SHAWORDS

dil pe chhaayaa rahaa umas ki tarah — Bashir Badr

HomeBashir BadrGhazal
"dil pe chhaayaa rahaa umas ki tarah ek lamha thaa sau baras ki tarah vo mohabbat ki tarah pighlegi main bhi mar jaaungaa havas ki tarah raat sar par liye huun jangal mein raaste ki kharaab bus ki tarah aatmaa be-zabaan mainaa hai aur maaTi kaa tan qafas ki tarah khaanqaahon mein khaak uDti hai urdu vaalon ke campus ki tarah maut ki vaadiyon se guzrungaa main pahaaDon ki ek bus ki tarah"
Urdu

دل پہ چھایا رہا امس کی طرح ایک لمحہ تھا سو برس کی طرح وہ محبت کی طرح پگھلے گی میں بھی مر جاؤں گا ہوس کی طرح رات سر پر لئے ہوں جنگل میں راستے کی خراب بس کی طرح آتما بے زبان مینا ہے اور ماٹی کا تن قفس کی طرح خانقاہوں میں خاک اڑتی ہے اردو والوں کے کیمپس کی طرح موت کی وادیوں سے گزروں گا میں پہاڑوں کی ایک بس کی طرح

Hindi

दिल पे छाया रहा उमस की तरह एक लम्हा था सौ बरस की तरह वो मोहब्बत की तरह पिघलेगी मैं भी मर जाऊँगा हवस की तरह रात सर पर लिए हूँ जंगल में रास्ते की ख़राब बस की तरह आत्मा बे-ज़बान मैना है और माटी का तन क़फ़स की तरह ख़ानक़ाहों में ख़ाक उड़ती है उर्दू वालों के कैम्पस की तरह मौत की वादियों से गुज़रूँगा मैं पहाड़ों की एक बस की तरह

dil pe chhāyā rahā umas kī tarah
Bashir Badr
Bashir Badr
Bashir Badr
poet340 quotes

More by Bashir Badr

View all →
Quote
"hamaaraa dil savere kaa sunahraa jaam ho jaae charaaghon ki tarah aankhein jalein jab shaam ho jaae kabhi to aasmaan se chaand utre jaam ho jaae tumhaare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir mohabbat ki haveli jis tarah nilaam ho jaae samundar ke safar mein is tarah aavaaz de ham ko havaaein tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaae mujhe maalum hai us kaa Thikaanaa phir kahaan hogaa parinda aasmaan chhune mein jab naakaam ho jaae ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae"
Bashir BadrBashir Badr
Quote
"suraj chandaa jaisi joDi ham donon din kaa raaja raat ki raani ham donon jagmag jagmag duniyaa kaa mela jhuTaa sachchaa sonaa sachchi chaandi ham donon ik duuje se mil kar puure hote hain aadhi aadhi ek kahaani ham donon ghar-ghar dukh-sukh kaa ik dipak jale bujhe har dipak mein tel aur baati ham donon duniyaa ki ye maayaa kankar patthar hai aansu shabnam hiiraa moti ham donon chaaron or samandar baDhti chintaa hai lahar lahar lahraati kashti ham donon parbat-parbat baadal-baadal kiran-kiran ujle par vaale do panchhi ham donon main dahliz kaa dipak huun aa tez havaa raat guzaarein apni apni ham donon"
Bashir BadrBashir Badr

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri