Shayari
kab tak paDe rahoge havaaon ke haath mein
kab tak chalegaa khokhle shabdon kaa kaarobaar
chup-chaap baiThe rahte hain kuchh bolte nahin
bachche bigaD gae hain bahut dekh-bhaal se
چپ چاپ بیٹھے رہتے ہیں کچھ بولتے نہیں
بچے بگڑ گئے ہیں بہت دیکھ بھال سے
चुप-चाप बैठे रहते हैं कुछ बोलते नहीं
बच्चे बिगड़ गए हैं बहुत देख-भाल से

kab tak paDe rahoge havaaon ke haath mein
kab tak chalegaa khokhle shabdon kaa kaarobaar
dariyaa ke kinaare pe miri laash paDi thi
aur paani ki tah mein vo mujhe DhunD rahaa thaa
soe to dil mein ek jahaan jaagne lagaa
jaage to apni aankh mein jaale the khvaab ke
bismil ke taDapne ki adaaon mein nasha thaa
main haath mein talvaar liye jhuum rahaa thaa
ab TuTne hi vaalaa hai tanhaai kaa hisaar
ik shakhs chikhtaa hai samundar ke aar-paar
vo kaun thaa jo din ke ujaale mein kho gayaa
ye chaand kis ko DhunDne niklaa hai shaam se
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
kyaa ho gayaa gulshan ko saakit hai fazaa kaisi
sab shaakh o shajar chup hain hiltaa nahin pattaa bhi
aaina ye to bataataa hai main kyaa huun lekin
aaina is pe hai khaamosh ki kyaa hai mujh mein
miri dahliz par chupke se 'paashi'
ye kis ne rakh di meri laash laa kar
mujhe khaamoshiyaan paDhne kaa fan aataa to paDh letaa
tumhaari jhiil si khaamosh aankhon ki pashemaani