Shayari
kaun qatre mein uThaataa hai talaatum
aur antar-aatmaa tak sinchtaa hai
rafta rafta lafz gunge ho gae
aur gahri ho gaiin khaamoshiyaan
رفتہ رفتہ لفظ گونگے ہو گئے
اور گہری ہو گئیں خاموشیاں
रफ़्ता रफ़्ता लफ़्ज़ गूँगे हो गए
और गहरी हो गईं ख़ामोशियाँ

kaun qatre mein uThaataa hai talaatum
aur antar-aatmaa tak sinchtaa hai
chaand mein darvesh hai jugnu mein jogi
kaun hai vo aur kis ko khojtaa hai
saat qulzum hain mire siine mein
ek qatre se ubhaaraa thaa mujhe
ek bachcha zehn se paisa kamaane ki machine
dusraa kamzor thaa so yarghamaali ho gayaa
lafzon ki dastaras mein mukammal nahin huun main
likkhi hui kitaab ke baahar bhi sun mujhe
baahar insaanon se nafrat hai lekin
ghar mein Dheron bachche paidaa karte hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
jaa paDe chup ho ke jab shahr-e-khamoshaan mein 'nazir'
ye ghazal ye rekhta ye sher-khvaani phir kahaan
chup chup makaan raaste gum-sum niDhaal vaqt
is shahr ke liye koi divaanaa chaahiye
har ek baat ko chup-chaap kyuun sunaa jaae
kabhi to hausla kar ke nahin kahaa jaae
buDhi maan kaa shaayad lauT aayaa bachpan
guDiyon kaa ambaar lagaa kar baiTh gai
be-hisi par miri vo khush thaa ki patthar hi to hai
main bhi chup thaa ki chalo siine mein khanjar hi to hai