SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySiraj Aurangabadi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kiyaa gham ne saraayat be-nihaayat karun kis siin shikaayat be-nihaayat hamaare qatl par mufti ne gham ke nikaalaa hai rivaayat be-nihaayat tu apne ghamza-e-khunin ki zaalim abas mat kar himaayat be-nihaayat tire rukh par hujum-e-khaal-o-khat naiin ki hain mushaf mein aayat be-nihaayat kiyaa hai ishq ke haadi ne mujh kuun mohabbat ki hidaayat be-nihaayat shakar-lab ne nigaah-e-dilbari siin kiyaa mujh par inaayat be-nihaayat 'siraaj' ab daastaan-e-shauq bas kar ki bejaa hai hikaayat be-nihaayat"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"kyuun tire gesu kuun gesu bolnaan dil mein aataa hai ki shabbu bolnaan pech khaa kar dil miraa chakrat mein hai zulf kuun teri chakaabu bolnaan bhuul gai aahu kuun apni chaukDi tujh nigah kuun daam-e-aahu bolnaan yaa falak ki aarsi mein hai hilaal yaa kisi kaa aks-e-abru bolnaan siikh gai gulshan mein tere qad sati sarv par qumri ne ku ku bolnaan kaan mein hai tere moti aab-daar yaa kisi aashiq kaa aansu bolnaan saamne us chehra-e-gulfaam ke har gul-e-khushbu kuun khud-rav bolnaan husn ke lashkar ke raavat hain do-chashm zulf-o-lab shab-khun kaa qaabu bolnaan ab charaagh-e-aql gul karni 'siraaj' soz-e-dil sein ek yaahu bolnaan"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"ham hain mushtaaq-e-javaab aur tum ho ulfat siin baiid naqd-e-dil gar tum kuun pahunchaa hai to bhijvaa dev rasid baagh mein ham mar gae mahrum-e-vasl-e-gul-badan hain hamaare aaj phuul aur bulbulon ke haq mein iid lashkar-e-qalb-e-saf-e-ushshaaq mein hai ghalghala yakka-taaz-e-aah kuun kis ne kiyaa hai naa-rasid husn kuun hai naqd-e-naaz aur ishq kuun jins-e-niyaaz phir abas shikva hai ye saudaa huaa hai khush-kharid baagh siin gulchin chalaa tab bulbulon ne ghul kiyaa hazrat-e-gul kuun kiyaa jaataa hai ye kaafir shahid rah-navardaan-e-junun kuun fatahyaab-e-faiz hai aablon ke qufl ko khaar-e-bayaabaan hai kalid but-paraston kuun hai imaan-e-haqiqi vasl-e-but barg-e-gul hai bulbulon kuun jild-e-quraan-majid nur-e-jaan faanus-e-jismi siin judaa kab hai 'siraaj' shoala taar-e-shama siin kahtaa hai min-hablil-varid"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"gham ne baandhaa hai mire ji pe khalaa haae khalaa phir nae sir seti aai hai balaa haae balaa ai gul-e-gulshan-e-jaan kar mujhe yak-baar nihaal khaar hasrat kaa kaleje mein salaa haae salaa dekh saktaa nahin main gul kuun har yak khaar ke saath apne ham-raah raqibon kuun na laa haae na laa zabh karne mein mire rahm na laayaa us ne balki itnaa bhi kahaa nein ki galaa haae galaa jis ne khaayaa hai tire abru-e-khun-rez kaa zakhm murgh-e-bismil saa lahu biich ralaa haae ralaa jaan-e-jaanaan kuun mire paas shitaabi laao niin to yak pal mein miraa jaan chalaa haae chalaa be-tarah ab to birah aag dahakti hai 'siraaj' dil miraa kyuun na pukaare ki jalaa haae jalaa"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"har har varaq pe kyuun ki likhun daastaan-e-hijr aataa nahin zabaan-e-qalam par bayaan-e-hijr zaahir agarche taaza-o-tar misl-e-laala huun mujh dil mein jaanashin hai daagh-e-nihaan-e-hijr pazhmurda kyuun na hoe gul-e-ummid-e-aashiqaan bahti hai dil ke baagh mein baad-e-khizaan-e-hijr aab-e-hayaat vasl siin de umr-e-jaavedaan hai be-qaraar gham siin tire nim-jaan-e-hijr vo aashiqi ki misl mein manzur hai mudaam chille main gham ke baiTh jo khinchaa kamaan-e-hijr niin sair-e-laala-zaar