Shayari
zindagi ki baat sun kar kyaa kahein
ik tamannaa thi taqaazaa ban gai
sirf zinda rahne ko zindagi nahin kahte
kuchh gham-e-mohabbat ho kuchh gham-e-jahaan yaaro
صرف زندہ رہنے کو زندگی نہیں کہتے
کچھ غم محبت ہو کچھ غم جہاں یارو
सिर्फ़ ज़िंदा रहने को ज़िंदगी नहीं कहते
कुछ ग़म-ए-मोहब्बत हो कुछ ग़म-ए-जहाँ यारो

zindagi ki baat sun kar kyaa kahein
ik tamannaa thi taqaazaa ban gai
suraj ko ye gham hai ki samundar bhi hai paayaab
yaa rab mire qulzum mein koi sail-e-ravaan aur
har taraf ik muhib sannaaTaa
dil dhaDaktaa to hai magar khaamosh
tujh se vafaa na ki to kisi se vafaa na ki
kis tarah intiqaam liyaa apne aap se
taariki mein lipTi hui pur-haul khamoshi
is aalam mein kyaa nahin mumkin jaagte rahnaa
main sochtaa huun is liye shaayad main zinda huun
mumkin hai ye gumaan haqiqat kaa gyaan de
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai