Shayari
rahne de zikr-e-kham-e-zulf-e-musalsal ko nadim
us ke to dhyaan se bhi hotaa hai dil ko uljhaao
asl vahdat ki binaa hai adam-e-ghairiyyat
us kaa jab rang jamaa ghair ko apnaa jaanaa
اصل وحدت کی بنا ہے عدم غیریت
اس کا جب رنگ جما غیر کو اپنا جانا
अस्ल वहदत की बिना है अदम-ए-ग़ैरिय्यत
उस का जब रंग जमा ग़ैर को अपना जाना

rahne de zikr-e-kham-e-zulf-e-musalsal ko nadim
us ke to dhyaan se bhi hotaa hai dil ko uljhaao
jo chashm-e-dil-rubaa ke vasf mein ashaar likhtaa huun
to har har lafz par ahl-e-nazar ik saad karte hain
tum se ab kyaa kahein vo chiiz hai daagh-e-gham-e-ishq
ki chhupaae na chhupe aur dikhaae na bane
dam ghanimat hai saaliko meraa
jaras-e-daur ki sadaa huun main
ye chalan hain to tumhein hashr se deinge tashbih
log saffaak kaheinge baDi rusvaai hai
vafaa par daghaa sulh mein dushmani hai
bhalaai kaa hargiz zamaana nahin hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
jab talak shisha rahaa main baar-haa toDaa gayaa
ban gayaa patthar to sab ne devtaa maanaa mujhe
usi ki tarah mujhe saaraa zamaanaa chaahe
vo miraa hone se zyaada mujhe paanaa chaahe
kahin dekhaa hai is haiat kaa maashuq
nazar kiijo muslimaanaan! khudaa-raa
ku-e-jaanaan mein gar ab jaaein bhi to kyaa dekhein
koi rauzan na rahaa ban gai divaar nai