Shayari
jaan teri baaton ko rakhtaa thaa main sar aankhon pe
aur tum se phone tak meraa uThaayaa na gayaa
bataayaa hai kisi ke ishq ne ham ko
ki duniyaa khubsurat bhi ho sakti hai
بتایا ہے کسی کے عشق نے ہم کو
کہ دنیا خوب صورت بھی ہو سکتی ہے
बताया है किसी के इश्क़ ने हम को
कि दुनिया ख़ूबसूरत भी हो सकती है

jaan teri baaton ko rakhtaa thaa main sar aankhon pe
aur tum se phone tak meraa uThaayaa na gayaa
rok bhi to ham nahin sakte the jaane vaale ko
baad us ke dil kisi se bhi lagaayaa na gayaa
jaane kaise sab miTaa dete hain dil se yaadon ko
ham se photo wallpaper se haTaayaa na gayaa
vo ghusse mein sidhi baat nahin kartaa
tufaanon mein baarish tirchhi hoti hai
is liye aane nahin detaa kisi ko dil mein
TuuTe ghar mein jo bhi aataa hai chalaa jaataa hai
baanT Daale aise ham ne dil ke TukDe kaaT kar
janm din pe baanTte hain cake jaise kaaT kar
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko