Shayari
teri gali se chhuT ke na jaa-e-amaan mili
ab ke to meraa ghar bhi miraa ghar na ho sakaa
zahr pi kar bhi yahaan kis ko mili gham se najaat
khatm hotaa hai kahin silsila-e-raqs-e-hayaat
زہر پی کر بھی یہاں کس کو ملی غم سے نجات
ختم ہوتا ہے کہیں سلسلۂ رقص حیات
ज़हर पी कर भी यहाँ किस को मिली ग़म से नजात
ख़त्म होता है कहीं सिलसिला-ए-रक़्स-ए-हयात

teri gali se chhuT ke na jaa-e-amaan mili
ab ke to meraa ghar bhi miraa ghar na ho sakaa
jaane kyuun ik khayaal saa aayaa
main na hungaa to kyaa kami hogi
tiri vafaa mein mili aarzu-e-maut mujhe
jo maut mil gai hoti to koi baat bhi thi
azal se thaa vo hamaare vajud kaa hissa
vo ek shakhs ki jo ham pe mehrbaan huaa
tere na ho sake to kisi ke na ho sake
ye kaarobaar-e-shauq mukarrar na ho sakaa
tamaam yaadein mahak rahi hain har ek ghuncha khilaa huaa hai
zamaana biitaa magar gumaan hai ki aaj hi vo judaa huaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khushi ke daur to mehmaan the aate jaate rahe
udaasi thi ki hamesha hamaare ghar mein rahi
jaati thi koi raah akeli kisi jaanib
tanhaa thaa safar mein koi saayaa use kahnaa
dard-e-dil zindagi ki khushi pi gayaa
ik samundar hamaari nadi pi gayaa