Shayari
pahunchaa na thaa yaqin ki manzil pe main abhi
meraa khayaal mujh se bhi aage nikal gayaa
di hai 'nayyar' mujh ko saaqi ne ye kaisi khaas mai
sab ki nazrein uTh rahi hain mere saaghar ki taraf
دی ہے نیرؔ مجھ کو ساقی نے یہ کیسی خاص مے
سب کی نظریں اٹھ رہی ہیں میرے ساغر کی طرف
दी है 'नय्यर' मुझ को साक़ी ने ये कैसी ख़ास मय
सब की नज़रें उठ रही हैं मेरे साग़र की तरफ़

pahunchaa na thaa yaqin ki manzil pe main abhi
meraa khayaal mujh se bhi aage nikal gayaa
siine pe kitne daagh liye phir rahaa huun main
zakhmon kaa ek baagh liye phir rahaa huun main
baDhne lagi yaqin o gumaan mein jo kashmakash
vaada bhi subh o shaam pe Taltaa chalaa gayaa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
ham be-khudaan-e-mahfil-e-tasvir ab gae
aainda ham se aap mein aayaa na jaaegaa
anjaam ko pahunchungaa main anjaam se pahle
khud meri kahaani bhi sunaaegaa koi aur
aankh tumhaari mast bhi hai aur masti kaa paimaana bhi
ek chhalakte saaghar mein mai bhi hai aur mai-khaana bhi
nashsha thaa zindagi kaa sharaabon se tez-tar
ham gir paDe to maut uThaa le gai hamein