SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMurli Dhar Shad(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"na koi mehrbaan apnaa na koi raaz-daan apnaa jise samjhe the apnaa dil vo dil bhi ab kahaan apnaa jo ho chashm-e-karam teri jo ho tu mehrbaan apnaa zamin apni falak apnaa makin apne makaan apnaa vo le kar aaina baiThe the lene imtihaan apnaa kiyaa haathon se apne daaman-e-dil dhajjiyaan apnaa bhaTakte phir rahe hain justuju-e-yaar mein ab tak kahin Tikne nahin detaa hamein vahm-o-gumaan apnaa javaani mein kise neki badi kaa hosh hotaa hai javaani mein nahin kuchh sujhtaa sud-o-ziyaan apnaa zamaane ne vo karvaT meri duniyaa badal Daali na ab hai raaz-daan koi na koi mehrbaan apnaa kisi ko yaad ham aate nahin is anjuman mein ab ba-hamdillaah zikr-e-khair rahtaa thaa jahaan apnaa vo gul hain ham gulistaan se uDe yuun bu-e-gul ban kar na DhunDe se milaa gulchin ko phir naam-o-nishaan apnaa mazaa ustaad ke she'ron kaa ham ko 'shaad' aataa hai vo hai tarz-e-sukhan apni vo hai rang-e-bayaan apnaa"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"dost ban kar vo dilsitaan na rahaa chaar din bhi to mehrbaan na rahaa dil ke dam se thaa hasraton kaa hujum ab vo saalaar-e-kaarvaan na rahaa kyaa hasinon ne zulm chhoD diyaa dil mein kyuun dard kaa nishaan na rahaa kaabe mein dair mein kalisaa mein zikr us kaa kahaan kahaan na rahaa dil mein mere vo chhup ke baiTh gae jab koi un kaa paasbaan na rahaa mujh se gar ruuTh kar gayaa koi bevafaai kaa bhi gumaan na rahaa aap ke zulm bhi khushi se sahe 'shaad' kis roz shaadmaan na rahaa"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"haqq-e-neamat adaa nahin hotaa ham se shukr-e-khudaa nahin hotaa kyaa visaal-e-khudaa nahin hotaa ishq-e-saadiq se kyaa nahin hotaa be-bahaa dil ko nazr kartaa kaun husn agar dilrubaa nahin hotaa aah par hans ke ye diyaa taana yuun to naam-e-vafaa nahin hotaa huun agar laakh baar bhi sadqe husn kaa den adaa nahin hotaa hijr mein gham-gusaar mahram-e-raaz dard-o-gham ke sivaa nahin hotaa jo sataataa hai dil jalaataa hai us kaa hargiz bhalaa nahin hotaa ishq kaa naam muft hai badnaam ishq achchhaa buraa nahin hotaa aah se arsh hiltaa hai ai 'shaad' fazl-e-maulaa se kyaa nahin hotaa"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"munh tiraa kyuun aaj zor-e-naa-tavaani phir gayaa us ke aate hi mire chehre pe paani phir gayaa bhuul kar aashiq tumhaaraa jaa rahaa thaa tuur par duur se sun kar sadaa-e-lan-taraani phir gayaa zillat-o-rusvaai ki had bhi hai koi Duub mar ai dil-e-naakaam ab to sar pe paani phir gayaa us ke aage tu ne phailaayaa agar dast-e-savaal yaad rakh ai dil suluk-e-mehrbaani phir gayaa dil miTaayaa teri khaatir jaan ki parvaa na ki kis liye tu ham se ai ahd-e-javaani phir gayaa be-sutun ko kaaT kar laayaa thaa zaalim ju-e-shir kohkan ki hasraton par phir bhi paani phir gayaa pattiyaan pazhmurda phulon ki chaman mein dekh kar saamne aankhon ke daur-e-aish-e-faani phir gayaa kal khili thi jo kali hai aaj murjhaai hui meri nazron mein maaal-e-zindagaani phir gayaa bul-havas kaa munh ho kaalaa kaan mein kyaa kah diyaa aap ke chehre pe rang-e-arghavaani phir gayaa barq ban kar aaj vo mahfil mein aae is tarah meri aankhon mein miraa ahd-e-javaani phir gayaa bhar ke saaqi ne diyaa jaam-e-sharaab-e-arghavaan 'shaad' ke chehre