Shayari
aaghosh mein mahkoge dikhaai nahin doge
tum nikhat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hain
khudaa kare ki tiri umr mein gine jaaein
vo din jo ham ne tire hijr mein guzaare the
خدا کرے کہ تری عمر میں گنے جائیں
وہ دن جو ہم نے ترے ہجر میں گزارے تھے
ख़ुदा करे कि तिरी उम्र में गिने जाएँ
वो दिन जो हम ने तिरे हिज्र में गुज़ारे थे

aaghosh mein mahkoge dikhaai nahin doge
tum nikhat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hain
gham-e-jaanaan gham-e-dauraan ki taraf yuun aayaa
jaanib shahar chale dukhtar-e-dahqaan jaise
zindagi shama ki maanind jalaataa huun 'nadim'
bujh to jaaungaa magar subah to kar jaaungaa
kis tavaqqoa pe kisi ko dekhein
koi tum se bhi hasin kyaa hogaa
ik safina hai tiri yaad agar
ik samundar hai miri tanhaai
aakhir duaa karein bhi to kis muddaaa ke saath
kaise zamin ki baat kahein aasmaan se ham
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
itnaa to zindagi mein kisi ke khalal paDe
hansne se ho sukun na rone se kal paDe
umr-bhar ke sajdon se mil nahin saki jannat
khuld se nikalne ko ik gunaah kaafi hai
ranj-o-gham uThaae hain fikr-o-fan bhi paae hain
zindagi ko jitnaa bhi ji sake jiyaa ham ne