Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
aankhein saaqi ki jab se dekhi hain
ham se do ghunT pi nahin jaati
آنکھیں ساقی کی جب سے دیکھی ہیں
ہم سے دو گھونٹ پی نہیں جاتی
आँखें साक़ी की जब से देखी हैं
हम से दो घूँट पी नहीं जाती

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa
jaam-ba-dast-o-mai-ba-jaam yuun hi guzaar subh-o-shaam
ziist ki talkhiyaan mudaam pi ke pilaa ke bhuul jaa
na gharaz mujh ko hai kaafir se na din-daar se kaam
roz-o-shab hai mujhe us kaakul-e-khamdaar se kaam
uThe uTh kar chale chal kar thame tham kar kahaa hogaa
main kyuun jaaun bahut hain un ki haalat dekhne vaale