Shayari
yuun guzarte hain hijr ke lamhe
jaise vo baat karte jaate hain
Dubne vaale mauj-e-tufaan se
jaane kyaa baat karte jaate hain
ڈوبنے والے موج طوفاں سے
جانے کیا بات کرتے جاتے ہیں
डूबने वाले मौज-ए-तूफ़ाँ से
जाने क्या बात करते जाते हैं

yuun guzarte hain hijr ke lamhe
jaise vo baat karte jaate hain
kis tarah karein tujh se gila tere sitam kaa
madhosh ishaaron ne bhi dil toD diyaa hai
tasvir-e-zindagi mein nayaa rang bhar gae
vo haadse jo dil pe hamaare guzar gae
is Dubte suraj se to ummid hi kyaa thi
hans hans ke sitaaron ne bhi dil toD diyaa hai
aghyaar kaa shikva nahin is ahd-e-havas mein
ik umr ke yaaron ne bhi dil toD diyaa hai
kaun samjhe ham pe kyaa guzri hai 'naqsh'
dil laraz uThtaa hai zikr-e-shaam se
ye jafaaon ki sazaa hai ki tamaashaai hai tu
ye vafaaon ki sazaa hai ki pae-daar huun main
apni kashti kaa hai khudaa haafiz
pichhe tufaan hai saamne girdaab
mere baa'd vafaa kaa dhokaa aur kisi se mat karnaa
gaali degi duniyaa tujh ko sar meraa jhuk jaaegaa
kuchh to majburiyaan rahi hongi
yuun koi bevafaa nahin hotaa
taazgi hai sukhan-e-kuhna mein ye baad-e-vafaat
log aksar mire jiine kaa gumaan rakhte hain
is qadar musalsal thiin shiddatein judaai ki
aaj pahli baar us se main ne bevafaai ki