pe rang-e-shaadmaani phir gayaa"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"bas yahi to mudda'aa hai aap ke irshaad kaa 'shaad' kis ne naam rakkhaa aashiq-e-naashaad kaa lijiye haazir hai nazraana dil-e-naashaad kaa Taalnaa aasaan na thaa kuchh aap ke irshaad kaa barq samjhaa hai jise saaraa zamaana dekhiye aasmaan par chaDh gayaa lachchhaa miri fariyaad kaa hashr se ishq-e-nihaan ki aur shohrat ho gai ek 'aalam qissa-khvaan niklaa miri rudaad kaa be-ta'alluq ho ke rahnaa baagh-e-aalam mein muhaal paa-ba-gul honaa to dekho sarv se aazaad kaa baaghbaan sayyaad gulchin sab ke sab dekhaa kiye aashiyaan ujDaa kiyaa ik khaanamaan-barbaad kaa tark-e-ulfat par jo main zinda rahaa ghabraa gae DhunDte hain ab nayaa pahlu koi bedaad kaa zikr-e-dushman par mujhe jhuTlaane vaale phir tu kah tum ho muztar kyaa bharosa hai tumhaari yaad kaa garmi-e-daagh-e-jigar se mom ho kar bah gayaa tum usi khanjar ko samjhe the ki hai faulaad kaa aankh se kuchh ho ishaara kuchh tabassum lab pe ho 'shaad' karnaa kuchh nahin mushkil dil-e-naashaad kaa teri sab sunte hain meri koi suntaa hi nahin kis se rouun jaa ke ab dukhDaa tiri bedaad kaa 'shaad' yaktaa-e-jahaan hai aap ke sar ki qasam dekh lenaa jaa-nashin hogaa yahi ustaad kaa"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"pazhmurda dil hai vasl ke armaan ko kyaa huaa rotaa huun main bahaar-e-gulistaan ko kyaa huaa kab tak uDaaun hijr mein daaman ki dhajjiyaan ai subh tere chaak-garebaan ko kyaa huaa bulbul ke chahchahe hain na koi shagufta phuul ai baaghbaan bahaar-e-gulistaan ko kyaa huaa dil chiir kar dikhaane ki shai ho to main dikhaaun furqat ki raat sadma miri jaan ko kyaa huaa dushman kaa sog saaf hai chehre se aashkaar aaina dekh zulf-e-pareshaan ko kyaa huaa bulbul hai chup fasurda chaman luT gai bahaar main ne kiyaa jo chaak-e-garebaan ko kyaa huaa mahv-e-jamaal ho gae aaina dekh kar tum kah rahe the nargis-e-hairaan ko kyaa huaa main un ko is savaal kaa ab kyaa javaab duun daaman ko aastin ko garebaan ko kyaa huaa kaanTe hazaar dil mein hain kis kis ko roiye phulon ko bulbulon ko gulistaan ko kyaa huaa dil TukDe ho ke sabr kaa daaman huaa hai chaak kis se kahun ki chaak-garebaan ko kyaa huaa uljhaa huaa hai 'shaad' kaa dil baal kyaa banein vo kah rahe hain zulf-e-pareshaan ko kyaa huaa"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"kab miTaae se miTaa ranj-o-suubat kaa asar hai vatan mein bhi mire chehre pe ghurbat kaa asar ho chalaa ishq-e-majaazi pe haqiqat kaa asar aa chalaa mujh ko nazar kasrat mein vahdat kaa asar saari duniyaa se nahin mujh se faqat bezaar the aur is se baDh ke kyaa hotaa mohabbat kaa asar be-vafaa un kaa laqab hai baa-vafaa meraa khitaab vo hai tinat ki kharaabi ye hai ulfat kaa asar moajiza dekhaa tasavvur kaa to aankhein khul gaiin paa rahaa huun aaj main jalvat mein khalvat kaa asar vo pari se huur ban jaate yaqini baat thi un ki sirat par agar paD jaataa surat kaa asar un pe dil hi aa gayaa le hi gae vo meraa dil ye taqaazaa husn kaa thaa vo sharaarat kaa asar ik jagah rahtaa na thaa Tik kar ye aadat thi miri khinch laayaa khuld tak ab mujh ko vahshat kaa asar khair se milte jo bad-khuni hai chehre se ayaan ye masal sach hai ki ho jaataa hai sohbat kaa asar aap kyaa the ho gae kyaa faiz se ustaad ke dekh liije 'shaad' ye hotaa hai