Shayari
aankhon ne aansuon kaa tabarruk luTaa diyaa
dil ke mazaar par tiri yaadon kaa ‘urs hai
ik tabassum se ashk-baari tak
aa gayaa husn hoshiyaari tak
اک تبسم سے اشک باری تک
آ گیا حسن ہوشیاری تک
इक तबस्सुम से अश्क-बारी तक
आ गया हुस्न होशियारी तक

aankhon ne aansuon kaa tabarruk luTaa diyaa
dil ke mazaar par tiri yaadon kaa ‘urs hai
saari duniyaa tiri honTon ki hansi mein gum hai
kaun dekhegaa miri aankh ke paani ki taraf
pahle pahle khuub mohabbat ki ham ne
phir ham donon ne ye rasta chhoD diyaa
kyon zulm karti hai duniyaa ham ishq vaalon par
ham ishq karte hain koi khataa nahin karte
vo jis se maut nikaalegi ek din aa kar
tumhein khabar hai usi zindagi ki qaid mein huun
laDkiyaan hain bas utni hi aazaad
machhliyaan jitni martabaanon mein
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yak qadam raah-e-dost hai 'daaud'
lekin afsos paa-e-bakht hai lang
urdu mein baat kijiye urdu mein boliye
haq hai zabaan kaa pyaar kaa ras is mein gholiye
ye mere saathi hain pyaare saathi magar inhein bhi nahin gavaaraa
main apni vahshat ke maqbare se nai tamannaa ke khvaab dekhun
ai adam ke musaafiro hoshiyaar
raah mein zindagi khaDi hogi
tamaam vahm o gumaan hai to ham bhi dhoka hain
isi khayaal se duniyaa ko main ne pyaar kiyaa