Shayari
ik faqat yaad hai jaanaa un kaa
aur kuchh is ke sivaa yaad nahin
aisaa na ho ye dard bane dard-e-laa-davaa
aisaa na ho ki tum bhi mudaavaa na kar sako
ایسا نہ ہو یہ درد بنے درد لا دوا
ایسا نہ ہو کہ تم بھی مداوا نہ کر سکو
ऐसा न हो ये दर्द बने दर्द-ए-ला-दवा
ऐसा न हो कि तुम भी मुदावा न कर सको

ik faqat yaad hai jaanaa un kaa
aur kuchh is ke sivaa yaad nahin
jaane kis ki thi khataa yaad nahin
ham hue kaise judaa yaad nahin
main tohfa le ke aayaa huun tamannaaon ke phulon kaa
luTaane ko bahaar-e-zindagaani le ke aayaa huun
dilon kaa zikr hi kyaa hai milein milein na milein
nazar milaao nazar se nazar ki baat karo
sau baar chaman mahkaa sau baar bahaar aai
duniyaa ki vahi raunaq dil ki vahi tanhaai
kaun kis kaa gham khaae kaun kis ko bahlaae
teri be-kasi tanhaa mary bebasi tanhaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate