Shayari
main payambar tiraa nahin lekin
mujh se bhi baat kar khudaa mere
suraj ne ik nazar mire zakhmon pe Daal ke
dekhaa hai mujh ko khiDki se phir sar nikaal ke
سورج نے اک نظر مرے زخموں پہ ڈال کے
دیکھا ہے مجھ کو کھڑکی سے پھر سر نکال کے
सूरज ने इक नज़र मिरे ज़ख़्मों पे डाल के
देखा है मुझ को खिड़की से फिर सर निकाल के

main payambar tiraa nahin lekin
mujh se bhi baat kar khudaa mere
jaag ke mere saath samundar raatein kartaa hai
jab sab log chale jaaein to baatein kartaa hai
talaash ek bahaana thaa khaak uDaane kaa
pata chalaa ki hamein justuju-e-yaar na thi
dil ko sambhaale hanstaa boltaa rahtaa huun lekin
sach puchho to 'zeb' tabiat Thiik nahin hoti
jagmagaataa huaa khanjar mire siine mein utaar
raushni le ke kabhi khaana-e-viraan mein aa
uDaa ke khaak bahut main ne dekh li ai 'zeb'
vahaan talak to koi raasta nahin jaataa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kisi ke zakhm par chaahat se paTTi kaun baandhegaa
agar bahnein nahin hongi to raakhi kaun baandhegaa
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
tumhaari yaad nikalti nahin mire dil se
nasha chhalaktaa nahin hai sharaab se baahar
ye sar-ba-mohr botalein hain jo sharaab ki
raatein hain un mein band hamaari shabaab ki