Shayari
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
roe hue bhi un ko kai saal ho gae
aankhon mein aansuon ki numaaish nahin hui
روئے ہوئے بھی ان کو کئی سال ہو گئے
آنکھوں میں آنسوؤں کی نمائش نہیں ہوئی
रोए हुए भी उन को कई साल हो गए
आँखों में आँसुओं की नुमाइश नहीं हुई

vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
suraj huun chamakne kaa bhi haq chaahiye mujh ko
main kohr mein lipTaa huun shafaq chaahiye mujh ko
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
ab tu darvaaze se apne naam ki takhti utaar
lafz nange ho gae shohrat bhi gaali ho gai
suraj huun zindagi ki ramaq chhoD jaaungaa
main Duub bhi gayaa to shafaq chhoD jaaungaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
haan unhi guzre zamaanon ke sadaa-saaz hain ham
jin ke shoalon pe havaa naachti dekhi ham ne
gham ko ehsaas ki miTTi mein khudaa ne gundhaa
aur kuchh ashk milaae to phir insaan kiyaa
halqa-e-shaam-o-sahar se nahin jaane vaalaa
dard is dida-e-tar se nahin jaane vaalaa