Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
ek aurat se vafaa karne kaa ye tohfa milaa
jaane kitni auraton ki bad-duaaein saath hain
ایک عورت سے وفا کرنے کا یہ تحفہ ملا
جانے کتنی عورتوں کی بد دعائیں ساتھ ہیں
एक औरत से वफ़ा करने का ये तोहफ़ा मिला
जाने कितनी औरतों की बद-दुआएँ साथ हैं

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kuchh to majburiyaan rahi hongi
yuun koi bevafaa nahin hotaa
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
abr barse to inaayat us ki
shaakh to sirf duaa karti hai
main jo kahtaa huun mujh se duur raho
ye nasihat hai iltimaas nahin
jidhar bhi jaataa hai vo shola-e-bahaar-sarisht
duaaein detaa hai amboh-e-kushtgaan us ko