Shayari
dhokaa khaane pe ro paDaa hogaa
ye koi 'ishq mein nayaa hogaa
daftar-e-husn khole baiThe hain
'aashiqi rozgaar hai un kaa

dhokaa khaane pe ro paDaa hogaa
ye koi 'ishq mein nayaa hogaa
apni tasvir chuum li us ne
phuul par phuul khil gayaa jaise
ek hi din milaa mohabbat ko
saal bhar ki thakan utaari gai
kyaa huaa husn-e-jaavedaan ko tire
tu to mujh se bichhaD ke khush thi bahut
rumuz-e-vaqt ki pahli class mein bhi miraa
tamaam dhyaan thaa sarkaari naukri ki taraf
'umr guzri magar mohabbat mein
ek lamha bhi yaadgaar nahin
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
niind ke ghar mein hain khvaab aane lage
'ishq hai naachtaa aankh ke sahn mein
ishq ki choT kaa kuchh dil pe asar ho to sahi
dard kam ho yaa ziyaada ho magar ho to sahi
biich dariyaa mein utar kar dekhiye
'ishq-dariyaa mein kinaare kuchh nahin
naqsh-e-qadam hain raah mein farhaad-o-qais ke
ai ishq khinch kar mujhe laayaa idhar kahaan