Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
muskuraahaT hai husn kaa zevar
muskuraanaa na bhuul jaayaa karo
مسکراہٹ ہے حسن کا زیور
مسکرانا نہ بھول جایا کرو
मुस्कुराहट है हुस्न का ज़ेवर
मुस्कुराना न भूल जाया करो

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
taklif miT gai magar ehsaas rah gayaa
khush huun ki kuchh na kuchh to mire paas rah gayaa
sirf ik qadam uThaa thaa ghalat raah-e-shauq mein
manzil tamaam umr mujhe DhunDhti rahi
kahte hain umr-e-rafta kabhi lauTti nahin
jaa mai-kade se meri javaani uThaa ke laa
jin se insaan ko pahunchti hai hamesha taklif
un kaa daavaa hai ki vo asl khudaa vaale hain
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
sitam hai sitam kaaba-e-dil kaa Dhaanaa
ye kyaa kar rahe ho ye kyaa ho rahaa hai
haath pistaan pe ghair kaa pahunchaa
aap bhi ab hue anaar-farosh
mujh ko paanaa hai to phir mujh mein utar kar dekho
yuun kinaare se samundar nahin dekhaa jaataa