Quote
"jo khvaab mere nahin the main un ko dekhtaa thaa isi liye aankh khul gai thi isi liye dil dukhaa huaa thaa udaasiyon se bhari hui iltijaa suni thi kisi nagar mein koi kisi ko pukaartaa thaa vo ik sadaa thi ki haft-aalam mein gunjti thi na-jaane kaise koi kisi se bichhaD gayaa thaa ajiib hairat bikherte the vo daastaan-go ki shab ne jaane se saaf inkaar kar diyaa thaa guzishtagaan ko bhi ye gila thaa sunaa hai main ne sunaa hai un ko bhi ism-e-aazam nahin milaa thaa fazaa sunahri thi rang phailaa thaa chaar jaanib ki chaand se vo zamin pe jaise utar rahaa thaa safar ke aakhir pe shamein raushan si ho gai thiin koi masarrat ki sab hadon se guzar gayaa thaa"







