SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNaz Qadri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"sukun na thaa magar itnaa bhi intishaar na thaa hamaare chaaron taraf khauf kaa hisaar na thaa tamaam umr khizaan mein jhulaste guzri hai hamaare sar pe kabhi saaya-e-bahaar na thaa rahaa hamesha kisi aur ke tasarruf mein khud apne dil pe kabhi apnaa ikhtiyaar na thaa har ek haath uThaae hue thaa yuun patthar ki jaise shahr mein koi gunaahgaar na thaa amir-e-shahr ke chehre ke daagh-dhabbe the fasil-e-shahr pe chaspaan vo ishtihaar na thaa hazaar daftar-e-maani khangaal Daale 'naaz' magar kahin bhi koi harf-e-e'tibaar na thaa"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"kabhi havaa kabhi bijli ke ham-rikaab huaa phir is ke baad main jiine mein kaamyaab huaa nazar-navaaz nazaare the mere chaaron taraf khuli jo aankh to barham vo saaraa khvaab huaa kabhi jo baais-e-raahat thaa ahl-e-dil ke liye ye kyaa huaa ki vo manzar bhi ab azaab huaa vo al-atash ki sadaaein vo karb-e-tishna-labi furaat jis ke tasavvur se aab aab huaa hamaari chikh fazaaon mein kho gai yaani khulaa daricha koi vaa na koi baab huaa hamaare qatl ki saazish mein thaa sharik to kyaa khataa muaaf karam us kaa be-hisaab huaa anaa pasand tabiat ki sarfaraazi dekh ki 'naaz' khaak mein mil kar bhi aaftaab huaa"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"sach hai jab bhi koi harf us ki zabaan se niklaa zahr mein Duubaa huaa tiir kamaan se niklaa duur tak phail gayaa husn-e-maaani kaa tilism khuub mafhum mire lafz-o-bayaan se niklaa main tire tark-e-taalluq se bas itnaa samjhaa ek patthar thaa jo shishe ke makaan se niklaa ik haqiqat pas-e-afsaana thi raushan raushan vo jo kaabe ko gayaa shahr-e-butaan se niklaa us taraf daar ki manzil thi idhar kucha-e-yaar mujh ko jaanaa thaa kahaan aur kahaan se niklaa manzil-e-zaat mili ruuh hui aasuda silsila taar-e-nafas kaa rag-e-jaan se niklaa bas ki thaa pesh-e-nazar husn-e-azal kaa jalva 'naaz' har kashmakash-e-sud-o-ziyaan se niklaa"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"sahn-e-ehsaas mein ik naqsh nihaan thaa pahle tu nahin thaa tire hone kaa gumaan thaa pahle tah-ba-tah chaar su khush-rang sadaa raushan thi mujh se pahle bhi koi jaise yahaan thaa pahle vo bhi sahraa ki sadaaon mein giraftaar rahaa aur mujh mein bhi koi reg-e-ravaan thaa pahle vaqt ne kar diyaa patthar ki lahad mein tabdil apnaa chhoTaa saa jo miTTi kaa makaan thaa pahle ab to aaina-e-ehsaas hai be-aks-e-jamaal mujh se chhup kar bhi koi mujh pe ayaan thaa pahle vo nahin thaa to na thaa us ki zarurat kyaa thi apne hone kaa bhi ehsaas kahaan thaa pahle roz-o-shab sahte rahe TuTte lamhon kaa itaab koi khanjar saa qarib-e-rag-e-jaan thaa pahle aap ki ham-safari ne safar aasaan kiyaa varna har gaam yahaan koh-e-giraan thaa pahle khush-bayaani ne kisi ki mujhe khush-rang kiyaa apnaa kuchh aur hi andaaz-e-bayaan thaa pahle un se milte hi har ik gham se mili 'naaz' najaat zindagi kaa ye hasin chehra kahaan thaa pahle"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"har ek samt udaasi ki titliyaan jaagin tulu-e-shaam se pahle siyaahiyaan jaagin safar mein dhuup ki lazzat pas-e-ghubaar hui ghane darakhton ke saae mein