Shayari
aise khoe sahar ke divaane
lauT kar shaam tak na ghar aae
zindagi ki bhi yaqinan koi manzil hogi
ye safar hi ki tarah ek safar hai ki nahin
زندگی کی بھی یقیناً کوئی منزل ہوگی
یہ سفر ہی کی طرح ایک سفر ہے کہ نہیں
ज़िंदगी की भी यक़ीनन कोई मंज़िल होगी
ये सफ़र ही की तरह एक सफ़र है कि नहीं

aise khoe sahar ke divaane
lauT kar shaam tak na ghar aae
tufaan se bach ke Duubi hai kashti kahaan na puchh
saahil bhi e'tibaar ke qaabil nahin rahaa
gham-e-insaan ko siine se lagaa lo
ye khidmat bandagi se kam nahin hai
yahi aaina hai vo aaina jo liye hai jalva-e-aagahi
ye jo shaaeri kaa shuur hai ye payambari ki talaash hai
gham-e-maaal gham-e-zindagi gham-e-dauraan
hamaare ishq kaa charchaa kahaan kahaan na rahaa
agar duniyaa tujhe divaana kahti hai to kahne de
vafaadaaraan-e-ulfat par yahi ilzaam aataa hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi-e-do-roza se karte hain vaza jannatein
ham ko bahut hai ye jahaan jannat-e-jaavedaan na de
apne saae se chaunk jaate hain
umr guzri hai is qadar tanhaa
huaa hai yuun bhi ki ik umr apne ghar na gae
ye jaante the koi raah dekhtaa hogaa