Shayari
kuchh sitaare miri palkon pe chamakte hain abhi
kuchh sitaare mire siine mein samaae hue hain
miTTi ko chuum lene ki hasrat hi rah gai
TuuTaa jo shaakh se to havaa le gai mujhe
مٹی کو چوم لینے کی حسرت ہی رہ گئی
ٹوٹا جو شاخ سے تو ہوا لے گئی مجھے
मिट्टी को चूम लेने की हसरत ही रह गई
टूटा जो शाख़ से तो हवा ले गई मुझे

kuchh sitaare miri palkon pe chamakte hain abhi
kuchh sitaare mire siine mein samaae hue hain
sar-bulandi miri tanhaai tak aa pahunchi hai
main vahaan huun ki jahaan koi nahin mere sivaa
sukhan ke chaak mein pinhaan tumhaari chaahat hai
vagarna kuza-gari ki kise zarurat hai
ye kis ko yaad kiyaa ruuh ki zarurat ne
ye kis ke naam se mere lahu mein phuul khile
unhein ye zom ki be-sud hai sadaa-e-sukhan
hamein ye zid ki isi haao-hu mein phuul khile
ye intizaar nahin shama hai rifaaqat ki
is intizaar se tanhaai khub-surat hai
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
tujh ko hai ham se judaai aarzu
mere dil mein shauq hai didaar kaa
hamaari hi tamannaa kyuun karo tum
tumhaari hi tamannaa kyuun karein ham
sainkaDon dilkash bahaarein thiin hamaari muntazir
ham tiri khvaahish mein lekin Thokarein khaate rahe
Dubtaa huun to mujhe haath kai milte hain
kitni hasrat se kinaaron ki taraf dekhtaa huun
yahi Thahri jo shart-e-vasl-e-lailaa
to istifaa miraa baa-hasrat-o-yaas