Shayari
itnaa masruf kar liyaa khud ko
gham bhi aa kar khushi se lauT gae
khaana-ba-dosh ho mujhe hijr-o-visaal ek
aise bhi khush nahin huun main vaise bhi khush nahin
خانہ بدوش ہو مجھے ہجر و وصال ایک
ایسے بھی خوش نہیں ہوں میں ویسے بھی خوش نہیں
ख़ाना-ब-दोश हो मुझे हिज्र-ओ-विसाल एक
ऐसे भी ख़ुश नहीं हूँ मैं वैसे भी ख़ुश नहीं

itnaa masruf kar liyaa khud ko
gham bhi aa kar khushi se lauT gae
tumhaari khush-nasibi hai ki tum samjhe nahin ab tak
akele-pan mein aur tanhaai mein jo farq hotaa hai
kuchh umr apni zaat kaa dukh jhelte rahe
kuchh umr kaaenaat kaa dukh jhelnaa paDaa
ek laDki chuDiyaan khankaa rahi thi aur tabhi
us khanak se uTh rahaa thaa jaise zindaani kaa shor
kisi se bhi mukhaatib hon koi bhi baat hoti ho
tumhaaraa naam lene kaa bahaana DhunD lete hain
ujlat mein vo dekho kyaa kyaa chhoD gayaa
apni baatein apnaa chehra chhoD gayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
kabhi aisaa bhi hove hai rote rote
jigar thaam kar muskuraanaa paDe hai
khvaab-gah mein siyaah khushbu thi
ittifaaqan charaagh bhi gul thaa