garmiyaan jaagin dayaar-e-dil mein sadaaon kaa aaina TuuTaa navaah-e-jaan mein taalluq ki kirchiyaan jaagin kahaan kahaan nahin di ham ne raat bhar dastak na koi baab hi chaunkaa na khiDkiyaan jaagin dilon ke biich to haail thaa barf kaa mausam na jism sulge na khvaahish ki garmiyaan jaagin lahu mein lams ke shoale buland hone lage badan mein qurb ki pur-shor aandhiyaan jaagin kisi se kam na huaa 'naaz' faasla gham kaa ki log jitnaa chale utni duriyaan jaagin"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"khush-rang aasmaan uDaa le gai havaa khushbu kaa saaebaan uDaa le gai havaa kaanTe ulajh ke daaman-e-hasti se rah gae phulon ki daastaan uDaa le gai havaa aankhon mein ab chamakte dar-o-baam hain kahaan khvaabon kaa vo makaan uDaa le gai havaa dil ke taalluqaat ki khushbu kahin nahin marbut khaandaan uDaa le gai havaa be-samt zindagi miri be-samt hi rahi manzil kaa har nishaan uDaa le gai havaa thi jis ke dam se jalva-e-tahzib-e-nau yahaan kab kaa vo khaak-daan uDaa le gai havaa qismat se aa gae the ham ahl-e-sitam ke haath vo tiir vo kamaan uDaa le gai havaa tufaan se khelti hui kashti guzar gai har chand baadbaan uDaa le gai havaa zaahir huaa jo matla-e-dil par yaqin kaa nuur pal bhar mein har gumaan uDaa le gai havaa badlaa thaa jin se 'naaz' miraa lahja-e-ghazal vo tarz vo bayaan uDaa le gai havaa"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"sukut TuTne vaalaa hai haadsa hogaa main jaantaa huun ki phir koi saaneha hogaa main apne aap ko ruk kar sameT luun ab bhi ki is se aage bahut sakht marhala hogaa har ek manzar-e-khush-rang be-panaah sahi miri nazar mein vahi aks gum-shuda hogaa nishaan paaegaa apnaa na is safar mein vo jahaan bhi jaaegaa sunsaan raasta hogaa hamaari ruuh hamaare badan ko tarsegi hamaare biich to sadiyon kaa faasla hogaa na ru-ba-ru kisi khvaahish ki tishnagi hogi na us ke honTon kaa shaadaab zaaiqa hogaa hamaaraa zauq-e-hunar hai sadaaqaton kaa amiin hamaare haq mein bhalaa kaise faisla hogaa"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"haadisa aisaa bhi zer-e-aasmaan honaa hi thaa barg-e-gul ko khaak shoale ko dhuaan honaa hi thaa talkh jitni ho haqiqat ko ayaan honaa hi thaa zindagi ko saat pardon mein nihaan honaa hi thaa jo na sunnaa thaa vo afsaana bayaan honaa hi thaa yaani apni koshishon ko raaegaan honaa hi thaa reza reza TuuT kar bikhre dar-o-divaar-e-dil lamha lamha khaana-e-jaan kaa ziyaan honaa hi thaa saaat-e-be-mehr meri zindagi ko Das gai lamha-e-saffaak ko mujh par ayaan honaa hi thaa vaqt se pahle havaa ne kaan mein kuchh kah diyaa fasl-e-gul ke aate hi dil kaa ziyaan honaa hi thaa jaantaa huun naaz phir bhi sabr ki taaqat nahin baagh-e-dil ko ek din nazr-e-khizaan honaa hi thaa"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"na koi tiir na koi kamaan baaqi hai magar vo ik nigah-e-mehrbaan baaqi hai uDaa ke le gaiin hijrat ki aandhiyaan sab kuchh bas apne sar pe khulaa aasmaan baaqi hai ik aur tiir chalaa apnaa ahd puuraa kar abhi parinde mein thoDi si jaan baaqi hai fazaa mein guunj rahi hai sadaa-e-mazlumaan zabaan khamosh hai lekin bayaan baaqi hai miTaa sakaa na kabhi vaqt kaa ghubaar use fasil-e-shab pe lahu kaa nishaan baaqi hai hamaare shahr pe viraaniyaan