nisbat kaa asar"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"maut aaegi jo rusvaai kaa saamaan hogaa chaak dil hogaa agar chaak garebaan hogaa dil ko bahlaataa huun ye kah ke tiri furqat mein parda-e-ghaib se khud vasl kaa saamaan hogaa hashr mein dekheinge rahmat kaa tamaashaa zaahid jab khataavaar khataaon pe pashemaan hogaa malak-ul-maut ko bhi saath gul apne laanaa mujh pe ehsaan teraa ai shab-e-hijraan hogaa rahnumaai rah-e-ulfat mein jo ai khizr kare vo farishta to nahin mujh saa hi insaan hogaa ham na kahte the ki hai hosh-rubaa husn tiraa aaina dekh na tu dekh ke hairaan hogaa mujh se kahti hai shab-e-vasl pareshaan-nazari aap ke dil mein bhi shaayad koi armaan hogaa ku-e-jaanaan ki havas tujh ko bahut hai ai 'shaad' khaak ke zarron ki maanind pareshaan hogaa"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"teri ye zulfein nahin tere rukh-e-raushan ke paas abr ke do TukDe uTh kar aae hain gulshan ke paas kyuun zamin hilne lagi hai kyuun pareshaan ruuh hai kaun ghabraa ke chalaa aayaa mire madfan ke paas khinchnaa jazb-e-mohabbat us kaa daaman dekh kar sar-nigun baiThaa na ho fitna koi daaman ke paas phir to DhunDaa bhi nahin miltaa koi murgh-e-chaman ghar agar sayyaad kaa hotaa kisi gulshan ke paas kaun detaa hai hamaare dil ko ye targhib-e-nek rahnumaa baiThaa huaa hai kyaa koi rahzan ke paas main to samjhaa thaa ki ab chhuTaa gham-o-aalaam se tegh us ki ruk gai aa kar miri gardan ke paas bazm-e-dushman mein nayaa fitna koi uThne ko thaa khair guzri aap aa baiThe qayaamat ban ke paas 'shaad' ab dil kaa tumhaare haath aanaa hai muhaal vo magan baiThaa huaa hogaa kisi pur-fan ke paas"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"kyuun bahaar aate hi pahlu mein bujhaa aap hi aap yaa-ilaahi mire dil ko huaa kyaa aap hi aap khat mein likkhaa huaa aaegaa judaai kaa payaam khvaab mein khat ke hue harf judaa aap hi aap nabzein Duubi hui bimaar ki paaein shaayad haath mil kar koi baalin se uThaa aap hi aap na talab thi mire dil ki na ishaara un kaa jaam lene ko miraa haath baDhaa aap hi aap 'ishq-e-saadiq kaa kahin zikr huaa thaa shaayad us ne mahfil mein miraa naam liyaa aap hi aap sham'-e-mahfil tumhein kahtaa thaa zamaana dekhaa huaa parvaana-e-dil uD ke fidaa aap hi aap jazb-e-dil kaa ye asar bazm-e-adu mein bhi huaa kasmasaate hue kuchh us ne kahaa aap hi aap shokhi-e-husn jigar-soz kaa iimaa ye na thaa bigDi hai sham' ki mahfil mein havaa aap hi aap tum ne dushman se kahin aankh laDaai hogi kyuun huaa tir-e-nazar aaj khataa aap hi aap 'shaad' ne aaj ye maqtal mein tamaashaa dekhaa dast-e-qaatil se lagi uDne hinaa aap hi aap"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"qaatil ko tegh-e-naaz pe hai naaz dekhnaa daaman uThaa ke chalne kaa andaaz dekhnaa rashk-e-raqib kaa to gumaan bhi na kijiye martaa huun is liye ki hai eajaaz dekhnaa tum aur apne vaade pe aa jaao shaam se kyaa baat ban paDi hai khudaa-saaz dekhnaa hai khun-e-dil abhi sar-e-mizhgaan jamaa huaa un ki taraf na dida-e-ghammaaz dekhnaa fasl-e-bahaar aate hi mutrib bani sabaa chheDaa shamim-e-gul ne nayaa saaz dekhnaa aaina saamne na sahi aarsi to hai tum apne muskuraane kaa andaaz dekhnaa baazu hain vaa qafas mein taDaptaa huun raat-din kis se kahun ki hasrat-e-parvaaz dekhnaa yuun dekhne ke vaaste laakhon hasin hain kis ko huaa nasib ye andaaz dekhnaa ghussa mein aankh bhi nahin milti kisi se aaj kis par gire nigaah kaa shahbaaz dekhnaa har lab pe gudgudi kaa asar dekhtaa huun main mahfil mein un ki shokhi-e-aavaaz dekhnaa qaail bani nazaakat-e-aavaaz dekhnaa likhe hain sher hazrat-e-'bekhud' ke rang mein ai ahl-e-bazm 'shaad' kaa eajaaz dekhnaa"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"tang aa gae hain ishq mein ab zindagi se ham aae qazaa to nazr karein jaan khushi se ham un ki khushi se baDh ke hamein kuchh nahin aziiz dil maal kyaa hai jaan bhi de dein khushi se ham puchhaa thaa main ne ghair ne kyaa aap se kahaa bole kisi ki baat kahein kyuun kisi se ham rukhsat ki tujh se maut ne mohlat hamein na di band aankh kar ke nikle hain teri gali se ham pursaan-e-haal kaun ho badle hue hain bhes baiThe hain un ki bazm hain ik ajnabi se ham puchho na ham se ziist kaa lutf aa gayaa hamein jis din se ru-shanaas hue be-khudi se ham ham bhi hain apni vaza ke duniyaa mein ek si mumkin nahin milaap karein muddai se ham 'shaad' is tarah se aaj kiyaa us ne mujh ko 'shaad' dekho to phuul ban gae khil kar kali se ham"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"aashiq to bad-nasib hai is mein kalaam kyaa rakkhaa hai tu ne ye to bataa apnaa naam kyaa maashuq ki nigaah mein ulfat kaa kaam kyaa badnaam kar rahe ho mohabbat kaa naam kyaa sau baar aap kah chuke ham se na boliye ye ho gayaa hai aap kaa takiya-kalaam kyaa roz-e-azal ke mast ko piine se kaam hai us ki nazar mein hurmat-e-maah-e-siyaam kyaa hurein balaaein leti hain maashuq ki mire paidaa na thaa bahisht mein husn-e-tamaam kyaa vo khud pilaaein main na piyun meri kyaa majaal is mein savaal-e-subh hai kyaa zikr-e-shaam kyaa nazron mein saare tai hon mohabbat ke kaarobaar ham tum hain saamne to payaami kaa kaam kyaa guzri hai apni umr yunhi intizaar mein aaegaa 'shaad' un kaa koi ab payaam kyaa"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"to vahaan jaa ke bachegaa dil-e-hoshyaar ghalat un ki nazron kaa khataa hotaa hai kab vaar ghalat ye to huron kaa talabgaar hai din-daar kahaan bandh gai shaikh ke sar bhule se dastaar ghalat do hi fiqron mein vo aghyaar ke ban baiThe hain naama-bar un ko bataataa hai jo hoshyaar ghalat Thokarein khaa ke hi insaan banaa kartaa hai zindagi ishq mein ho jaaegi yuun khvaar ghalat us ke didaar ki ummid dobaara kaisi kahin hoti hai tajalli ko bhi takraar ghalat vo mujhe puchhte paighaam-rasaa jhuuT na bol ye bayaan teraa saraasar hai mire yaar ghalat ishq kaa josh sahi hausla ye ham mein kahaan un se kuchh arz kareinge sar-e-baazaar ghalat 'shaad' hai naam vo dil shaad rahaa kartaa hai vo bhalaa roegaa jaa kar pas-e-divaar ghalat"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad
Quote
"shab-e-hijr mein yaad aanaa kisi kaa sataae hue ko sataanaa kisi kaa kabhi pyaar ki baatein vo chupke chupke kabhi naaz se ruuTh jaanaa kisi kaa vo bholi adaaein na kyuun yaad aaein laDakpan mein thaa kyaa zamaana kisi kaa kabhi thi vo ghusse ki chitvan qayaamat kabhi aajizi se manaanaa kisi kaa vo dil ban ke daam-e-mohabbat mein aayaa ki zulfon mein thaa aashiyaanaa kisi kaa nazar lag gai mere dushman ki mujh ko qayaamat huaa ruuTh jaanaa kisi kaa khilaaegaa gul rang laaegaa ai 'shaad' tujhe dekh kar muskuraanaa kisi kaa"
Murli Dhar ShadMurli Dhar Shad