Shayari
shokh havaaon ke aanchal mein tham tham kar
shaam se hi hain dard puraane yaad aae
zindagi is qadar buri bhi nahin
dekh main muskuraa rahi huun naa
زندگی اس قدر بری بھی نہیں
دیکھ میں مسکرا رہی ہوں نا
ज़िंदगी इस क़दर बुरी भी नहीं
देख मैं मुस्कुरा रही हूँ ना

shokh havaaon ke aanchal mein tham tham kar
shaam se hi hain dard puraane yaad aae
mujhe dard ki baarishon mein bahaa kar
vo rahnaa tiraa be-khabar yaad aayaa
meri aankhein tiri diid ki laalchi
yaani tu mujh ko yusuf-numaa saahibaa
tu dard bhi duaa bhi tu zakhm bhi davaa bhi
shikve bhi hain tujhi se aur pyaar bhi tujhi se
shaam ki shaam se sargoshi suni thi ik baar
bas tabhi se tujhe imkaan mein rakkhaa huaa hai
aur phir dil ne us ko chhoD diyaa
jab ta'alluq bahaal thaa hi nahin
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
umr bhar tujh ko dekhne par bhi
zauq-e-nazzaara kam nahin hotaa
har baar hi main jaan se jaane mein rah gayaa
main rasm-e-zindagi jo nibhaane mein rah gayaa