musallat hain makin to koi nahin hai makaan baaqi hai nafas nafas hai vahi aazmaaishon kaa safar qadam qadam pe vahi imtihaan baaqi hai masal ye sach hai ki rassi ke bal nahin jaate ukhaD chuki hai havaa aan-baan baaqi hai ataa hui hai hamein aisi jurat-e-parvaaz ki par shikasta hain lekin uDaan baaqi hai kisi kinaare lagaa degi mehrbaan havaa shikasta naav sahi baadbaan baaqi hai duaa ke haath bhi shal ho gae magar ai 'naaz' vahi zamin vahi aasmaan baaqi hai"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"god mein zarraat ki sar apnaa rakh kar so gayaa pyaas ki dahliz par dariyaa kaa manzar so gayaa kuchh nazar aataa nahin aaina-e-ayyaam mein aks-e-hairat jaag uThaa khvaabon kaa paikar so gayaa dard ko darmaan banaane kaa hunar rakhtaa thaa vo oDh kar jo vaqt ki khush-rang chaadar so gayaa jis kaa rishta thaa jahaan-e-aagahi ke karb se vo payaam-e-amn kaa haami kabutar ho gayaa ham hi gham-khvaar-e-tamannaa the na soe subh tak jab dar-o-divaar ko niind aa gai ghar so gayaa khaak uDti hai sar-e-sahn-e-tamannaa chaar su didani jo kuchh bhi thaa manzar-ba-manzar so gayaa ahd-e-nau ne taabish-e-husn-e-rifaaqat chhin li qarya-e-jaan mein mohabbat kaa samundar so gayaa mausam-e-saffaak ne vo subh raushan ki hai 'naaz' qatra-e-shabnam sar-e-shaakh-e-gul-e-tar so gayaa"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"barf ke phuul khile dhuup ke daane nikle ab ke mausam mein sabhi khvaab suhaane nikle phir miri yaad tujhe chain na lene degi phir tiri bazm mein mere hi fasaane nikle do qadam baDhte hi khud apnaa pataa kho baiThe jab bhi ham tujh ko tiri yaad dilaane nikle un ko har moD pe khushiyon ke dafine hi mile mere hisse mein faqat gham ke khazaane nikle meraa jaltaa huaa ghar dekh ke ham-saae mire ghar se nikle to magar ashk bahaane nikle zindagi tu ne hamein aur bhi maqruz kiyaa jab bhi ham log tiraa qarz chukaane nikle"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"karbalaa kaa raasta raushan huaa phir lahu kaa maarka raushan huaa kaun thaa aakhir vo jis ki zaat se zindagi kaa zaaviya raushan huaa jazba-e-isaar-o-qurbaani ke naam khaak-o-khun kaa silsila raushan huaa baare tujh pe ai furaat-e-be-karaan tishnagi kaa martaba raushan huaa munhadim hone lagi divaar-e-jaan jism kaa zulmat-kada raushan huaa qadghanein jitni lagaain vaqt ne dil-zadon kaa hausla raushan huaa 'naaz' kaa aahang-e-taaza dekhnaa fikr-o-fan kaa daaera raushan huaa"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"khizaan se joD ke rishta bahaar kaa koi khushi nahin na sahi gham to de gayaa koi na shukriya na shikaayat ye rabt hai kaisaa kise nasib thi fursat ki sochtaa koi na koi dost na dushman to phir ye uljhan kyuun tamaam umr isi karb mein rahaa koi ajiib daur se vaabastagi rahi meri ki mil sakaa na mujhe apnaa ham-navaa koi haqiqaton ke bhi rukh se naqaab uTh jaataa kabhi jo apne garebaan mein jhaanktaa koi guzar gayaa to harifon ke vaar se bach kar khud apni tegh-e-anaa se na bach sakaa koi zabaan se kuchh na kahaa vo samajh gayaa lekin miri nigaah mein thaa harf-e-iltijaa koi"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"zavaal-e-azmat-e-insaan kaa marsiya huun main sar-e-kashida pe dastaar-e-be-anaa huun main sag-e-zamaana se