ki aashiq kuun aarzu az-bas hai daagh-e-sina gul-e-bostaan-e-hijr jaari ba-raah-e-chashm sati khun-e-dil 'siraaj' jab siin mire jigar mein lagi hai sinaan-e-hijr"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"sanam khush tabiyaan sikhe ho tum kin kin zarifon siin ki ye lutf-e-adaa maalum hotaa hai latifon siin likhun vasf us ki zulfon ke qalam kar shaakh-e-sumbul kuun davaaton mein siyaahi bhar gul-e-shabbu ki qifon siin tiri sidhi nigaahein in dinon mein garm-e-ulfat hain mujhe saifi lagi hai haat kai vird aur vazifon siin khayaal is kaa ham-aaghosh-e-nazar hai saat pardon mein ajab shokhi siin pesh aayaa hai ye shokh un afifon siin kahaan paae maze ke is qadar us ne baDe koi tiri aankhon kuun sau darje sharaafat hi sharifon siin hujum-e-bul-havas ke shama-e-majlis ho so kyaa maani latifon kuun ravaa niin ikhtilaat aise kasifon siin mizaajein naa-muvaafiq hon to kab sohbat baraar hoe nahin milti hamaari taba in duniyaa ke jifon siin abas mat dekh aankhein phaaD phaaD in chashm-e-khunin kuun paDaa niin nargis-e-baaghi tujhe kaam in harifon siin khas-o-khaashaak-e-rah hain ham tire ai shoala-khu zaalim munaasib niin hai itni sar-kashi aakhir zaifon siin subuk ruhaan-e-maani bu-e-gul hain baagh-e-irfaan ke har ik khaar-e-giraan jaan kuun khabar kyaa in latifon siin ghalat niin hai ki bulbul haafiz-e-sipaara-e-gul hai sanad rakhtaa huun main gul-barg ke rangin sahifon siin raqib us sang-dil siin muntazir hain ham-kalaami ke sukhan kartaa hai kab vo koh-e-tamkin in khafifon siin savaar-e-tausun-e-maani huun chaugaan-e-tabiat siin liyaa huun gu-e-maidaan-e-sukhan mein ham radifon siin adib-e-ishq ke shaagird hain farhaad aur majnun ki koh-o-dasht kaa maktab hai garm in do khalifon siin 'siraaj' is shama kuun hai shauq parvaane jalaane kaa duaa kar yaa ilaahi mom dil hoe ham najifon siin"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"jaanaan pe ji nisaar huaa kyaa bajaa huaa us raah mein ghubaar huaa kyaa bajaa huaa muddat se raaz-e-ishq mire pe ayaan na thaa ye bhed aashkaar huaa kyaa bajaa huaa taaze khile hain daagh ke gul dil ke baagh mein phir mausam-e-bahaar huaa kyaa bajaa huaa dil tujh pari ki aag mein simaab ki misaal aakhir kuun be-qaraar huaa kyaa bajaa huaa kishvar mein dil ke thaa amal-e-subaadaar-e-aish ab gham kaa ikhtiyaar huaa kyaa bajaa huaa aahu-e-dil ki vahshi-e-sahraa-e-aql thaa tujh zulf kaa shikaar huaa kyaa bajaa huaa vo aaftaab aaj mire qatl par 'siraaj' shab-dez par savaar huaa kyaa bajaa huaa"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"hai dil mein khayaal-e-gul-e-rukhsaar kisi kaa daaghon siin mohabbat ke hai gulzaar kisi kaa jaataa hai miraa jaan nipaT pyaas lagi hai mangtaa huun zaraa sharbat-e-didaar kisi kaa sab par hai karam mujh pe sitam kyaa hai do-rangi dildaar kisi kaa hai dil-aazaar kisi kaa zanjir bhali qaid bhali maut bhi jyun-tyun pan haq na kare kis kuun giraftaar kisi kaa main huun to divaana pa kisi zulf kaa naiin huun vallaah ki rakhtaa nahin yak taar kisi kaa yak dam to ham-aaghosh karo ai gul-e-khubi ho jaaungaa ab naiin to gale haar kisi kaa jhuktaa hai zaraa baad ke chalne mein zamin par nargis hai magar baagh hai bimaar kisi kaa laati hai khabar yaar ki mauj-e-dam-e-shamshir kaari hai magar dil mein mire vaar kisi kaa har raat 'siraaj' aatish-e-gham mein na jale kyuun parvaana-e-jaan-soz hai balhaar kisi kaa"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"ai dil-e-be-adab us yaar ki saugand na khaa tuun har