Shayari
gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan
jaan kar koi giraftaar nahin hotaa yaar
aankh jhapki thi bas ik lamhe ko aur is ke baad
main ne DhunDaa hai tujhe zindagi sahraa sahraa
آنکھ جھپکی تھی بس اک لمحے کو اور اس کے بعد
میں نے ڈھونڈا ہے تجھے زندگی صحرا صحرا
आँख झपकी थी बस इक लम्हे को और इस के ब'अद
मैं ने ढूँडा है तुझे ज़िंदगी सहरा सहरा

gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan
jaan kar koi giraftaar nahin hotaa yaar
mohabbat aur ibaadat mein farq to hai naan
so chhin li hai tiri dosti mohabbat ne
khudaa! sila de duaa kaa, mohabbaton ke khudaa
khudaa! kisi ne kisi ke liye duaa ki thi
main tum ko khud se judaa kar ke kis tarah dekhun
ki main bhi ''tum'' huun, koi dusraa nahin huun main
kai dinon se mire saath saath chalti hai
koi udaas si ThanDi si koi parchhaain
ham ne us chehre ko baandhaa nahin mahtaab-misaal
ham ne mahtaab ko us rukh ke mumaasil baandhaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
umr bhar tujh ko dekhne par bhi
zauq-e-nazzaara kam nahin hotaa
bahut aziiz thi ye zindagi magar ham log
kabhi kabhi to kisi aarzu mein mar bhi gae