aage nikal gayaa huun main ab apne saamne tanhaa khaDaa huaa huun main mire vajud mein dar aayaa kaisaa sannaaTaa ki reg-zaar mein gum-gashta ik sadaa huun main Dubo na de kahin mujh ko bhi tishnagi kaa safar ki reg reg saraabon kaa silsila huun main idhar se ho ke koi mehrbaan havaa guzre dayaar-e-habs mein sadiyon se ghuT rahaa huun main jise mili hai sazaa harf-e-haq sunaane ki salib-e-lab pe vo Thahri hui sadaa huun main khaDaa huaa huun harifon mein sar jhukaae hue ki apne aap se ab ke bahut judaa huun main na koi aks-e-munavvar na manzar-e-khush-rang ye kaise khvaab ke bistar pe so rahaa huun main ajiib aandhi hai ye jism-o-jaan ki aandhi bhi mujhe sambhaal bikharne se Dar rahaa huun main kabhi na chhu saki baab-e-asar duaa meri ajiib qahr-e-musalsal mein mubtalaa huun main mujhe barasne ki taufiq de mire allaah ki abr ban ke zamaane pe chhaa gayaa huun main na chhu saki mujhe hirs-o-havas ki parchhaain khudaa kaa shukr qanaaat se aashnaa huun main rafugaraan-e-hunar 'naaz' be-namak the magar phir apne zakhm ko shaadaab dekhtaa huun main"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"gunaah-gaar-e-vafaa laaeq-e-sazaa likh do mire khilaaf zamaane kaa faisla likh do ghiri hai daaera-e-karb-e-aagahi mein hayaat isi hisaar mein rahne kaa hausla likh do har ek lamha hai nok-e-sinaan pe sar apnaa mujhe sitam-zada-e-jazba-e-anaa likh do main dusron se bhi kuchh daad-e-zabt-e-gham paaun har ek lab pe mire dil kaa muddaaa likh do fanaa ke dasht mein rahte hue zamaana huaa mire junun ko sar-e-vaadi-e-baqaa likh do khulaa mire liye baab-e-asar nahin na sahi mire labon pe koi be-asar duaa likh do navaah-e-jaan mein kabhi to bahaar aaegi kabhi to badlegi is dasht ki fazaa likh do urus-e-fikr ki saada hatheliyon ke naam tamaam rang-e-shafaq surkhi-e-hinaa likh do tumhaare haathon mein shaair kaa hai qalam ai 'naaz' kitaab-e-dil pe mohabbat kaa haashiya likh do"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"phir siyah-posh hui shaam nazar mein rakhnaa tum ye bedardi-e-ayyaam nazar mein rakhnaa main ne baatil se kabhi sulh nahin ki logo meri haq-goi kaa inaam nazar mein rakhnaa khuub hai dard-o-gham-e-dil kaa mudaavaa lekin khud ko bhi ai dil-e-naakaam nazar mein rakhnaa Thokarein khaa ke sambhalte hain sambhalne vaale ye jo patthar hain ba-har gaam nazar mein rakhnaa imtihaan-gaah-e-mohabbat se guzarne vaalo roz-e-aashura kaa hangaam nazar mein rakhnaa kaaba-e-fan ki kashish khinch rahi hai dil ko fikr kab baandhegi ehraam nazar mein rakhnaa intisaab-e-gham-e-hasti ke liye ab ai 'naaz' khub-surat saa koi naam nazar mein rakhnaa"
Naz QadriNaz Qadri
Quote
"na vo shuur ki lau hai na vo nazar kaa charaagh bujhaa paDaa hai baDi der se hunar kaa charaagh andheri raat kaa dil chirtaa ho jaise koi chalaa hai le ke hatheli pe koi sar kaa charaagh usi kaa nuur viraasat hai ibn-e-aadam ki vo zindagi jise kahte hain ham sahar kaa charaagh main apne harf-e-malaamat kaa khud shikaar huaa ki ghar mein aag lagi jis se thaa vo ghar kaa charaagh ik aane vaale kaa hai kab se intizaar use kaho havaa se bujhaae na us ke dar kaa charaagh jo qalb-o-jaan mein na soz-e-khulus ho ai 'naaz' duaa ke taaq mein kaise jale asar kaa charaagh"
Naz QadriNaz Qadri