ik baat mein dildaar ki saugand na khaa ruh-e-chandr-badan ai bul-havas aazurda na kar khuub nahin turbat-e-mahyaar ki saugand na khaa ye adaa sarv mein zinhaar nahin ai qumri yaar ke qaamat o raftaar ki saugand na khaa khauf kar khat ki siyaahi sati ai vaada-khilaaf har ghaDi mushaf-e-rukhsaar ki saugand na khaa apni aankhon ki qasam khaa ki liyaa nahin main ne jaan le kar dil-e-bimaar ki saugand na khaa pech de de ke mire dil kuun pareshaan to kyaa naahaq us zulf-e-girah-daar ki saugand na khaa taab us rukh ki tajalli ki nahin tujh kuun 'siraaj' tuun abas shola-e-didaar ki saugand na khaa"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"dekhaa hai jis ne yaar ke rukhsaar ki taraf hargiz na jaave sair kuun gulzaar ki taraf aaina-e-dil ki chashm mein nur-e-jamaal-e-dost raushan huaa hai har dar-o-divaar ki taraf manzur hai salaamati-e-khun agar tujhe mat dekh us ki nargis-e-bimaar ki taraf vahaan nahin baghair jauhar-e-shamshir khun-bahaa zaahid na jaa vo zaalim-e-khunkhaar ki taraf hai dil kuun azm-e-chauk umid-e-visaal par divaana kaa khayaal hai baazaar ki taraf kyaa puchhte ho tum ki tiraa dil kidhar gayaa dil kaa makaan kahaan? yahi dildaar ki taraf parvaana kuun nahin hai magar khauf-e-jaan 'siraaj' naahaq chalaa hai shola-e-didaar ki taraf"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"zaalim mire jigar kuun kare kyuun na phaank phaank sikhaa hai vo nigah kaa paTaa aur adaa kaa baank pothi khayaal-e-yaar ki aai hai jab siin haat dil ke varaq pe tab seti likhtaa huun gham ki aank angushtari kuun dil ki banaayaa huun nazr-e-yaar lakht-e-jigar ke laal kuun ulfat kaa dekh daank aataa hai yaad phuul ke dekhe siin gul-badan aashiq kaa chhilti hai jigar bulbulon ki haank jaan-e-jahaan kaa zauq agar hai tujhe 'siraaj' pinhaan nigaah-e-ghair siin parde mein dil ke jhaank"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"kaafir huaa huun rishta-e-zunnaar ki qasam tujh zulf-e-halqa-daar ke har taar ki qasam hargiz mariz-e-hijr kuun bin vasl nahin ilaaj us khush-adaa ki nargis-e-bimaar ki qasam us gul-badan ke kaakul-e-pur-pech kaa khayaal zunnaar mujh gale kaa huaa haar ki qasam tere bhanvon ki yaad ne TukDe kiyaa hai dil hai zul-fiqaar haidar-e-karraar ki qasam ummid-vaar-e-chaah-e-zanakhdaan-e-yaar huun main tishna-lab huun sharbat-e-didaar ki qasam darkaar gar hinaa hai mujh aankhon mein rakh qadam hai tujh kuun mere dida-e-khun-baar ki qasam yakjaa hue hain bulbul o parvaana ai 'siraaj' us shama-ru ke chira-e-gulnaar ki qasam"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"naqsh-e-qadam huaa huun mohabbat ki raah kaa kyaa dil-kushaa makaan hai miri sajda-gaah kaa garmi siin aaftaab-e-qayaamat ki kyuun darun saaya hai mujh kuun sarv-e-qayaamat-panaah kaa naasur ho ki roz-e-qayaamat talak bahe jis ke jigar mein tiir lage tujh nigaah kaa piv kaa jamaal dekh huaa chaak chaak dil jiyun ki kataan pe aks paDe nur-e-maah kaa Dore nahin hain surkh tiri chashm-e-mast mein shaayad chaDhaa hai khuun kisi be-gunaah kaa dil tujh birah ki aag siin kyunkar nikal sake shoala sein kyaa chalegaa kaho barg kaah kaa sumbul hai jiyun ki jalva-numaa juebaar par aankhon mein meri aks do-zulf-e-siyaah kaa mahtaab-ru ke rukh pe siyah khat nahin 'siraaj' jaa kar khalaa huaa hai mire duud aah kaa"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"din-ba-din ab lutf teraa ham pe kam hone lagaa yaa to thaa vaisaa karam yaa ye sitam hone lagaa sach kaho taqsir kyaa hai aashiq-e-mazlum ki nimchaa tirchhi nigah kaa kyuun alam hone lagaa tegh-e-abru kuun nipaT kaste ho pan hairaan huun main kaun se bimaar par ye aab dam hone lagaa shukr-e-allah sarv-e-raanaa ke tasavvur ke tufail rafta rafta dil miraa baagh-e-iram hone lagaa bas karo ai shaah-e-fauj-e-husn qatl-e-aam kuun aashiqon ki aah kaa neza alam hone lagaa tujh kuun ai aahu-nigah kis ne sikhaayaa ye tarah yaa to thaa auron siin ram yaa ham siin ram hone lagaa hijr ki raaton mein ye misraa huaa vird-e-'siraaj' din-ba-din ab lutf teraa ham pe kam hone lagaa"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"sune raaton kuun gar jangal mein mere gham ki vaavailaa to majnun qabr sein uTh kar pukaare aah yaa lailaa hamaaraa khun-e-naahaq niin huaa zaaea are qaatil zamin se gul ho niklaa aasmaan par ho shafaq phailaa hiran sab hain baraati aur divaana ban kaa dulhaa hai ba-har khilat kuun uryaani ki phirtaa hai banaa chhailaa sharaab-e-saaf de taa saaf ho saaqi ghubaar-e-gham hamaaraa dil nipaT gard-e-kudurat se hai ab mailaa 'siraaj' us shola-ru ki tang poshi kuun kahaan pahunche ki hai jaama badan mein shama ke faanus kaa Dhailaa"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"maail huun gul-badan kaa mujhe gul siin kyaa gharaz kaakul mein us ke band huun sumbul siin kyaa gharaz khunin dilon ke qatl kuun sidhi nigaah bas is tegh kuun fasaan-e-taghaaful siin kyaa gharaz rusvaai-e-jahaan siin mujhe fikr kuchh nahin divaana-e-junun kuun taammul siin kyaa gharaz bas hai ghubaar-e-raah-e-libaas-e-shahanshahi sultaan-e-be-khudi kuun tajammul siin kyaa gharaz jaam mai-e-alast siin be-khud huun ai 'siraaj' daur-e-sharaab-o-shisha-e-pur-mul siin kyaa gharaz"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"tujhe kahtaa huun ai dil ishq kaa izhaar mat kiijo khamoshi ke makaan mein baat aur guftaar mat kiijo mohabbat mein dil-o-jaan hosh o taaqat sab akaarat hai kaho koi aql kuun jaa kar baDaa bistaar mat kiijo evaz naqd-e-duaa ke muft hai dushnaam us lab siin are dil ishq ke saude mein phir takraar mat kiijo use unchaa hai zaalim daam ne tujh mehrbaani ke hamaare said-e-dil uupar sitam kaa vaar mat kiijo agar khvaahish hai tujh kuun ai 'siraaj' aazaad hone ki kamand-e-aql kuun hargiz gale kaa haar mat kiijo"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"ishq ki jo lagan nahin dekhaa vo birah ki agan nahin dekhaa qadr muj ashk ki vo kyaa jaane jis ne durr-e-adan nahin dekhaa tuj gali mein jo kui kiyaa maskan phir kar us ne vatan nahin dekhaa aarzu hai ki zulf kuun khole main ne kaali rayan nahin dekhaa lab-e-rangin dikhaa ai maadan-e-husn main aqiq-e-yaman nahin dekhaa Tuk zamin par qadam rakho saajan aaj naqsh-e-charan nahin dekhaa dil abas tishna-lab hai kausar kaa piv kaa chaah-e-zaqan nahin dekhaa ghuncha-e-gul kuun dekh gulshan mein gar tuun piv kaa dahan nahin dekhaa tujh masal ai 'siraaj' baad-e-'vali' koi saahab-sukhan nahin dekhaa"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi
Quote
"kyaa balaa sehr hain sajan ke nayan hai khajil jis ange hiran ke nayan mujh pe karte hain yaar kaa jaadu us sitamgaar-e-sehr-e-fan ke nayan gardish-e-mai suun aaj faarigh hai jin ne dekhe hain khush-nayan ke nayan aarzu mein tiri ai nur-e-nazar muntazir huun khule hain man ke nayan shor Daale hain saare aalam mein dilbar-e-shakkarin-sukhan ke nayan gul-e-nargis agar nahin dekhaa dekh yakbaar gul-badan ke nayan kyuun na hue hijr be-khabar suun 'siraaj' hosh khote hain man hiran ke nain"
Siraj AurangabadiSiraj Aurangabadi