Shayari
zindagi ki zulmatein apne lahu mein rach gaiin
tab kahin jaa kar hamein aankhon ki binaai mili
ye bhi shaayad zindagi ki ik adaa hai dosto
jis ko saathi mil gayaa vo aur tanhaa ho gayaa
یہ بھی شاید زندگی کی اک ادا ہے دوستو
جس کو ساتھی مل گیا وہ اور تنہا ہو گیا
ये भी शायद ज़िंदगी की इक अदा है दोस्तो
जिस को साथी मिल गया वो और तन्हा हो गया

zindagi ki zulmatein apne lahu mein rach gaiin
tab kahin jaa kar hamein aankhon ki binaai mili
sath-e-dariyaa par ubharne ki tamannaa hi nahin
arsh par pahunche hue hain jab se gahraai mili
raste mein koi peD jo mil jaae to baiThun
vo baar uThaayaa hai ki dikhne lage shaane
jaane ye hiddat chaman ko raas aae yaa nahin
aag jaisi kaifiyat hai khushbuon ki lahr mein
bikharte jism le kar tund tufaanon mein baiThe hain
koi zarre ki surat hai koi Tiile ki surat hai
dil ki masjid mein kabhi paDh le tahajjud ki namaaz
phir sahar ke vaqt honTon par duaa bhi aaegi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kyaa kahun kitnaa fuzun hai tere divaane kaa dukh
ik taraf jaane kaa gham hai ik taraf aane kaa dukh
miraa hi siina kushaada hai chaahaton ke taiin
tufang-e-dard miraa hi nishaanaa chaahti hai
umr-bhar maan ki nasihat pe zamaane mein 'asad'
faatima-zehraa ke bachchon se vafaadaari ki