Shayari
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
gar zindagi mein mil gae phir ittifaaq se
puchheinge apnaa haal tiri bebasi se ham
گر زندگی میں مل گئے پھر اتفاق سے
پوچھیں گے اپنا حال تری بے بسی سے ہم
गर ज़िंदगी में मिल गए फिर इत्तिफ़ाक़ से
पूछेंगे अपना हाल तिरी बेबसी से हम

le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
ham jurm-e-mohabbat ki sazaa paaeinge tanhaa
jo tujh se hui ho vo khataa saath liye jaa
ham amn chaahte hain magar zulm ke khilaaf
gar jang laazmi hai to phir jang hi sahi
hazaar barq gire laakh aandhiyaan uTThein
vo phuul khil ke raheinge jo khilne vaale hain
kaun rotaa hai kisi aur ki khaatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe ronaa aayaa
milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
idhar to tuul diyaa hai umiid ko us ne
udhar hayaat ataa ki hai mukhtasar mujh ko