SHAWORDS

aur kuchh der mein divaana sanbhal jaaegaa — Abdussamad Khateeb

"aur kuchh der mein divaana sanbhal jaaegaa aap bahlaaein nahin khud hi bahal jaaegaa kuchh na haath aaegaa phir baa'd mein pachhtaaoge dosto haath se jab vaqt nikal jaaegaa gardish-e-vaqt se tu kis liye ghabraataa hai ik zaraa sabr ki ye vaqt bhi Tal jaaegaa azhdahaa jab bhi milegaa tujhe gham kaa ai dost teri har ek masarrat ko nigal jaaegaa teri baaton mein 'khatib' aisi fusun-kaari hai teraa dushman bhi sunegaa to pighal jaaegaa"
Urdu

اور کچھ دیر میں دیوانہ سنبھل جائے گا آپ بہلائیں نہیں خود ہی بہل جائے گا کچھ نہ ہاتھ آئے گا پھر بعد میں پچھتاؤ گے دوستو ہاتھ سے جب وقت نکل جائے گا گردش وقت سے تو کس لیے گھبراتا ہے اک ذرا صبر کہ یہ وقت بھی ٹل جائے گا اژدہا جب بھی ملے گا تجھے غم کا اے دوست تیری ہر ایک مسرت کو نگل جائے گا تیری باتوں میں خطیبؔ ایسی فسوں کاری ہے تیرا دشمن بھی سنے گا تو پگھل جائے گا

Hindi

और कुछ देर में दीवाना सँभल जाएगा आप बहलाएँ नहीं ख़ुद ही बहल जाएगा कुछ न हाथ आएगा फिर बा'द में पछताओगे दोस्तो हाथ से जब वक़्त निकल जाएगा गर्दिश-ए-वक़्त से तू किस लिए घबराता है इक ज़रा सब्र कि ये वक़्त भी टल जाएगा अज़दहा जब भी मिलेगा तुझे ग़म का ऐ दोस्त तेरी हर एक मसर्रत को निगल जाएगा तेरी बातों में 'ख़तीब' ऐसी फ़ुसूँ-कारी है तेरा दुश्मन भी सुनेगा तो पिघल जाएगा

aur kuchh der meñ dīvāna sañbhal jā.egā
Abdussamad Khateeb
Abdussamad Khateeb
Abdussamad Khateeb
poet19 quotes

More by Abdussamad Khateeb

View all →
Quote
"mah-o-nujum ki surat safar mein rahte hain ki shab-gazida talaash-e-sahar mein rahte hain hamaaraa aql se kuchh rabt hi nahin jaise junun-asir hain dil ke asar mein rahte hain na koi chhat hai na divaar hai na darvaaza ye moajiza hai ki ham aise ghar mein rahte hain vafaa-talab to bahut hain vafaa-shiaar nahin ye kis jahaan mein hain ham kis nagar mein rahte hain bichhaD ke donon hi aabaad hain khudaa shaahid vo apne ghar mein to ham apne ghar mein rahte hain unhin se taazgi-e-zehn hai nasib mujhe gulaab chehre hamesha nazar mein rahte hain jahaan se rabt na koi taalluq apnaa 'khatib' ham ahl-e-ishq sadaa khvaab-asar mein rahte hain"
Abdussamad KhateebAbdussamad Khateeb
Quote
"ahl-e-dil saada tabi'at hain ye kyaa karte hain husn vaalon se bhi ummid-e-vafaa karte hain kitne ehsaan-faraamosh hain duniyaa vaale jin pe ehsaan karo vo hi daghaa karte hain haae afsos ki ye ahl-e-siyaasat afsos baap ko beTe se pal-bhar mein judaa karte hain aish mein hote hain rangini-e-duniyaa ke asiir log mushkil mein faqat yaad-e-khudaa karte hain dar-ba-dar hote hain tahzib-o-tamaddun vaale be-adab shaan se duniyaa mein rahaa karte hain tum raho shaad zamaane mein ba-har-lamha 'khatib' ham to bas maut ke aane ki du'aa karte hain"
Abdussamad KhateebAbdussamad Khateeb
Quote
"meri aankhon mein jhijakte hue khvaabon jaisaa kaun hai 'aks ye kis kaa hai hijaabon jaisaa guftugu us ki mohabbat ki ‘ibaarat jaise zaaviya us ke labon kaa hai kitaabon jaisaa jo bhi suntaa hai vahi hosh ganvaa detaa hai us kaa andaaz-e-takallum hai rabaabon jaisaa aaj suraj ki tarah hai sar-e-manzar raushan meri aankhon mein jo ik shakhs thaa khvaabon jaisaa us ke aariz pe hai ik mauj hijaabon jaisi us ki aankhon mein hai ik rang sharaabon jaisaa mahkaa mahkaa saa ye maahaul bataataa hai 'khatib' anjuman mein koi chehra hai gulaabon jaisaa"
Abdussamad KhateebAbdussamad Khateeb
Quote
"dasht-e-tanhaai mein jalne ki sazaa jaane hai kyaa hai bartaav havaaon kaa diyaa jaane hai main use dil ke dhaDakne kaa sabab kahtaa huun aur ik vo ki mujhe khud se judaa jaane hai be-zamiron kaa bhi jiinaa koi jiinaa hai ki bas lazzat-e-zist to paaband-e-anaa jaane hai main ik aasuda-e-gham huun sar-e-raah-e-hasti juz mire kaif-e-alam kaun bhalaa jaane hai tum jo is raah se guzroge to mil jaaungaa meri manzil miraa naqsh-e-kaf-e-paa jaane hai ahl-e-daanish ko kahaan khanda-labi ki mohlat sirf divaana hi ye tarz-o-adaa jaane hai mujh pe kyaa guzri hai aakhir shab-e-hijraan mein 'khatib' meraa dil jaane hai yaa meraa khudaa jaane hai"
Abdussamad KhateebAbdussamad Khateeb
Quote
"tiri talaash mein bhaTkaa huun dar-ba-dar jaanaan main tujh ko bhuul na paaungaa umr bhar jaanaan nahin hai tujh se kisi taur bhi mafar jaanaan hai tu hi qaatil-e-dil tu hi chaaraagar jaanaan miri talaash miri aarzu miri chaahat tiraa jamaal tiraa qurb-e-mo'atabar jaanaan ye aankhein tere hi jalvon ki hain amiin be-shak ye dil hai teri mohabbat kaa mustaqar jaanaan nazar mein tu hai khayaalon mein tu hai dil mein tu main kab huaa tiri jaanib se be-khabar jaanaan tiri hi yaad ne mahkaae meri ruuh mein zakhm tire sabab se hai khushbu kaa ye safar jaanaan hasin yaadon kaa ik silsila thaa TuuT gayaa fazaa mein gunjaa jab aavaaza-e-gajar jaanaan"
Abdussamad KhateebAbdussamad Khateeb

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud