Shayari
koi to khair kaa pahlu bhi nikle
akelaa kis tarah ye shar rahegaa
tujh se parda nahin mire gham kaa
tu miri zindagi kaa mahram hai
تجھ سے پردہ نہیں مرے غم کا
تو مری زندگی کا محرم ہے
तुझ से पर्दा नहीं मिरे ग़म का
तू मिरी ज़िंदगी का महरम है

koi to khair kaa pahlu bhi nikle
akelaa kis tarah ye shar rahegaa
biThaa ke saamne tum ko bahaar mein pi hai
tumhaare rind ne tauba bhi ru-ba-ru kar li
ab na vo josh-e-vafaa hai na vo andaaz-e-talab
ab bhi lekin tire kuche se guzar hotaa hai
niklo bhi kabhi sud-o-ziyaan se varna
kuche mein tire kaun bhalaa aaegaa
dil na kaaba hai ne kalisaa hai
teraa ghar hai harim-e-mariyam hai
ghalat hai jazba-e-dil par nahin koi ilzaam
khushi mili na hamein jab to gham ki khu kar li
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate