"ye kis ne aatish-e-ehsaas ko havaa di hai ki meri ruuh mein ik aag si lagaa di hai asir-e-lazzat-e-duniyaa huaa to aap huaa mujhe numud ki khvaahish ne ye sazaa di hai main aise lamhon ko kyaa naam duun ki jab main ne khud apne aap ko shiddat se badduaa di hai nadaamatein mire maazi se kar rahi hain savaal vo maah-o-saal ki daulat kahaan luTaa di hai ajiib tarah ki vo daastaan hai ham ne jise kahin se yaad rakhi hai kahin bhulaa di hai ai rah-ravaan-e-rah-e-shauq khauf hai kaisaa jo raaste mein thi divaar vo giraa di hai"
teri qurbat mein rahun teraa havaala ban jaaun — Basit Azeem
"teri qurbat mein rahun teraa havaala ban jaaun tu bane chaand to main chaand kaa haalaa ban jaaun tu agar qurb se apne mujhe raushan kar de main bhi ik raushni-e-‘aalam-e-baalaa ban jaaun tu mire dil mein rahe husn-e-tamannaa ban kar tu sanam ho miraa main teraa shivaala ban jaaun vasl aisaa ho ki phir vasl ki khvaahish na rahe main saraapaa shab-e-hijraan kaa izaala ban jaaun tujh ko in aankhon se dekhun to na dekhaa jaae de nazar aisi ki main dekhne vaalaa ban jaaun meri raaton ko bhi tu dard ki lazzat se navaaz ik kasak aisi ki main jaagne vaalaa ban jaaun liye phirtaa huun main dil mein yahi armaan 'azim' main kisi dil ke andhere kaa ujaalaa ban jaaun"
تیری قربت میں رہوں تیرا حوالہ بن جاؤں تو بنے چاند تو میں چاند کا ہالا بن جاؤں تو اگر قرب سے اپنے مجھے روشن کر دے میں بھی اک روشنیٔ عالم بالا بن جاؤں تو مرے دل میں رہے حسن تمنا بن کر تو صنم ہو مرا میں تیرا شوالہ بن جاؤں وصل ایسا ہو کہ پھر وصل کی خواہش نہ رہے میں سراپا شب ہجراں کا ازالہ بن جاؤں تجھ کو ان آنکھوں سے دیکھوں تو نہ دیکھا جائے دے نظر ایسی کہ میں دیکھنے والا بن جاؤں میری راتوں کو بھی تو درد کی لذت سے نواز اک کسک ایسی کہ میں جاگنے والا بن جاؤں لیے پھرتا ہوں میں دل میں یہی ارمان عظیمؔ میں کسی دل کے اندھیرے کا اجالا بن جاؤں
तेरी क़ुर्बत में रहूँ तेरा हवाला बन जाऊँ तू बने चाँद तो मैं चाँद का हाला बन जाऊँ तू अगर क़ुर्ब से अपने मुझे रौशन कर दे मैं भी इक रौशनी-ए-‘आलम-ए-बाला बन जाऊँ तू मिरे दिल में रहे हुस्न-ए-तमन्ना बन कर तू सनम हो मिरा मैं तेरा शिवाला बन जाऊँ वस्ल ऐसा हो कि फिर वस्ल की ख़्वाहिश न रहे मैं सरापा शब-ए-हिज्राँ का इज़ाला बन जाऊँ तुझ को इन आँखों से देखूँ तो न देखा जाए दे नज़र ऐसी कि मैं देखने वाला बन जाऊँ मेरी रातों को भी तू दर्द की लज़्ज़त से नवाज़ इक कसक ऐसी कि मैं जागने वाला बन जाऊँ लिए फिरता हूँ मैं दिल में यही अरमान 'अज़ीम' मैं किसी दिल के अंधेरे का उजाला बन जाऊँ

More by Basit Azeem
View all →"har shakhs liye kaasa-e-ummid khaDaa hai mahsus ye hotaa hai koi qaht paDaa hai chehron pe ghubaar-e-gham-e-haalaat paDaa hai ham ahl-e-kharaabaat pe ye vaqt kaDaa hai ye sach hai tiraa qad to mire qad se baDaa hai lekin tu sar-e-vaadi-e-pindaar khaDaa hai ye vasl ke lamhe hain bahar-haal ghanimat 'isyaan ki talaafi ko baDaa vaqt paDaa hai us shakhs ko kis naam se mausum karun main saae ki tarah jo mire nazdik khaDaa hai ye kis ne samoi miri guftaar mein shokhi ye kaun pas-e-parda-e-alfaaz khaDaa hai alfaaz kaa marham nahin is zakhm kaa darmaan jo zakhm tire tarz-e-takallum se paDaa hai 'baasit' kabhi us mard-e-qalandar se bhi milte allaah-re vo shakhs ki jo khud se laDaa hai"
