Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
yahaan ek bachche ke khuun se jo likhaa huaa hai use paDhein
tiraa kirtan abhi paap hai abhi meraa sajda haraam hai
یہاں ایک بچے کے خون سے جو لکھا ہوا ہے اسے پڑھیں
ترا کیرتن ابھی پاپ ہے ابھی میرا سجدہ حرام ہے
यहाँ एक बच्चे के ख़ून से जो लिखा हुआ है उसे पढ़ें
तिरा कीर्तन अभी पाप है अभी मेरा सज्दा हराम है

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kuchh to majburiyaan rahi hongi
yuun koi bevafaa nahin hotaa
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
kal yahi bachche samundar ko muqaabil paaeinge
aaj tairaate hain jo kaaghaz ki nannhi kashtiyaan
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
surur-e-jaan-fazaa deti hai aaghosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhi hon bachche maan ko pyaare ek jaise hain
bachaa ke laaein kisi bhi yatim bachche ko
aur us ke haath se takhliq-e-kaainaat karein
khayaali doston ke aks se kheloge kab tak
mere bachche kabhi mil lo bhare ghar mein kisi se