Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
zabaan-e-hosh se ye kufr sarzad ho nahin saktaa
main kaise bin piye le luun khudaa kaa naam ai saaqi
زبان ہوش سے یہ کفر سرزد ہو نہیں سکتا
میں کیسے بن پئے لے لوں خدا کا نام اے ساقی
ज़बान-ए-होश से ये कुफ़्र सरज़द हो नहीं सकता
मैं कैसे बिन पिए ले लूँ ख़ुदा का नाम ऐ साक़ी

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
garche ahl-e-sharaab hain ham log
ye na samjho kharaab hain ham log
aaj pi lene de ji lene de mujh ko saaqi
kal miri raat khudaa jaane kahaan guzregi
dil ne tamannaa ki thi jis ki barson tak
aise zakhm ko achchhaa kar ke baiTh gae
chhaTe ghubaar-e-nazar baam-e-tur aa jaae
piyo sharaab ki chehre pe nuur aa jaae