kiyaa hai utne vaqt mein shahr basaayaa jaa saktaa thaa gardan mein bal aanaa hi thaa phir bhi 'saifi' bojh zaraa saa aur uThaayaa jaa saktaa thaa"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"aisi bhi surat-e-haalaat na samjhi jaae meri paspaai miri maat na samjhi jaae ye to raste mujhe le aae hain teri jaanib ye mulaaqaat mulaaqaat na samjhi jaae baaz auqaat main nashshe mein nahin bhi hotaa meri har baat miri baat na samjhi jaae ab to sahraa bhi mire saath safar karte hain sirf vahshat hi mire saath na samjhi jaae faisle saare kahin aur huaa karte hain meri rusvaai mire haath na samjhi jaae vaqt aane pe galaa apnaa dabaa saktaa huun itni kamzor miri zaat na samjhi jaae"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"aabla hai ki ghaav jo bhi hai saamne mere laao jo bhi hai chaak se ab mujhe utaaro bhi meri surat dikhaao jo bhi hai jo nahin us ki kyaa pareshaani khair us ki manaao jo bhi hai rakh diyaa hai tumhaare chugne ko dard ki faakhtaao jo bhi hai ham tire dar se ab na uTTheinge teraa ham se subhaav jo bhi hai dost to apne aap bante hain koi dushman banaao jo bhi hai paa gae hain tumhaaraa bhed sabhi apnaa bhaav giraao jo bhi hai ishq ki bad-duaa lagi hai tumhein baiThe duniyaa kamaao jo bhi hai muntazir hain samaaatein sab ki apni apni sunaao jo bhi hai ye nishaani hai ik payambar ki ye shikasta si naav jo bhi hai jura jura main pi rahaa huun 'munir' mere dil mein alaav jo bhi hai"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"main nahin thaa ratjagon mein kaun thaa mere sivaa saath mere vahshaton mein kaun thaa mere sivaa ik zamaane mein huaa kartaa hai gautam ek hi dusraa phir jangalon mein kaun thaa mere sivaa haat vo kis ke the jo mere gale tak aa gae mere jaisaa doston mein kaun thaa mere sivaa tum to khud apni tajalli hi mein the khoe hue aks-dar-aks aainon mein kaun thaa mere sivaa kis ne mere naam par apni siyaahi pher di mujh se pahle madrason mein kaun thaa mere sivaa kaun uksaataa rahaa thaa sher-goi par mujhe maujzan meri ragon mein kaun thaa mere sivaa paas aate mausamon mein kaun thaa mahv-e-khiraam duur hoti aahaTon mein kaun thaa mere sivaa main to lab-basta thaa phir vo chikh kaisi thi 'munir' raat meri Thokaron mein kaun thaa mere sivaa"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"yuun to kyaa kyaa log chhupe the darvaazon ke pichhe main hi bas uDtaa rahtaa thaa aavaazon ke pichhe khuun kaa ik qatra varna phir maut kaa nashsha hogaa par aisi shai kab hoti hai parvaazon ke pichhe vo to log banaa dete hain pur-asraar fazaa ko aksar koi raaz nahin hotaa raazon ke pichhe mausiqaar ke bas mein kab hai lai ko lau mein Dhaale ek an-dekhaa haat bhi hotaa hai saazon ke pichhe phir to apne khuun mein tair ke paar utarnaa hogaa talvaaron ki fasl ho jab tir-andaazon ke pichhe tamgha pension beva bachche maayusi tanhaai ek kahaani rah jaati hai jaan-baazon ke pichhe ab to har chaukhaT par maathaa Tek rahe ho 'saifi' aur agar divaarein niklein darvaazon ke pichhe"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"jab na gumbad na sadaa raqs mein ho kyaa na ho raqs mein kyaa raqs mein ho aks ho apni dhamaalein oDhe aaina apni jagah raqs mein ho taaliyaan piiT rahe hon patte aur peDon pe havaa raqs mein ho Dubne vaale hon saahil saahil mauj-dar-mauj ghaDaa raqs mein ho raat-bhar aayatein gaate rahiye kyaa khabar koi duaa raqs mein ho kyaa khabar raqs mein ho qibla-e-jaan dam-ba-dam sajda adaa raqs mein ho ek darvesh paDhe jaae ghazal ek darvesh sadaa raqs mein ho raqs mein lamha vo kab aataa hai paanv saakit hon fazaa raqs mein ho aag si shai ho koi rag rag mein ek ik ang miraa raqs mein ho saayaa kab TuuT ke yuun naachtaa thaa aaj mumkin hai diyaa raqs mein ho TuuT bhi jaaun pataa bhi na chale kam se kam itnaa nasha raqs mein ho"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"dard dekhein na ab davaa dekhein marne vaalon kaa hausla dekhein kuchh nahin ishq mein baiid miyaan raushni chhuein aur havaa dekhein jab na dekhaa use to kyaa dekhaa dekh kar us ko aur kyaa dekhein jo na dekhaa thaa vo bhi dekh liyaa ab dikhaataa hai kyaa khudaa dekhein ham mein koi mushaabahat bhi hai aaiye mil ke aaina dekhein ye mohabbat to shai hi aisi hai aap bhi apnaa faaeda dekhein main palaT jaaun apne ghar ki taraf aap bhi apnaa raastaa dekhein kyaa khule un pe ishq jo 'saifi' shahr se dasht ko judaa dekhein"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"jaaez hai us kaa qatl hamaare hisaab se jis ne mohabbaton ko nikaalaa nisaab se tanqid kar rahe hain kitaab-e-hayaat par aage na baDh sake jo kabhi intisaab se main saahab-e-khabar bhi nazar bhi junun bhi thaa jab tak rahaa thaa meraa taalluq kitaab se us vaqt ek sajda baDe kaam aa gayaa main jab guzar rahaa thaa anaa ke azaab se ik lamhe kaa firaaq havaaein na sah sakin dariyaa ki sharmsaar rahegaa habaab se mujh se baDe baDe the gunahgaar us jagah be-kaar Dar rahaa thaa main yaum-e-hisaab se kaanTon ke khauf se bhi larazte ho tum 'munir' aur ghar bhi chaahte ho sajaanaa gulaab se"
Muneer SaifiMuneer Saifi