"kali kaa ruup chaman ko nikhaar hain ham log bahaar ham se hai jaan-e-bahaar hain ham log halaak-e-ranj hain gham kaa shikaar hain ham log zamaana biit gayaa be-qaraar hain ham log shikaar-e-gardish-e-lail-o-nahaar kyaa hote harif-e-gardish-e-lail-o-nahaar hain ham log koi kahe gham-e-jaanaan ko kaise apnaaein ki mubtalaa-e-gham-e-rozgaar hain ham log bisaat-e-dahr pe kuchh apnaa ikhtiyaar nahin khudaa gavaah ki be-ikhtiyaar hain ham log uDaae phirti hai har-su havaa-e-dahr hamein havaa ke saath misaal-e-ghubaar hain ham log fazaa-e-dasht mein jaise ghazaal aavaara ravaan ravaan yunhi divaana-vaar hain ham log agarche shahr bhi apnaa hai mulk bhi apnaa 'azim' phir bhi gharib-ud-dayaar hain ham log"
"'ishq hotaa hai jaan-levaa bhi ai mire yaar tu ne sochaa bhi tum ne chehra to apnaa dekh liyaa kyaa huaa aaina jo TuuTaa bhi dast-e-farzaangi mein patthar the main ne dekhaa hai ye tamaashaa bhi hai jo shikva-guzaar-e-saaya-e-zulf zulf ke saae mein vo Thahraa bhi ghar mein rahnaa bhi ab nahin aasaan aur hai band raah-e-sahraa bhi hai bahut mujh ko 'umr-bhar ke liye teri chaahat kaa ek lamha bhi apni hi raushni mein chaltaa huun saath chaltaa hai meraa saayaa bhi ham to sau baar tark-e-'ishq karein sar se nikle magar ye saudaa bhi dekh 'baasit-azim' jhuuT na bol kahin hotaa hai yaar aisaa bhi"
"kuchh is tarah se nizaam-exgul-o-bahaar chale ki eatibaar-e-mohabbat kaa kaarobaar chale nisaar dil ko to pahle hi kar chuke the ham bas ek jaan thi vo aaj tujh pe vaar chale huaa na aaj bhi haasil hamein tiraa didaar ham aaj bhi tire kuche se ashk-baar chale sukun yahaan bhi mayassar na ho sakaa dil ko tumhaari bazm mein aa kar bhi be-qaraar chale dil-o-nigaah hain ik mast-e-naaz ke bas mein dil-o-nigaah pe ab kis kaa ikhtiyaar chale raheinge ham shajar-e-saaya-daar ki surat riyaaz-e-dahr mein baad-e-khizaan hazaar chale khizaan-sifat tiri mahfil mein aae the lekin ham anjuman se tiri surat-e-bahaar chale chale 'azim' kuchh is tarah bazm se uTh kar ki jaise shahr-e-nigaaraan se shahryaar chale"
"tiraa khayaal faqat meraa aaina kyon hai tu hi bataa miri fitrat mein ye vafaa kyon hai khizaan-nasib bahaaron kaa silsila kyon hai hamaare saath hi aakhir ye haadisa kyon hai amir-e-shahr se har aadmi hai ham-aahang gharib-e-shahr magar itnaa be-navaa kyon hai har ek lamha dikhaaegaa dard ki tasvir gae zamaane ki jaanib tu dekhtaa kyon hai agarche jhuuT hi me'yaar-e-sidq Thahraa hai to phir ye sach ke khudaaon ko pujtaa kyon hai khud apne aap ko tu ne bikher rakkhaa thaa ab apne aap ko aakhir sameTaa kyon hai vo jin kaa zikr bhi tauhin-e-aadamiyyat thaa ab aise khaak-nashinon kaa tazkira kyon hai hamein pata hai ki kyaa ‘arz-e-mudda'aa hogaa hamaare saamne tamhid baandhtaa kyon hai agar nahin hai asar meri aah-o-zaari mein sukut-e-shab mire naalon se TuTtaa kyon hai jab us se koi ta'alluq nahin 'azim' to phir hamaari samt mohabbat se dekhtaa kyon hai"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"