Shayari
tazkire mein tire ik naam ko yuun joD diyaa
doston ne mujhe shishe ki tarah toD diyaa
ajab si aag thi jaltaa rahaa badan saaraa
tamaam umr vo honTon pe ban ke pyaas rahaa
عجب سی آگ تھی جلتا رہا بدن سارا
تمام عمر وہ ہونٹوں پہ بن کے پیاس رہا
अजब सी आग थी जलता रहा बदन सारा
तमाम उम्र वो होंटों पे बन के प्यास रहा

tazkire mein tire ik naam ko yuun joD diyaa
doston ne mujhe shishe ki tarah toD diyaa
pahle ham ne ghar banaa kar faasle paidaa kiye
phir uThaa diin aur divaarein gharon ke darmiyaan
ham tere paas aa ke pareshaan hain bahut
ham tujh se duur rahne ko tayyaar bhi nahin
aagahi karb vafaa sabr tamannaa ehsaas
mere hi siine mein utre hain ye khanjar saare
chale bhi aao ki ye Dubtaa huaa suraj
charaagh jalne se pahle mujhe bujhaa degaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
umr bhar tujh ko dekhne par bhi
zauq-e-nazzaara kam nahin hotaa
bahut aziiz thi ye zindagi magar ham log
kabhi kabhi to kisi aarzu mein mar bhi gae