Shayari
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
I
Imdad Ali Bahrkausar kaa jaam us ko ilaahi nasib ho
koi sharaab meri lahad par chhiDak gayaa
کوثر کا جام اس کو الٰہی نصیب ہو
کوئی شراب میری لحد پر چھڑک گیا
कौसर का जाम उस को इलाही नसीब हो
कोई शराब मेरी लहद पर छिड़क गया
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
khush raho yaar agar ham se ho bezaar bahut
dil agar apnaa salaamat hai to dildaar bahut
mire qatl par tum ne biiDaa uThaayaa
mire haath kaa paan khaayaa to hotaa
ham na kahte the hansi achchhi nahin
aa gai aakhir rukaavaT dekhiye
mire baghair na ik-dam use qaraar aataa
zaraa bhi zabt jo mujh be-qaraar mein hotaa
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
ai tan-parast jaama-e-surat kasif hai
bazm-e-huzur-e-dost mein kapDe badal ke chal
nairangiyaan falak ki jabhi hain ki hon baham
kaali ghaTaa safed pyaale sharaab-e-surkh
vo the javaab ke saahil pe muntazir lekin
samay ki naav mein meraa savaal Duub gayaa